शुक्रवार, मई 19, 2006

Safar Sikkim Ka : Tashi View Point to Lachen

Tashi View Point se humne North Sikkim Highway ka route liya aur kuch hi pal mein ye samajh liya ki pahad par aane ke pahle bhagwan ko good humor mein rakhna itna juroori kyun hai? Baap re ! ek taraph to gahri khaai aur doosri taraf landslide se tooti phooti sadkein. Uparwale ki ek chattan (rock) khiskane ki deri thi ki sare safar ka beda gark :) ! Aur aise mein barish ka jor ho to ye bhi nahin dikh pata ki aaga sadak pe kuch gira hai ya girne wala hai :). Aise hallaton mein humare samne bas ek chara bacha tha wo tha bhaj lo hari ka naam :). Aisa karte karte hum Phensang pahunche.
Phensang
ke paas humein ek jharna dikha. Humara group tasweerein khichwane ke mood mein nahin tha so humare camre ko shararat soojhi. Idhar udhan nazrein ghumane par ye videshi bala humein apne cam ka saamne saaf nazar aayin . Girte pani ki dhara ko dekhti wo kuch is qadar khoyi huyin thin jaise jannat mein sair kar rahin hon.phir kya tha humne camre ka triger dabaya aur result aapke saamne hai :)
Phensang se Mangan ka raasta relatively smooth tha!
In raaston ki khasiyat ye hai ki ek pahad se doosre pahad jane ke liye pahle aapko ekdum neeche utarna padega aur phir height gain karne ke liye ghumavdaar chadhaai chadhni padegi.Mangan pahunchte pahunchte chadhne aur utarne ka ye silsila badastoor zari raha . Parvaton ki uchaiyon se kabhi Teesta ek patli lakeer ki terah dikhti to kabhi ekdum se hansti khilkhilati paas aa jati.

Mangan Bazaar mein apne ek purane colleague ki taalash mein hum ruke. Humein bataya gaya ki wo sadak ke thode hi neeche rehte hain. Khair, mulaqaat bhi ho gayi par pahaad ke is thode neeche ka matlab vapas chadhte samay hi pata lag saka jab antim chaar seedhiyan chadhne mein humari himmat jawab de gayi.
Shaam ke 4.30 baje hum Chungthang mein the. Lachen aur Lachung ki taraf se aati do alag alag streams yahin pe mil kar River Teesta ko janam deti hain.

Chungthang ki haseen vaadiyon aur chai ki chuskiyon ke sath safar ki thakaan jati rahi. Shaam dhalne lagi thi aur mausam ka mizaaz bhi kuch badalta sa dikh raha tha.
Yahasn se hum jald hi Lachen ke liye nikal pade jo ki humara agla night halt tha.Lachen tak ke raaste mein rihayshi ilaake kam hi nazar aaye. Raasta sunsaan tha, beech beech mein ek aadh gaadiyon ki aawa-zaahi humein ye yakeen dila jati thi ki hum sahi raaste pe ja rahe hain. Lachen se kareeb 10 km pehle mausam badal chuka tha. Poori Lachen ghati gahri ghani dhundh ki giraft mein thi aur barish ki halki halki phuharein tan man ko thandak pahuncha rahin thin.
6 bajne se theek pahle hum 9000ft ke level par base in chote se gaanv mein enter kar chuke the. Par man mein ek zabardast excitement tha us agli subah ke intezaar mein jo shayad humein us neele aasman ke aur nazdeek le ja sake . Kaun thi wo khubsurat jagah jise dekhne ka sapna le ke hum ghar se nikle the..aur kitni upar jana tha humein ye sab agli kisht mein......
देवनागरी में पढ़ने हेतु यहाँ क्लिक करें ।

4 टिप्‍पणियां:

  1. Wah!!!bahut khoob....the pictures can describe the steepness...wow!! waise doston se milne ki khushi to kuch aur hee rahi hogi hai na?...aur haan, 2nd last pic is awesome jaise kisi movie mein dekha ho....!

    Waise kuch acchi cheez ke liye kuch to khona parhta hee hai nai?

    amazing brief...cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. manish ji, sikkkim swarg jaisa hai ... Gangatok, Rumtek , Chhangu lake .... har jagah ka apna hi lutf hai ....

    जवाब देंहटाएं
  3. DON Shukriya description pasand karne ka !

    Amit Hum samay ki kami ki wazah se o sikkim ka Northern Part hi dekh paye . Rumtek dekhna hai agli baar sahi :)

    जवाब देंहटाएं
  4. Your website has a useful information for beginners like me.
    »

    जवाब देंहटाएं