शनिवार, मई 27, 2006

Safar Sikkim Ka :GuruDongmar

Zindagi mein kitni hi baar aisa hota hai ki jo samne se behad attract karta hai uska asli rang paas ja kar pata chalta hai. Ab itni badhiya dhoop, saaf suthre neele aasman ko dekh kiska man bahar chahalqadmi karne ko nahin karta. Phir kya tha sab nikal pade apno gaddi ke bahar...par ye kya....bahar to fiza ka sabse bada sipahsalaar kahar barpa raha tha. Sabke qadam bahar nikalte hi ladkhada gaye, kapkapi se sab ka shareer (body) jakad gayi. koi dastane lene wapas dauda to koyi topi. Is afratarfi mein sath gaye bachchon ka bhi rona dhonas shuru ho gaya. Haan ji ye sab us tez pahadi hawa ka hi kamaal tha jiski tezi ko 15000 feet ki thand painapan de rahi thi. Hava ka ye ghamand zayaz bhi tha. Door door tak us pathari (plateau) samtal maidaan pr use chunauti (challenge) dene wala koyi nahin tha. Phir bhala wo apne is khule samrajya mein kyun na itraaye
Khair jaldi jaldi humne kuch photu khinchwayin. Ab in tasweeron ki plastic muskaan pe jyada gaur mat keejiyega wo sirf humein hi pata tha ki hum par kya beet rahi hai Iske baad gadi se neeche utarne ki jurrat kisi ne nahin ki aur hum GuruDongmar pahunch kar hi apni seet se khiske. Is jheel ka Budhdhist aur Sikh comunity mein kaphi importance hai.
Kahte hain Guru Nanak ke charan kamal is jheel par pade the jab wo Tibbat ki yatra par the. Ye bhi kaha jata hai ki jis jagah unhone is jheel ko touch kiya wahan winter season mein bhi pani nahin jamta
Ganeemat thi ki 17300 ft ki height par hawa tez nahin thi. Jheel tak to pahunch gaye the par itni chadhai bahuton ke sar mein dard paida karne ke liye kaaphi thi, par man hi man is baat ki khushi bhi thi ki itti height pe hum sab salamat pahunch to paye. Jheel ka drishya (scene) behad manmohak tha....door door tak phaila neela pani aur background mein barf se ladi shwet (white) chotiyan gahe-bagahe aate jate badlon ke jhund se guftagu karti dikhayi pad rahi thiDoor kone mein jheel ka ek hissa jama dikh raha tha. Hum logon ko nazdeek se ja ke dekhne ki iksha huyi, to chal pade us taraf
Barf ki parat wahan jyada moti nahin thi, in fact humne dekha ki ek oor ki barf to pighal kar tootti ja rahi hai.Par humare mitra ko sabke sath us par khade ho kar photu leni thi. Par humne kaha bhaiya aap hi jaiye photu hum kheench denge.Jheel ke doosri oor sunahre paththaron (stones) ke peeche ka gahra neela aasmaan colour combination ki anoothi misaal pesh kar raha tha.
Khair wapasi ki yatra lambi thi isliye jheel ke kinare do ghante bitane ke baad hum wapas chal pade. Ab neeche utre the to upar chadhna bhi tha par is baar upar ki oor rakha har qadam bhari mehsoos ho raha tha. Seedhi chadh to gaye par turant phir gadi tak jaane ki himmat nahin huyi.Kuch der rest karne ke baad sust qadmon se gadi tak pahunche to yaad aaya ki ek dawa khaani to reh hi gayi hai.Pani ki ghoont ke sath hi badan mein ek sihran si huyi aur aisa laga ki pehle pair phir hath aur phir poore badan ki taqat jaati rahi. Kuch hi palon mein seet par ulte munh leta tha. Itti height pe body mein oxygen ki kami ho jaye iska jara bhi poorvabhaas nahin hota. Khair meri ye haalat 2 min tak rahi phir sab samanya ho gaya. Waapsi mein humein Chopta Valley se hote huye Lachung tak jaana tha. Is safar ki meri sabse yaadgar tasweer maine Lachung ki us pyari subah mein hi kheenchi thi. Aakhir kyun haseen thi wo subah ye detail agle hisse mein.....

7 टिप्‍पणियां:

  1. Wah pictures ki to waqai daad deni hogi...aur tumhare vritaant ka kya kehana...thik kisi se kahani sun ne ka jo anand milta hai waisa hee mehasus hua!
    Waise jigyasa banaye rakhne ka andaaz bada accha laga :)
    Intezaar mein...

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Wah manishji,badiya hain aapke likhne ka andaaz,aur upar se suspense bhi:) intezaar rahega,aur pictures ke kya kehne,maine tho decide karliya hain ki main sikkim dekoongi jaroor,jaldi hain:)

    जवाब देंहटाएं
  3. Hmmm..hmm toh aap Sikkim ki waadiyon ke mazey leke aaye hain :) Good.
    Yep, rightly said by Dawn, the pics are really beautiful and your narration too, as always...
    Cheers!!
    MS

    जवाब देंहटाएं
  4. DON Shukriya huzoor! aap jaise sunne wale rahenge to humare jaise sunane wale mil hi jayenge ;)

    जवाब देंहटाएं
  5. Alapana Chaliye aapne kuch samay nikala humare is safarname ko padhne ke liye behad khushi huyi padh kar. Par dar yahi hai ki aage ke episode likhne tak phir gayab na ho jayein :)

    जवाब देंहटाएं
  6. MS Ab ghar pe bhi kab tak dera dalein rahenge so 5-6 din ghoom phir kar blog ke liye kuch masala juta aaye :)

    जवाब देंहटाएं
  7. God! Manish! You are soooo lucky! What beautiful sights you have seen! I wanna go to Sikkim again and go to this GuruDongmar place. I don't remember being there.

    जवाब देंहटाएं