मंगलवार, मई 30, 2006

Safar Sikkim Ka : Gurudongmar to Lachung

Gurudongmar se wapas ab humein Lachung ki or lautana tha. Subah se 70 km ki yatra to kar hi chuke the. Ab 120km ki is durgam yatra ke bare mein sochkar hi man mein thakawat ho rahi thi. Is poori sikkim yatra mein dopahar ke baad shayad hi kabhi dhoop ke darshan huye the.
Hawa ne phir zor pakad liya tha . Door samne wale pahad par barish ke badal bhi tairne lage the.

Wapasi mein hum Thangu ke paas Chopta Valley mein thodi der ke liye ruke. Do unche parvaton ke beech ki is ghati mein ek patli nadi behti hai jo jadon ke dinon mein poori jam jati hai.

Lachen pahunchte pahunchte barish shuru ho chuki thi. Humare travel agent ka iraada Lachen mein bhojan kara kar turant Lachung le jane ka tha. Par bina hath pair seedha kiye koyi aage jane ko taiyar na tha.
Nateejan 3 baje ki
bajaye 4.30 baje Lachen se nikle. Jaise jaise roshni kam ho rahi thi barish utna hi prachand roop dhaaran karti ja rahi thi. Ghazab ka nazara tha, thodi thodi door par ufante jalprapaat, gadi ki windscreen se takrati barish ki moti moti boondein, sadak ki kali lakeer ke bagal bagal chahalqadmi karte huye badal aur man mohti hariyali.Yatra ke kuch adbhut drishyon mein ye bhi ek tha. Chalti gadi se li huyi ye tasweer bakhoobi badalon ki is chaal ki jhalak deti hai..

Chungthang kareeb 6 baje tak pahunch chuke the. Yahin se Lachung ghati shuru hoti hai. Chungthang se Lachung ka safar dare sahme guzra. Poore samay humein ghumavdaar raston se upar aur upar dheere dheere khisakte jana tha. Ek or badhta hua andhera aur doosri or barish ki wazah se paida huyi safed dhundh. Is situation mein 60-70 km/h ki raftar se humara chalak kushalta se apni Mahindra hank raha tha. Ab wo kitna bhi kushal kyun na ho raste ka har ek U-turn humara hriday ki dhuk dhuki badhata ja raha tha. Nigahein meel ke har ek beette paththar ki aaturta se prateeksh kar n. rahin thin ki kab Lachung ke naam ke sath '0' (zero) ki sankhya (number) dikhai de jaye.

7.30 baje Lachung pahunch kar humne chain ki saans lee. Bahar hoti moosladhaar barish agle din ke karyakram (program) ka bantaadhaar karti nazar aa rahi thi. Thakaan itni jyada thi ki chup chap rajai ke andar dubak liye. 5.30 baje hotel ki chat par sailaniyon ki aawaz sun kar bahar nikle. Door door tak barish ka naamo nishan bhi nahin tha. Gehre Neele aakash ke neeche Parvaton aur suraj ki kirnon ke beech ki aisi aankhmichauni maine pehle kabhi nahin dekhi thi…

To be continued…

शनिवार, मई 27, 2006

Safar Sikkim Ka :GuruDongmar

Zindagi mein kitni hi baar aisa hota hai ki jo samne se behad attract karta hai uska asli rang paas ja kar pata chalta hai. Ab itni badhiya dhoop, saaf suthre neele aasman ko dekh kiska man bahar chahalqadmi karne ko nahin karta. Phir kya tha sab nikal pade apno gaddi ke bahar...par ye kya....bahar to fiza ka sabse bada sipahsalaar kahar barpa raha tha. Sabke qadam bahar nikalte hi ladkhada gaye, kapkapi se sab ka shareer (body) jakad gayi. koi dastane lene wapas dauda to koyi topi. Is afratarfi mein sath gaye bachchon ka bhi rona dhonas shuru ho gaya. Haan ji ye sab us tez pahadi hawa ka hi kamaal tha jiski tezi ko 15000 feet ki thand painapan de rahi thi. Hava ka ye ghamand zayaz bhi tha. Door door tak us pathari (plateau) samtal maidaan pr use chunauti (challenge) dene wala koyi nahin tha. Phir bhala wo apne is khule samrajya mein kyun na itraaye
Khair jaldi jaldi humne kuch photu khinchwayin. Ab in tasweeron ki plastic muskaan pe jyada gaur mat keejiyega wo sirf humein hi pata tha ki hum par kya beet rahi hai Iske baad gadi se neeche utarne ki jurrat kisi ne nahin ki aur hum GuruDongmar pahunch kar hi apni seet se khiske. Is jheel ka Budhdhist aur Sikh comunity mein kaphi importance hai.
Kahte hain Guru Nanak ke charan kamal is jheel par pade the jab wo Tibbat ki yatra par the. Ye bhi kaha jata hai ki jis jagah unhone is jheel ko touch kiya wahan winter season mein bhi pani nahin jamta
Ganeemat thi ki 17300 ft ki height par hawa tez nahin thi. Jheel tak to pahunch gaye the par itni chadhai bahuton ke sar mein dard paida karne ke liye kaaphi thi, par man hi man is baat ki khushi bhi thi ki itti height pe hum sab salamat pahunch to paye. Jheel ka drishya (scene) behad manmohak tha....door door tak phaila neela pani aur background mein barf se ladi shwet (white) chotiyan gahe-bagahe aate jate badlon ke jhund se guftagu karti dikhayi pad rahi thiDoor kone mein jheel ka ek hissa jama dikh raha tha. Hum logon ko nazdeek se ja ke dekhne ki iksha huyi, to chal pade us taraf
Barf ki parat wahan jyada moti nahin thi, in fact humne dekha ki ek oor ki barf to pighal kar tootti ja rahi hai.Par humare mitra ko sabke sath us par khade ho kar photu leni thi. Par humne kaha bhaiya aap hi jaiye photu hum kheench denge.Jheel ke doosri oor sunahre paththaron (stones) ke peeche ka gahra neela aasmaan colour combination ki anoothi misaal pesh kar raha tha.
Khair wapasi ki yatra lambi thi isliye jheel ke kinare do ghante bitane ke baad hum wapas chal pade. Ab neeche utre the to upar chadhna bhi tha par is baar upar ki oor rakha har qadam bhari mehsoos ho raha tha. Seedhi chadh to gaye par turant phir gadi tak jaane ki himmat nahin huyi.Kuch der rest karne ke baad sust qadmon se gadi tak pahunche to yaad aaya ki ek dawa khaani to reh hi gayi hai.Pani ki ghoont ke sath hi badan mein ek sihran si huyi aur aisa laga ki pehle pair phir hath aur phir poore badan ki taqat jaati rahi. Kuch hi palon mein seet par ulte munh leta tha. Itti height pe body mein oxygen ki kami ho jaye iska jara bhi poorvabhaas nahin hota. Khair meri ye haalat 2 min tak rahi phir sab samanya ho gaya. Waapsi mein humein Chopta Valley se hote huye Lachung tak jaana tha. Is safar ki meri sabse yaadgar tasweer maine Lachung ki us pyari subah mein hi kheenchi thi. Aakhir kyun haseen thi wo subah ye detail agle hisse mein.....

रविवार, मई 21, 2006

Safar Sikkim Ka : Lachen to Thangu & beyond...

Lachen kee wo raat humne ek chote se lodge mein guzaari. Dinner time par mere travel agent ne humein inform kiya ya yoon kahein ki ek bomb phoda ki subah 5.30 tak humein nikal jaanaa hai. Ab use kis munh se batate kiyahan to 9 baje office pahuchne ke liye itni mashakkat karni padti hai. Khair 10 baje tak hum sab apni apni rajayi yani lihaaf ke andar the. Nayi jagah aur upar se thand ke us aalam mein neend kya aani thi bhala. Kisi tarah thodi der ke liye aankhein band ki aur subah 6 baje tak taiyar ho kar nikal pade thand se muqable ke liye. Ineer,T-shirt,sweater,Jacket kya nahin pahna tha humne:). Waise bhi 4-5 ghanton mein hi humAakhir 17500 feet tak pahuchne wale the.
Lachen ke aage ka raasta thoda pathreela tha. Road kati-kati si thi.Kahin-kahin pahar ke upari hisse mein landslide ki wazah se uske theek neeche ki dhalan par ke jungle bilkul sapaat ho gaye the. aage ki aabadee nahin ke barabar thi. Beech beech mein Yak ke samooh door se dikh jate the.Height ke sath sath pahaad par Oxygen kam hoti jati hai. Isliye humein acclamatise hone ke liye 14000 ft par base chote se village Thangu mein rukna tha.
Kareeb 9 baje hum Thangu mein the. Bachpan mein geography teacher humein bataya karte the ki kis terah height ke sath vegetation ka nature badal jaata hai.Humare agal bagal ka manzar isi baat ki gawahi de raha tha. Chaude patton wale pedon ki jagah ab nukeeli patton wale pedon ne le rakhi thi. Aur Thangu pahunchte-2 to wo bhi gayab ho gaye the. Bach gayi thin to choti choti jhadiyan (shrubs)

Thangu tak dhoop nadarad thi. Badal ke pulinde apni man marzi idhar udhar tair rahe the. par pahadon ke safar mein dhoop ke saath Neela aakash bhi sath ho to kya kahne. Pehle to dhoop chaanv ka ye khel kuch der tak chalta raha. Par aakhirkar humari ye khwahish uparwale ne jald hi poori kee. Iske baad jo drishya humare samne tha use ye tasweerein khud ba khud bayaan karti hain.
neela aasmaan, nange pahad aur barf se dhaki chotiyaan ke beech aisa lag raha tha jaise hum doosri duniya mein hi aa gaye hon.


15000 feet ki height par humein Victoria Plateau battalionka check post mila.।Door door tak na to koyi parinda dikhai padta tha na kisi tarah ki vegetation!
sach poochiye to is barfeele registaan mein kuch ho -hawa jaye to Army hi ek sahaara thi.Thodi door aur badhe to ye pahad achanak hi saamne aa khada hua.
Gunguni dhoop, gehra neela gagan aur upar se itne nazdeek is parvat ko dekh ke gaadi se baahar nikal kar ghoomne ka man karne laga. Par apni iksha ko execute karne par humari jo halat huyi uski ek alag hi kahaani hai :). waise bhi hum GuruDongmaar ke behad kareeb the. Aree yahi to tha humara pehla destination. darasal Gurodongmaar ek jheel ka naam hai jo 17300 ft ki height par hai. Ye India ki 2nd highest lakes mein se ek hai.
Khair gaadi se nikal kar Gurudongmaar tak pahuchne ka kissa agle hisse mein....

शुक्रवार, मई 19, 2006

Safar Sikkim Ka : Tashi View Point to Lachen

Tashi View Point se humne North Sikkim Highway ka route liya aur kuch hi pal mein ye samajh liya ki pahad par aane ke pahle bhagwan ko good humor mein rakhna itna juroori kyun hai? Baap re ! ek taraph to gahri khaai aur doosri taraf landslide se tooti phooti sadkein. Uparwale ki ek chattan (rock) khiskane ki deri thi ki sare safar ka beda gark :) ! Aur aise mein barish ka jor ho to ye bhi nahin dikh pata ki aaga sadak pe kuch gira hai ya girne wala hai :). Aise hallaton mein humare samne bas ek chara bacha tha wo tha bhaj lo hari ka naam :). Aisa karte karte hum Phensang pahunche.
Phensang
ke paas humein ek jharna dikha. Humara group tasweerein khichwane ke mood mein nahin tha so humare camre ko shararat soojhi. Idhar udhan nazrein ghumane par ye videshi bala humein apne cam ka saamne saaf nazar aayin . Girte pani ki dhara ko dekhti wo kuch is qadar khoyi huyin thin jaise jannat mein sair kar rahin hon.phir kya tha humne camre ka triger dabaya aur result aapke saamne hai :)
Phensang se Mangan ka raasta relatively smooth tha!
In raaston ki khasiyat ye hai ki ek pahad se doosre pahad jane ke liye pahle aapko ekdum neeche utarna padega aur phir height gain karne ke liye ghumavdaar chadhaai chadhni padegi.Mangan pahunchte pahunchte chadhne aur utarne ka ye silsila badastoor zari raha . Parvaton ki uchaiyon se kabhi Teesta ek patli lakeer ki terah dikhti to kabhi ekdum se hansti khilkhilati paas aa jati.

Mangan Bazaar mein apne ek purane colleague ki taalash mein hum ruke. Humein bataya gaya ki wo sadak ke thode hi neeche rehte hain. Khair, mulaqaat bhi ho gayi par pahaad ke is thode neeche ka matlab vapas chadhte samay hi pata lag saka jab antim chaar seedhiyan chadhne mein humari himmat jawab de gayi.
Shaam ke 4.30 baje hum Chungthang mein the. Lachen aur Lachung ki taraf se aati do alag alag streams yahin pe mil kar River Teesta ko janam deti hain.

Chungthang ki haseen vaadiyon aur chai ki chuskiyon ke sath safar ki thakaan jati rahi. Shaam dhalne lagi thi aur mausam ka mizaaz bhi kuch badalta sa dikh raha tha.
Yahasn se hum jald hi Lachen ke liye nikal pade jo ki humara agla night halt tha.Lachen tak ke raaste mein rihayshi ilaake kam hi nazar aaye. Raasta sunsaan tha, beech beech mein ek aadh gaadiyon ki aawa-zaahi humein ye yakeen dila jati thi ki hum sahi raaste pe ja rahe hain. Lachen se kareeb 10 km pehle mausam badal chuka tha. Poori Lachen ghati gahri ghani dhundh ki giraft mein thi aur barish ki halki halki phuharein tan man ko thandak pahuncha rahin thin.
6 bajne se theek pahle hum 9000ft ke level par base in chote se gaanv mein enter kar chuke the. Par man mein ek zabardast excitement tha us agli subah ke intezaar mein jo shayad humein us neele aasman ke aur nazdeek le ja sake . Kaun thi wo khubsurat jagah jise dekhne ka sapna le ke hum ghar se nikle the..aur kitni upar jana tha humein ye sab agli kisht mein......
देवनागरी में पढ़ने हेतु यहाँ क्लिक करें ।

शनिवार, मई 13, 2006

Safar Sikkim Ka : Gangtok

Gangtok pahunchte hi humne hotel mein apna samaan rakha. din bhar ke ghumavdaar safar ne pet mein halchal macha rakhi thi. So jald hi pet- pooja ke liye shahar ke main market ki oor chal pade. Par ye kya poori MG Road sunsaan si lag rahi thi. Market ki kaun kahe yahan to koyi restaurent bhi khula nahin dikh raha tha. Pet mein kood rahe choohon ne man hi man itti jaldi so jane wale is shahar ko lanat bheji. Par bhojan to karna hi tha isliye apni talaash jari rakhi. Market ke aakhiri chor par aakhirkaar humein ek bengali restaurent khula mil hi gaya. Waise to kitne hi hill station pe jana hua hai par ye problem pehli baar hi saamne aayi. Mujhe Mussorie ki yaad aayi jahan raat 10 baje ke baad bhi bazaar mein kaphi chahal pahal raha karti thi. Khair Gangtok ki ek khas baat ye hai ki yahan aapka food bill kisi aur hill station se kam hi aayega.
Subah huyi aur saath waalon ne khabar dee ki amaan yaar andar plang par kab tak kamar seedhi karte rahoge jara bahar ka nazaara to dekh aao. Aur sahi hotel ki dehleez se bahar kadam rakhte hi ek adbhut drishya samne the. Kanchanjungha ki unchi unchi chotiyan apni vishal god mein jaise humein bulane ke liye bahein phailaye khadi thi.

Subah ka Gangtok shaam se bhi pyara tha. Dhoop ki kirnein sirf kanchanjungha ki choti par padti dikhayi de rahin thin , baki sab or dhoop abhi aayi nahin thi. Par pahadon ki khasiyat hi hai ki yahan ka mausam insaanon se bhi teji se rang badalta hai ;). Hotel mein wapas lautkar jab aaya to Kanjungha badalon ke peeche gayab ho chuki thi. Khair humein ek lambi yatra ke liye nikalna tha. So humara group 10.30 tak Gangtok ke bahri hisse tak pahunch gaya. Yahan hum Tashi View point pe gaye jo MSL se 5500 feet upar hai. Yahan se do raste nikalte hain ek poorab ki or chalta hua Nathu Laa chala jata hai to doosra uttar yani northwors chalta hua uttari sikkim mein chala jata hai.
Humein pehle northwards jaana tha. Tashi View Point se aage teesta nadi ke sath sath abhi 100-125 km ki yatra aur poori karni thi apne doosre transit point ko touch karne ke liye. Khair uski kahani agle hisse mein.....
देवनागरी में पढ़ने हेतु यहाँ क्लिक करें ।

मंगलवार, मई 09, 2006

Safar Sikkim Ka... New Jalpaiguri Se Gangtok Tak

Garmiyan apne poore shabaab pe hain. Aakhir kyun na hon May ka mahina jo thehra. Agar aise mein bhi surya dev apna raudra roop hum sab ko na dikha payein to phir log unhein devtaon ki sreni se hi hata dein.:). Ab aapke shahar ki garmi to main kam kar nahin sakta... kam se kam is blog pe hi le chalta hoon ek aisi jagah jahan pichle mahine inner, full shirt ,sweater aur jacket pahnne ke baad bhi hum kapkapin mehsoos kar rahe the.

Humare safar ki shuruaat huyi 7 April se jab humara group Ranchi se rawana hua aur 8 ko din mein New Jalpaiguri pahuncha . Humara pehla padav Gangtok tha jo ki by road Siliguri se 5 ghante ki doori pe hai. Siligudi se takreeban 30 km door chalne ke baad se hi raaste ke donon oor ka paridrishya badal sa jata hai. pehle milti hai sadak ke donon or hare bhare pedon ki katarein aur phir.......


Lo main to bataana hi bhool gaya yahin se humare group mein madam ko join karna tha. Yahan se poore safar tak wo humare sath sath rahin. Kabhi ithlaati to kabhi balkhati, unki is madhur chavi ko dekh hum to poori terah mantramugdha ya yoon kahe ki flat hi ho gaye the. Khair isse pehle ki aap sab unka naam poochein khud hi bataye dete hain. Naam tha unka TEESTA. Kahin aap asab kuch aur to umeed nahin lagaye baithe the :)

Khair Teesta ki is hari bhari ghati aur ghumavdaar raston mein chalte chalte shaam dhal aayi aur nadi kinare hum sab gadi ke bahar tahlne nikle. Door pahad par chote chote gharon ke beech ujle dhuye ki lakeer badi mohak lag rahi thi.

Kareeb 7.30 baje hum Gangtok ke neeche aa pahunche the. Door se hi unchai par roshni ki jagmagahat saaf dikh rahi thi.
Par abhi to humari yatra suru huyi thi. Gangtok to bas transit point tha asli muqaam to abhi bhi kaphi door tha un uchaiyon mein chupa hua jiska rahasya ki khoz mein hum sab is safar ko nikle the…

रविवार, मई 07, 2006

Happy Wedding Day Neel !

Blogworld mein mere liye ye is terah ki mubaraqbaad dene ka ye doosra mauqa hai. Waise bhi ye wo pal hain jiska kabhi na kabhi sabko intezaar hota hai. Jee haan aaj meri dost Neel ki shadi hai. Infact in panktiyon ko post karte karte Neel aur Srinivaas parinay sutra mein bandh chuke honge.
I am so happy for Neel!
Gham ke andheron se nikal aaj sapnon ki dher sari kirnein uski zindagi mein le aayi hain ek naye savere ko..
Ek aisa savera….
Jahan aashayein hain umangein hain ...
Jahan zindagi ko ek naye avlamb ke sath jeene ki chahat hai..

Neel asha karta hoon ki ye nayi shuruaat tumhein ateet ki parchaiyon se bahut door khushiyon ki us duniya mein le jaye jiska tumhein humesha se intezaar tha.
Garmi ke is daur mein barish ki phuharein tapti zameen mein sondhi sondhi khushboo la chuki hain..par in khushbuoon mein ye agan kaisi…..nayanon mein ye swapna kaisa….mere khayal se Neel pichle dinon se kuch aisi hi udhedbun mein hai :)..isiliye aaj khushi ke is mauqe pe is yugal jodi ke liye peshekhidmat hai Kishore aur Lata ka gaaya aur Yogesh ka likha ye geet jise sunna se bhi jada mujhe gungunana pasand hai :p


rim-jhim gire saavan, sulag sulag jaye man
bheege aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan
rim-jhim gire saavan ...

jab ghu.ngharuo.n sii bajatii hai.n boo.nde,
aramaa.N hamaare palake na muu.nde
kaise dekhe sapane nayan, sulag sulag jaae man
bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan
rim-jhim gire saavan
...

mehfil me.n kaise kah de.n kisii se,
dil ba.ndh rahaa hai kis ajanabii se
haay kare ab kyaa jatan, sulag sulag jaae man
bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan
rim-jhim gire saavan ...


pahale bhii yuu.N to barase the baadal,
pahale bhii yuu.N to bheegaa thaa aa.nchal
ab ke baras kyuu.N sajan, sulag sulag jaae man
bheege aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan
rim-jhim gire saavan ...

is baar saavan dahakaa huaa hai,
is baar mausam bahakaa huaa hai
jaane piike chalii kyaa pavan, sulag sulag jaae man
bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan
rim-jhim gire saavan ...


Wish u all the best for ur new married life Neel & Srinivas. Hope ur new path is joyous & smooth all along!

मंगलवार, मई 02, 2006

Kshama Karna JIJI !


Kitabein padhne ka mauqa tabhi mil pata hai jab tour pe hota hoon. Pichle hafte aise hi ek official tour pe Durgapur ja raha tha aur sath thi ye kitab. Kareeb 100 pannon mein samayi thi JIJI ki ye jeevan yatra. Par wo do -teen ghante safar ki anmol kadi the. Kaun thin JIJI aur unki kahani kyun mujhe apne aas paas ke samajik parivesh se judi huyi lagi?