रविवार, अप्रैल 30, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part VII

Rishte bante rahe bigadte rahe kayi Ratein in bujhte huye rishton ki tapish mein dafan huyin . Jinhein nahin samajhna tha nahin samjhe . Javed Akhtar ne yun hi to wo nazm nahin likhi kiTum Na Jaan Paooge”.
Waqt beetta raha . Kuch mitra blogworld se juda ho gaye Isha, Pari, Divya aur ab Puneet.
Unse gujarish yahi ki
O jaane wale ho sake to laut ke aana!
Par hum na waqt ko thaam sakte hain na doston ko.isliye maine baat ki is ghazal ki
Na Mohabbat Na Dosti ke Liye
Waqt rukta nahin kisi ke liye…
Khair koshish yahi rahegi ki kam se kam samay ke thapedon se is shaam ke safar badastoor jari rahe. Par in posts se aap sab ye to maan gaye honge ki koyi bhi shaam haseen banti hai unmein aanewale shakshiyat ki wazah se. Hope to see u all in the next year and years to come. Aur chalte chalte Gopal Das Neeraj ki ek kavita jiski kuch panktiyan Neeraj wali post ke jawab mein Alaapna ne post kee thin. Neeraj se hi is blog ki vrashgaanth ka aaghaaz hua tha aur unhin se hum is silsile ko apne anjaam tak pahuchate hain.


duur se duur talak ek bhii daraKht na thaa
tumhaare ghar kaa safar is qadar to saKht na thaa

[daraKht = tree; saKht = difficult/hard]


itane masaruuf the ham jaane kii taiyaarii me.n
kha.De them tum aur tumhe.n dekhane kaa waqt ka thaa


[masaruuf = busy]

mai.n jis kii khoj me.n Khud kho gayaa thaa mele me.n
kahii.n vo meraa hii ehasaas to kam_baKht na thaa


[kam_baKht = unfortunate]


jo zulm sah ke bhii chup rah gayaa na Khaul uThaa
vo aur kuchh ho magar aadamii kaa raqt na thaa

[Khaul = boil; raqt = blood]

unhii.n faqiiro.n ne itihaas banaayaa hai yahaa.N
jin pe itihaas ko likhane ke liye vaqt na thaa

[itihaas = history]

sharaab kar ke piyaa us ne zahar jiivan bhar
hamaare shahar me.n 'Neeraj'-saa ko_ii mast na thaa
CONCLUDED

7 टिप्‍पणियां:

  1. Liked the poem very much.Nice to read all the comments again.Hope Puneet,divya and others return to blog world soon.they really do write well.

    thanks for these wonderful seven posts.Sach mein its feels really nice to be on ur blog.

    जवाब देंहटाएं
  2. Shivam liked this poem, shivam read all your blog and liked it all. He can read many languages.
    visit our shrine to him here

    जवाब देंहटाएं
  3. Nagu Shukriya Nagu! Mujhe bhi yahi umeed hai ki ye sare log blogworld mein juroor lautenge ;)

    जवाब देंहटाएं
  4. OMG aaj bahut dino baad achanak mann kiya aapka blog check karne ka manish. aur dekha ki aapne hame yaad kiya. shukriya ji iam so touched as its been long time i left blogs but u remembered my name.. thanku
    hope life's treating u well.

    keep smiling..

    जवाब देंहटाएं
  5. belated wishes on 1st anniversary of yr blog. must say impressed the way u celebrated it. very unique bahut sweeet..aapka andaz nirala hai manishji :)

    hey as u enjoy nazms n ghazals a lot check this site hope u'll like it.
    www.aligarians.com

    जवाब देंहटाएं
  6. Pari/Rimjhim are Pari waqai behad khushi huyi tumhein yahan dekh ke. Hope aap jahan bhi ho achche se hon.
    Bas beete saal mein aap sab ke sath jo kuch achche pal beete the unhin ko bantne ki koshish thi ye first anniversary ki peshkash :)
    I missed all of u..aajkal to Pari ke sath Puneet Divya...sab blogworld se juda juda hain..

    Are tumhein kaise laga ki humne alligarians.com visit nahin ki hogi. :) Wo to Mohib ki behtareen site hai. Blogging suru karne ke pehle kabhi hum sab ek hi poetry forum mein sath sath hua karte the.

    ek gujarish aur agar kabhie blogging phir se suru karo to juroor batana..

    जवाब देंहटाएं
  7. Super color scheme, I like it! Good job. Go on.
    »

    जवाब देंहटाएं