रविवार, अप्रैल 23, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part V

August ka mahina raha anjaan chehron jaanleva muskurahat aur pareeksha ki us ghadi kaa kaa,DON. Pari , Divya, Puneet, DD, Neel, Chutki sab sath rahe is safar mein.Divya, DD aur Pari ko post padh kar apne aise hi kisson ki yaad aa gayi. **********************************************************************
Udhar Chutki ne ise meri khinchai karne ka achcha mauqa dhoondha Dekhiye kis terah sheron ke waar kiye mere zakhmon pe :)
aaj tootay howay sapnon ki bauhat yaad ayee
aaj beetay howay sawan ko bauhat yaad kiya

Hayeee....ye kya hogaya......abhi tou gari start hi howi thi k phir band ho gaye :(
ba'qaul-e-shayar:
itnii sii daastaaN hai, mile aur biChha.D gaye!
aghaaz ho raha tha, k anjaam ho gaya!

Aur baat hai us haseen ki halki halki tabasum (smile) ki...;)tou janab dekhiye ye -Sudarshan Faakir-sahab kya kehtay hain is baray mai :
dekhanevaalo tabassum ko karam mat samajho
unhe.n to dekhanevaalo.n pe ha.Nsii aatii hai

:D... ye hum nay bilkul nahi kaha ....ye tou shayar-e-gustaakh hain k kuch bhi kehtay rehtay hain ;D :P
Hum tou bus 'nazeer bansari' ji ki baat mantay hain...:) jo k kehtay hain
kahii.n par bhii rahe.n ham to muhabbat phir muhabbat hai
tumhe.n ham yaad aaye.nge hame.n tum yaad aaogii

**********************************************************************
Aur Puneet ne apne anubhavon ke aadhar pe humein ye salah de dali
Waise bhi ladkiyon ki muskurahat ke raaz jaan ne ki koshish karoge to zindagi yuhi guzar jayegai...
Unki muskurahat to aankhon se guzar dil ko cheer jaati hain...
aur hum bus marham ki khawaish main agli mulakat ka intezar karte rehte hain :-)>

Lekin kuch hi dinon baad Intezaar ki ek kadi mein Puneet ne kuch aur khulase kiye :)
woh ghanto bus stop or railway stn par uska intezaar karna...
uska dair se aana aur mera parha chad jaana...
fir dekh kar uski woh methi si muskurahat...
zindagi main jaise ek nayi lahar ka aana

pehle na jaane kitne saal guzar gaye uske intezaar main
usssey millne ke liye
aur ab na jaane kitne pal guzar rahe hain uske intezaar main
sath chalne ke liye...

**********************************************************************
Phir huyi Puri, Chilka aur dhauli ki yatra. Laut kar kiya humne kisi ka intezaar Aur isi beech jude is blog se kuch naye chehre Zombie, Illusion, Manish Soni aur Nagu. Yahan tak ki chup chaap padh kar jane wali Sayesha ne bhi is blog ko apne comments se nawazaa. Beech mein aaya DON ka bday aur dekhiye kitni sensitive hoti hain ladkiyan apni umra ke bare mein… :p ki wishes ka reply dete huye ye kehna nahin bhoolien...
btw @manu...ye meri pol kholne ki nahi ho rahi..hai :p meri age nikalo wahan se :( baah aah!!!!
chor chori se jaaye magar seena zori se kaise jaaye ...hmm :p

**********************************************************************
To be continued

9 टिप्‍पणियां:

  1. hahahaa Manish....tum bhi bade woh ho hahaha...sahi hai...nehale pe dehala...dekh leinge bachooon :P

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Waah Kya kavita likhi hai....
    Lage Raho.

    Aapke iss blogging abode mein ek aur naam jud gaya...mera yaar, aur kiska.

    Enjoyed reading your poems

    Regards

    जवाब देंहटाएं
  3. Manish, humaare blog par aap tashreef laaye, humaari khushkismati hai aur pasand kiya iske liye shukraguzaar bhi hoon. Leela ki woh ghazal mere dil ke bahut paas hai. Aapke blog par aakar pata laga ki aap Ranchi ke hain. Zindagi ke 19 saal Bokaro mein guzaare hain maine, isliye itne door ke bhi nahin hain.

    जवाब देंहटाएं
  4. loz DON Maine to wahi reproduce kiya jo aksharsah aapne kaha tha :) Waise age batane aur pole kholne ka rishta kya hai ye sabko batana tha na!

    जवाब देंहटाएं
  5. aaiye aaiye Abhishek ji is shaam ko aapka hi intezaar tha. kavita aapko achchi lagi jaankar khushi huyi par bhool se ye na samajh lein ki maine likhi hai! Maine to unhein sirf select kar aapke saamne prastut kiya hai.
    Asha hai aap yahan aate rahenge.:)

    जवाब देंहटाएं
  6. Rambler ji!
    are aise hi thode hi ruke the aapke blog pe ! meri aadat hai ki Jiske shauq mujhse milte hon uski profile hum juroor dekhte hain! Ek to humari pasandeeda ghazlein aur doosre Bokaro rukna to lazinmi hi tha.

    Leela ki wo ghazal kabhi humne bhi kisi ko dedicate kari thi so aapki terah wo mere dil ke bhi paas hai.

    Achcha rambler hope ki aap yahan aate rahenge aur sath sath apna blog bhi jaldi update karenge.

    जवाब देंहटाएं
  7. shukriya kaunquest aapne jo bhi padha wo sab mere blog pe aap jaise doston ke dwara kiye gaye comments ka hissa hain.
    dekhiye na kitte shayrana log aate hain yahan :)

    जवाब देंहटाएं
  8. Zombie are zombie is blog ki theme line hain na Zindagi yadon ka karwan... dekha na kitna sahej karke rakhte hain in yaadon ko :)

    जवाब देंहटाएं