सोमवार, अप्रैल 17, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part II

To meharbaan qadradaan waqt aa gaya hai is blog ki kahani un doston ki jubani sunne ka jinke beshkeemti comments ne un posts mein nayi jaan phoonk dee. To pesh hai ye safar un chune huye comments jinhone mere dil ko chua hai ....
*************************************************************************************
Mayoosi bhare din the mood behad kharab tha aur dil baar baar Gulzar ki ye nazm gungunaane pe mazboor tha..
Kisi mausam ka jhonka tha jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai...

Aur Chutki ne likha
Aap ki tehreer ki bunyad vishvas par hai,dunya mai har kism k log hain,jin mai say kuch hamaray dil k behad kareeb bhi ajatay hain aur hum unko apni zindagi ka ek hisa bana letay hain,har choti bari khushi ,aur har chota bara ghum un k sath bantay hain,aesay logon ko hum apnay vishvaas k us darjay par lejatay hain jahan koi ek chota sa jhoot bhi buhaat thes pohnchata hai,dil phir say cahta tou hai k us shaks say nata na torein, saath na chorein aur aesa karnay mai kamiyaab bhi hojatay hain hum magar zehn mai ek waham beth jata hai jo na-chatay howay bhi zindagi bhar qayaam rehta hai.
*************************************************************************************

Post thi Bunty aur Babli ka train song
Baat chali gulzar ke soft romantic song mein slang use karne kee aur Nandini ne ye khoobsurat Triveni pesh kee
'chalo na shor mein chal ke baithe
ki yahan to soch bhi bajti hain kanon mein
bahut batiyaya karti hai yeh phapphekutni tanhaayii'
*************************************************************************************
Batein ho rahi thin chuk chuk gadi ke safar mein khidki pe baithneki kheenchtaan ki aur DON ne share kiya ek mazedaar waqya :)
Rail ke us Safar Ek baar ka qissa bahut acche se yaad hey jab bade bhai ne ladkar baithne bhi na diya to hum roothkar ja kar so gayee the sabse oopar ki sleeper per aur oos din aise soye ke raat ke 8 baje ( jab andhera ho jaata hey), humein mum ne jagaya khana khane ke liye....shayad woh ek hee baar ka hadsa tha jo ab tak yaad hey..lekin ooske baad se ek time-table ban gaya tha ke kaun kab tak khidki per baithega!
*************************************************************************************
To be continued...

6 टिप्‍पणियां:

  1. Wha kya wakhiya yaad dila diya....bahut khoob :)
    Shukriya dost

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Wow..!!
    Kya andaz aur kya idea hai !!

    vo kya kehtay hain...JABARDAST !!! :D

    aur ye hum ne likha hai...Lol..yaqeen nahi ata...hehe..

    waisay apko ye nit naye idea's kahan say atay hian ??

    जवाब देंहटाएं
  3. Hamesha se yehin sochthi hoon ki aap agli baar kya likhoge:) lagtha hain aap ke paas hamesha koi na koi idea hota hain humne sunane keliye.Mujhe abhi thak yaad hain jab main yehaan pehli baar aayi thi kuch mahine pehle.Ek saal hogaya blog start karke,Mubaarak ho dost,Likhte rahiyega,hum aathi rahenge yehaan,zindagi ka safar kahaan lejaayega ye tho nahi patha lekin koshish jaroor karenge yehaan waapis aaneka:)

    जवाब देंहटाएं
  4. Chutki Shukriya ki ye idea tumhein pasand aaya ! It's atribute to all my frens who have given their heart felt feelings on this blog .

    जवाब देंहटाएं
  5. alapana Aap jaise apni terah ke logon ki khoj mein to ye blogging shuru ki. Thats why I love this place so much. Hmmmm juroor aate rahiyega alaapna ji we have always something to share to each other ;)

    जवाब देंहटाएं