शनिवार, अप्रैल 15, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part-I

15 April 2006 ki ye sandhya aayi aur poora hua is blog ke pehle saal ka safar! Mauqa hai aap sab se batein karne ka kuch is blog ke bare mein to kuch is blog pe aane waalon ke bare mein…

Baat 2005 January ki hai hum teen sathi yani DON, Chutki aur Main apni shamein udaas udaas si guzaar rahe the. Wazah thi humare purane urdu poetry forum ka yakaayak band ho jana! Ye wahi jagah thi jahan hum saalon se apni manpasand shayri aur geet share aur discuss karte the. Wo mehfil band kya huyi laga zindagi ka ek aham hissa hi humse alag ho gaya hai. Teen mahine yun hi anmane se guzre. Par April mein jab DON se blogging ke concept ke bare mein jaana to laga are yahi to main humesha se karna chaahta tha!
Is blog ko maine humesha apni ruchiyon (interests) ke aaine ki tarah rakha kyunki main iske sahaare un logon se judna chaahta tha jo sangeet, kavita, yatra aur purane meethe palon ko meri terah hi mehsoos karte hain. Mujhe khushi hai ki pichle ek saal mein aise kayi logon tak pahunch paya hoon. Aur yahi wazah hai ki Hindi mein blog suru karne ke bavjood maine Roman Hindi mein likhna nahin choda. Ek jaisi soch aur shauq rakhne walon ke beech script yani lipi koyi deewar bane aisa main hargiz nahin chahta.


Sare bloggers ko ye jaanne ki utsukta juroor rehti hai ki aakhir kaun aata hai is blog pe?
Pichle saal is blog ke 15500 pageloads rahe aur uska kareeban 60% hissa waise gumnaam logon ka tha jo yahan koyi geet, koyi kavita, koyi ghazal dhoondhte aa pahunche. Mujhe is baat ki khushi hai ki mera ye blog un logon ke kuch kaam aa saka. Aap mein se kuch ne mujhe e-mail bhi kiya. Aasha hai aage bhi aap mujhe apni rai bhejte rahenge.
15% hissa waise logon ka hai jo yahan ghalti se aa pahunche :) yani khojne kuch aur aaye the aur nikla kuch aur. Aise logon ke sath meri poori sahanubhuti hai.
Baaki hissa un doston ka hain jo yahan humesha aate rahe. Inmein se kayi aaj is blog world mein sakriya (active) nahin. Is blog ki aage ki kahani un mitron ke naam jinke bina is blog ka pehle saal ka safar itna madhur nahin rehta...
To be continued..

10 टिप्‍पणियां:

  1. Many many happy returns to your blog on its (errmmm...I usually personify everything. Do you? Then this blog is he or she?) 1st Birthday :). Guess what, I understood the whole the writing :). No mention of people who once thought of coming here to learn Hindi ;P ;P ;P....?

    जवाब देंहटाएं
  2. No mention of people who once thought of coming here to learn Hindi ;P ;P ;P....?

    Are maine likha hai na ki yahan aanbe wale doston ke bare mein agli post mein likhoonga. so be patient :)

    जवाब देंहटाएं
  3. thoda late ho gaya aaj yahan par. Kuch dino se yahan aa raha tha par koi update nahin tha phir aaj pata chala aap sahar mein nahin the.

    congratulations on finshing one year in blogworld.Happy birthday "Ek SHAAM MERE NAAM".

    thanks for some great posts about poems ,ghazals and everything.it was wonderful coming here for last four months which made me feel i am still in india.

    जवाब देंहटाएं
  4. haan Nagu I was away to sikkim for last one week.
    it was wonderful coming here for last four months which made me feel i am still in india.

    shukriya Nagu itte pyare compliment ka! I hope ki mera ye blog us indian feel ko aage bhi barqaraar rakhega.

    जवाब देंहटाएं
  5. Zindagi k din is rough and tough tareqay say guzar rahay hain...k aesa lagta hai sadiyan guzar gayein apko parhay howay..Aur ap k is anmol ghar mai aye howay…dil ki aisi kaifiyat par jab hum ap k blog par aye..aur ye jana k ap ne ek sal pora kar lia hai..to yun mehsos howa ..jaisay is ek sal mai aap ne waqi apnay hunar say ek aisa aham hissa takleeq kar dikha...jo aap ka aqs hai...apka hisa hai...apko janay ka ek behtreen zariya...jo k aap k zokh o shok ko numayan karta hai ....!
    Ye kehna bilkul ghalat na hoga...k ap ne jis khoobi se likha...jis andaz mai likha...vo hamari nazar ek aisa andaz hai ..ek aisa munfarid tareqa hia jo zahiran parhnay walay ko bharpoor andaz mi lutf andoz kardeta hai...chahay baat phir kisi sanjeeda ya ghum k mouzo ki hi kyn na ho...ap ki tabiyat mai suroor aur qalam mai farawani ka ehsas hota hai..
    Aur hum to yehi kahein gay k nasr mai shayri ka sa andaz aur lutf lana ho to aap ki takhleeqat ka jaiza zaroor karay ...

    Hamari janib se 'Ek shaam meray naam' ko janaum din buhat buhat mubarak ho !

    Yehi dua hai k aap k josh aur dedication say iss blog ki umr daraz hoti rahay :))

    जवाब देंहटाएं
  6. Wha Manish meri taraf se bhi badhayee bahut bahut badhayee...:)
    Tumhare iss post se ...maano woh saare din samne yakayak ek kitab ke pannon ki bhanti palatne lagin...woh bhi kya din the...aur ye bhi kya din hain :)
    Mujhe bahut khushi hui ...ke blog ka silsila hum sabhi ke liye ek sahara hee nahi balke ek sapna sakaar hone ke roop samaan raha :)
    accha laga aaj yahan blog ko phir zinda dekh kar...warna ek suni see anubhuti thi jab tum sikkim nikal liye the akele akele ...lol
    Cheers on 1st bday...:)of ur shaam

    जवाब देंहटाएं
  7. Chutki tumhein yahan aaya dekh behad khushi huyi.
    hmmmmm abhi padhai likhai ka daur hai achcha hai tum mehnat kar rahi ho. Sahi waqt par sahi mehnat hi achche bhavishya ka rasta dikhati hai.
    Itni tareef ka shukriya... waise is tareef ke asli haqdaar tum jaise mere dost hain jinki sangat mein rahkar humesha kuch share karne ki iksha bani rahti hai. Bas yahi aasha hai ki aap jaise shayrana reader hka sath is blog ko humesha milta rahega :)

    जवाब देंहटाएं
  8. DON Shukriya dost shuruaat se is blog ka sath nibhane ka.
    akele to hum sab hain apne apne raah-e-safar mein ! Waise bhi
    aur bhi gham hain zamane mein net frens ke siwa:) Kyun DON sahi hai naa hee hee hee

    जवाब देंहटाएं
  9. Bilkul ghalat Manish...blog ho ya net...jab koi nahi nazar aata tab ooski kami mehasus hoti hai..aur waqai iss baar amavas bahut lambi thi ...:)

    जवाब देंहटाएं
  10. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं