शनिवार, अप्रैल 01, 2006

Nar Ho Na Niraash Karo Man Ko...

Naakaami, hataasha, maayoosi, krodh kuch aisi bhavnaayein hain jo gahe bagahe aksar humein dukhi karti rehti hain. Par inse nikalne ke liye idhar udhar bhatakne ke bajay agar apne antarman mein jhakein to wahin se ek umeed ki roshani jhalak sakti hai. Main to har baar aise chanon mein apne paas hi lauta hoon aur yahi mehsoos kiya hai ki aatma bal (self motivating force) hi sabse bada bal hai yani aapne aap ko sahara aap apni andruni shakti ko jaga ke hi de sakte hain. Kehte hain ki uparwala usi ke sath deta hai jise apne aap pe bharosa hai.

Aakhir Iqbal ne yun hi to nahin kaha..

Khudi ko kar buland itna ki har taqdeer se phehle
Khuda bande se khud pucche ki bata teri raza kya hai.

Aur is kavita mein Gupt ji bhi kehte hain
Akhileshwar hai avlamban ko
Nar ho naa nirash karo man ko

Bachpan mein pitaajee utsaah badhaane ke liye isi kavita ki panktiyan sunaate the. Aur aaj bhi mujhe jab lagtaa hai main bekaar hi apna samay nasht (waste) kar raha hoon to is kavita ki panktiyan gunguna kar khud mein ek nayi aasha ka sanchaar karne ka prayaas karta hoon…

Kuch kaam karo, Kuch kaam karo
Jag mein rah kar kuch naam karo

Yeh janma hua kis arth aho
Samjho jismein yeh vyartha na ho
Kuch to upyukta karo tan ko
Nar ho naa nirash karo man ko

Sambhlo ki suyog naa jaye chala
Kab vyartha hua sadupaay bhala
Samjho jag ko na nira sapna
Path aap prashast karo apna
Akhileshwar hai avlamban ko
Nar ho naa nirash karo man ko

Jab prapta tumhein sab tatwa yahan
Phir ja sakta hai satwa kahan
Tum swatwa sudha ras paan karo
Uthke amaratva vidhaan karo
Davroop raho bhav kaanan ko
Nar ho na nirash karo man ko

Nij gaurav ka nit gyan rahe
Hum bhi kuch hain ye dhyaan rahe
Sab jaye abhi par maan rahe
Marnottar gunjit gaan rahe
Kuch ho na tajo nij saadhan ko
Nar ho na nirash karo man ko

Maithili Sharan Gupt
Maithilisharan Gupt (1886-1965) was one of the most famous modern Hindi poets. He was designated as the National Poet by the first government of the independent India.

9 टिप्‍पणियां:

  1. Nij gaurav ka nit gyan rahe
    Hum bhi kuch hain ye dhyaan rahe
    Sab jaye abhi par maan rahe
    Marnottar gunjit gaan rahe
    Kuch ho na tajo nij saadhan ko
    Nar ho na nirash karo man ko

    Wah!!!! Gupt ji ki kavita parhkar akasmat he ashru aan pare aankhon mein...ye bachpan itnee jaldi kyun beet jaata hai ke jab bhi yaad dilata hai to khushiyon ke sath dukhi bhi kar deta hai :)

    lekin phir Gupt ji ki kavita..jisne shayad mere bachpan ke oos deemag mein ek chabi bana dee thi...isiliye shayad mera hosla aaj bhi buland rehata hai :)

    Manish ek baat ke liye mein tumhari sarahna karna chahoongi aur woh ye ke...kavita ke sath sath kavi ko bhi pesh karna ( tasveer) mere dil ko bha gayee :) meine ek waqt kisi aur ko bhi iss ki salah dee thi..woh the Shayaron ki tasveer...:D
    Bahut khushi hui....agli shrinkhala ke intezaar mein :D
    am so happy !
    shukriya dost!

    जवाब देंहटाएं
  2. Manishji sach mein kehna hoga ki i really like the way u start most ur posts .really fantastic!

    Aapke Hindi kavi ke upar posts ko padhne ke badh aisa lagta hain ki main wapas Hindi kaksha mein pahunch gaya hoon.Thanks for reminding my school days again.

    yeh kavitha mujhe achhi tarh se yaad hain .kafi acchi kavtha hain Maithilisharan Gupt ji ki.

    waiting for ur next one.

    जवाब देंहटाएं
  3. DON Ye kavitayein aisi hain jinhone peedhi-dar-peedhi logon ko ek sambal ek hausala diya hai.
    Shabdon mein aisi jaan phoonk dene wale in mahan hastiyon ki yaad humare aankhon ke saamne aur jeewant ho sake isi liye unki chavi bhi sath lagayi hai. saraahna ke liye dhanyawaad.

    जवाब देंहटाएं
  4. Shukriya Nagu meri hauslaafzaahi ke liye. darasal koi bhi geet, ghazal ya kavita sun ke mujhe kya mehsoos hota hai use batana mujhe behad achcha lagta hai aur isi liye to blogging ko dil se apnaaya hai :)

    जवाब देंहटाएं
  5. I don't remember the poet but my favorite lines similar to one mentioned above are :

    "Kuch likh kar so kuch pad kar so ,
    Jis jagah jagaa savere us jagah se badkar so."

    जवाब देंहटाएं
  6. Your vast knowledge of Hindi poetry,Music and Ghazals always amazes me,and i am glad to have known you Manishji.
    Yaad hain ye Kavitha,bade puraane dino ki yaad dilaathi hain:)

    जवाब देंहटाएं
  7. Alapana The pleasure is both ways :)! nice to know that u still remember this poem.

    जवाब देंहटाएं
  8. Hi friends.....
    I am really glad to see such a classic collection of poetry...
    Thanks A Ton.....

    One small suggestion i belive ther is some addition to the written script....and that goes under....

    Kuch kaam karo, Kuch kaam karo
    Jag mein rah kar kuch naam karo

    Prabhu ne kumko kar daan kiye,
    Sab wanchhit wastu vidhaan diye,
    Jab tum kuch kar na sako
    tab dosh ye kiska hai ye kaho,
    Kuch kaam karo, Kuch kaam karo
    Jag mein rah kar kuch naam karo


    Hope this is true and in line with the given poem.....

    Thanks a lot...
    Warm Regards
    Shekhar....

    जवाब देंहटाएं