गुरुवार, अप्रैल 06, 2006

Aankh Ka Aansoo

Aansuon ki leela bhi badi vichitra hai. Ye kab, kyun aur kaise nikal jayein is bare mein pehle se koyi bhavishyavani karna atyant dushkar hai. Jab bhi dil ki bhavnayein chahe wo apaar harsh ki ho ya phir gahre vishaad ki, jabta karne mein hum apne aap ko asahaay pate hain ashru ki boodein nikal padti hain. Is kavita mein Ayodhya Singh Upadhyay 'Hariodh'ne aansuon ki kahani ko unko janm dene wali maanveey bhaavnaaon ke sath prastut kiya hai.

Ansoo us sakhsh ke liye nikalte hain jisse humein sneh ho. Apne kareebi ke dukh se j humari aankhon ka dravit hona uske prati humara pyar jatlane ka ek tareeka hota hai. Bakoul Qateel Shifai
Koyi ansoo tere daman par gira kar
Boond ko moti banana chahta hoon

Aur yahan kavi man ko choo dene wali in panktiyon mein kehte hain
Aankh ke ansoo nikal kar ke kaho
Chahte ho pyar jatlana kise
Par har waqt in motiyon ko yun hi bahate rehna bhi to theek nahin..
Kabhie kabhie ansuon ko humein dil mein sahej ke rakhna padta hai…
Kabhie apne maan sammaan ke liye to...
Kabhi un ghamon ko dil hi mein dafan karne ke liye jiski kaali chaya hum apne kareebiyon pe nahin padne dena chahte.

Isiliye to kavi kavita ke ant mein aasuon ko ulaahna dete huye kehte hain
Ho gaya kaisa nirala ye sitam
Bhed sara khol kyun tumne diya
Yoon kisi ka hai nahin khote bharam
Aansuon! Kaho tumne ye kya kiya ?

To pesh hai ek behad marmsparshi rachna jiske shabda shayad aapko bhi ashru viglit kar dein…

Aankh ka aansoo dhalakta dekh kar
Jee tadap kar ke humara reh gaya
Kya gaya moti kisi ka hai bikhar
Ya hua paida ratan koi naya

(dhalakta-girta, ratan –gem)

Oos ki boondein kamal se hai kahin
Ya ugalti boond hain do machliyan
Ya anoothi goliyan chaandi madhin
Khelti hain khanjanon ki ladkiyan

(anoothi- khoobsurt, chaandi madhin- covered with silver, khanjan

Ya! Jigar par jo phaphola tha pada
Phoot kar ke wo achanak beh gaya
Hai! armaan, jo itna bada
Aaj wo kuch boond ban ke rah gaya

(phaphola- boil, ghav- phoot- break)

Poochte ho to kaho main kya kahoon
Yoon kisi ka niralapan bhaya
Dard se mere kaleje ka lahu
Dekhta hoon aaj pani ban gaya

(niralapan bhaya –azeeb baat ka hona, lahu-blood)

Pyas thi, is aankh ko jiski bani
Wo isko nahin saka koi pila
Pyas jisse ho gayi hai sau guni
Wah ! kya achcha ise pani mila

(sau guni – 100 times)

Theek kar lo, jaanch lo, dhokha na ho
Wo samajhte hain safar karna ise
Aankh ke ansoo nikal kar ke kaho
Chahte ho pyar jatlana kise

(dhokha-fareb, janch lo- to check)

Aankh ke aansoo samajh lo baat ye
Aan par apni raho tum mat ade (don’t be defiant)
Kyun koi dega tumhein dil mein jagah
Jab ki dil se nikal tum yoon pade

Ho gaya kaisa nirala (azeeb) ye sitam
Bhed sara khol kyun tumne diya
Yoon kisi ka hai nahin khote bharam
Aansuon! Kaho tumne ye kya kiya ?


Ayodhya Singh Upadhyay 'Hariodh' (1865-1941)

हिन्दी में पदने के लिये यहाँ क्लिक करें

6 टिप्‍पणियां:

  1. Manish :) Ayodhya Singh Upadhyay ji ki tasveer dekhte he mein pehachan gayee...(matlab yadaasht itni buri nahi hai ;) ..)
    school mein meine parha tha..aur mujhe yaad hai iss per meine Krantikumarti madam se poocha tha ke...phir aurat jab roti hai to ooske iss ansoo bahane per oose kamzor kyun bataya jaata hai :)!
    aur tab oonhone kavi ki aakhiri pakntiyan parhkar samjhaya tha...!
    bahut hee khoob...meine shayad oonke jawab ke baad aansoo bahana ek kamzori ke lakshan hain aisa hee samajh liya tha aur aaj bhi dil kisi bhi baat se dukhi hota hai to aankhein bhar aatin hain lekin oose shayad hee kabhi kisi ke aage darshaya ho!
    Mein bhi yehi maanti hoon ke kisi ke liye ya kisi pal ke liye aansoo aa jaate hein to ooska matlab hee pyaar hai...jo hamare siine mein dard sa mehasus karwati hai jo..aansoo nikal aate hein!
    bahut hee khoobsurat peshkash...Qatil sahab ka sher bhi bahut khoob lagi!
    shukriya :)

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Another amazing post Manishji.I still remember reading this poem during my school days.Some really great lines.
    Mujhe bhi Qateel Shifai ki lines kafi achhi lagi jab main inko padh raha tha mujhe inhi baaton se judi mere beete huye din yaad aane lage.
    shukriya manishki for another wonderful post!

    जवाब देंहटाएं
  3. interesting read, very informative. I am not sure if I have studied his kavita in school.

    जवाब देंहटाएं
  4. DON Shukriya DON kavita ko dil se mehsoos karne ka! Ansoo ke maayne paristhiti ke anuroop badalte rehte hain. Kabhi pyar, kabhi kamzori to kabhie krodh..inmein to dil ke sare jazbaat dafan hote hain. Ansoon ki keemat to wahi pehchaan sakta hai jo iske andar ke jazbaat ko dekhte hi padh sake,mehsoos kar sake.

    जवाब देंहटाएं
  5. Aur Nagu sabse pehle to cheers ki humne series 5-1 se jeet lee. Kavita aur sher pasand karne ka shukriya.
    Sach kuch lines man ko jyada bojhal kar deti hain khas kar jab humse judi koyi purani yaad taaza kar dein.

    जवाब देंहटाएं