सोमवार, मार्च 06, 2006

Shaadi...Joote...aur......Part-II

Raat ke do baj rahe the...
Hotel ki lobby sunsaan thi. Main apne kamre mein thodi rest lene aaya tha. Joote aalmari ke andar double bed cover ke neeche surakshit rakhe the. Lete lete neend na aaye jaye ye soch ke sis ke kamre mein gup marne pahuncha aur idhar udhar ki gup chalne lagi. Mujhe kya pata tha us gehre andhere mein khoji tolee us lobby ke har ek khule room ki taalashi le rahi thi.
10-15 min ki gup shup ke baad jyon hi bahar nikla dekha wahi donon balak mere room se kuch nikalte huye teji se bhag rahe hain.
Poora maazra samajhne mein mujhe der nahin lagi.Man hi man khud ko kosa ki yaar manish ek lock maar dete to aisi naubat to nahin aati naa. Bachpan mein Papa se suni huyi kahawat ek dum se yaad aa gayi

Ab pachtawat hot kya, jab chidiya chug gayi khet :)
Yani jab chidiyon ne khet ke sare dane chug hi liye to ab pachtaane se kya phaida.
Par Chaanakya ki bhoomi ki kuch laaz to rakhni hi thi. Mujhe laga ki ab seedhi ungli se ghee nahin nikalne wala to Kautilya ki kutil neeti se hi ab kaam lena hoga.
Tezi se bachchon ko pakda aur lagbhag daante huye kaha
Are itti raat gaye tum log hotel mein kisi ke room mein chori karne ghuse the?
Bachchon ke chehre ka rang syaah pad gaya!
Itte gambhir aarop ki kalpana bhi nahin ki thi unhone. Waise bhi unhein ye pata nahin tha ki jis room mein unhone entry lee thi wo room kiska tha.
Bholepan se unmein se ek ne kaha ki uncle hum to ye new game khel rahe the! Aur dekhiye humne kuch churaya nahin bus ye dulhe ke joote liye the.
Utne hi gusse mein maine wo joote wapas liye aur kaha wo sab main nahin janta . Game ho ya kuch aur. Itti raat gaye is terah kisi ke room mein ghusne se log to tumhein chor hi kahenge.
Bechare asmanjas ki isthiti mein mera munh taakte rahe aur phir sar jhukaye neeche mandap ki or chal diye. Neeche ja ke jab unhone ye kissa kaha hoga to unhein phir dose mila hoga. kyunki raat ke 3 baje phir aaye mere kamre mein aur kaha ki uncle hum is game ke rules nahin jante the isliye aapne humein fool banaya hai . Ab to joote de deejiye. Maine badi mushkil se hansi rok kar kaha ki ab room ki taalashi le lo agar mil jayein to wo tumhare honge. Wo samajh gaye ki jooton ki position shift ho gayi hai. Is baar wo shadi ke bartanon ke andar daal diye gaye the aur pehre pe zabardast log the. So joote nahin milne the so nahin mile.

Aage ka morcha saaliyon ne sambhala haan final negotiation mein mujhe bhi bula liya taaki pressure built up rahe. Jaise wahan pahuncha peeche se aawaz aayi lo aa gaye Choron ke Sardaar aur hansi ki lehar hall mein daud padi..
dulhe ko kitne ka choona laga ye batane ki juroorat nahin kyunki usmein koi bargaining nahin ki gayi aur neg ka len den hansi khushi nibat gaya.

8 टिप्‍पणियां:

  1. awww Manishji...
    bacho par kautalya niti...
    nt fair ;-)

    bechare bache ;-)
    lolsss

    par shaadi mey chalta hain...

    during my cousin's wedding humne saliyon ke hath sirf moje lagne diye... juton ki unko bhanak bhi nahin mil payi...

    bechari saliyaan dhundti rahi aur haath kuch nahn aaya ;-) lolz

    par ye sab hi shaadiyon ko aur rangeen bana deti hain...

    kitne se kata dulhe ko ;-)

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. it was quite fun reaging the entire thing Manishji.still thinking of poor guys jinko aapne daant diya .mazaa aya padh ke

    जवाब देंहटाएं
  3. WOW Manish...tum baaj nahi aaoge kabhi bhi...bechare bacchon ko kaise apni kutil niti se darakar chor diya...I could see there expressions...kaash mein oon bacchon ki taraf se wahan hoti........hahaha maja aata sach!!!
    it was indeed interesting...am sure saaliyon ke haathon ....kaun bach paya hoga nai >?
    awesome...aage ki kadi ke intezaar mein :)

    khadus :p

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. haan Puneet strictly speaking NOT FAIR ! But bachchon se paar pane ka yahi tareeka tha :) aur apni shurati mehnat ko is terah pani mein jate kaun dekh sakta hai bhala !

    haan tumhare jaisa koi opposition mein hota to hum ladkiyon ki team depute karte aap se paar pane ke liye :)

    rate ka koi idea nahin tha meri cousins ne kaha 1500 se start karenge aur phir thoda sa bargain agar nahin mane to. Par they agreed immediately :)

    जवाब देंहटाएं
  5. Shukriya ji ki itni lambi post ko padhne ka sanyam aapne baneye rakha Nagu !

    जवाब देंहटाएं
  6. DON haan tab hum Nuyi ko apne gut mein mila dete phir to joote hath aa hi jate!
    unse to aap turat kehti aapke liye jute kya dil hi hazir hai :)hee hee

    aur aage koi kadi nahin aane wali haan!

    जवाब देंहटाएं
  7. oops ! achanak se HAHK padhne se dimag ki light nahin jal payi :)

    जवाब देंहटाएं