मंगलवार, मार्च 21, 2006

Raat Bhar Bujhte Huye Rishte Ko Taapa Humne...

Insaani rishton ka kya hai..
Bade naajuk se hote hain ye..
Inki girahein kholna bada kathin hai..
Jitna kholo utna hi ulajhti jati hain..
Aur kisi rishte ko yun hi khatam kar dena bhi itna aasan nahin..
Kitnee yadein dafan karni padti hain uske sath..


Maazi ke wo anmol pal, un sath bitay lamhon ki ankahi si tapish ....
shayad aisa hi kuch mehsoos kar rahe hain Gulzar apni is behad khoobsurat nazm mein.
Iski har ek pankti dil ko chooti si nikalti hai.
Ek bahut hi samvedansheel (sensitive) nazm jise padhte waqt shayad aap bhi apne dil mein kuch pighalta mehsoos karein



Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bhar hamne alaav taapa
Maine maazi se kai khushk see shaakhien kaati
Tumne bhi gujre hue lamhon ke patte tode
Meine jebon se nikali sabhi sukhi nazmein
Tumne bhi haathon se murjhaaye hue khat khole
Apnee in aankhon se meine kai maanze tode
Aur haathon se kai baasi lakeeren phenki
Tumne palkon pe nami sookh gayee thee, so gira di

Raat bhar jo bhi mila ugte badan par humko
Kaat ke daal diya jalte alaawon main use
Raat bhar phoonkon se har lau ko jagaye rakha
Aur do jismon ke indhan ko jalaye rakha
Raat bhar bujhte hue rishte ko taapa humne

Alaav a nazm from Gulzar

Click here to read this post in Hindi (Devnagari) script. You can also listen this nazm in Gulzar's own voice there.

13 टिप्‍पणियां:

  1. gulzar saahab to laajawaab hai. Hum to unki shaayari ke deewaane hai. Mazaaa aagayaa..
    yeh rishton mein ulajhne pe apna ik sher yaad aayaa. Gaur farmaayen,

    'inkaar bhi naa karthi hai woh, ikraar bhi naa karthi hai woh,
    jabse milaa hoon ulajhthaa gayaa hoon,
    Ajab si ik paheli hai woh'

    Janaab, hamaare gareebkhaane mein thashweef laane ka shukriyaa. Daawath dethe hain aapko, ke phir se aayiye aur hamaare puraane sheron ko bhi paDke raay bathaayiye.

    जवाब देंहटाएं
  2. nazm parhte parhte Kumar Chetan ki hasi muhahahaha jaise nazar aayee :) Gulzar ji ke alava aisee harkatein kaun kar sakta hai :)

    Awesome post jaani ..awesome

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. Swagat hai aapka Kaunquest sahab !
    Gulzar ke geeton , nazmon aur filmon se humara rishta purana hai. Jaankar khushi huyi ki aap bhi unki shayri ke prashanshak hain.juroor aayenge aapke yahan waise bhi hum net pe music aur poetry ka shauq rakhne walon ki taalash mein rehte hain.:)

    asha hai aage bhi aapki pratikriyayein milti rahengi.

    जवाब देंहटाएं
  4. Samajh nahin aaya DON ki Gulzar ki is nazm se Kumar Chetan ki hansi ka kya sarokaar hai ! :(
    waise ye post maine Bahas Muhasiba mein 2004 mein Gulzar wale thread mein post ki thi..aapki yaddasht utni achchi nahin isliye aapko batana juroori samjha.

    जवाब देंहटाएं
  5. Gulzar's collection of poetry and songs are brilliant. This one was yet another gem, thanks for sharing

    जवाब देंहटाएं
  6. Manish ji mein sirf yehi kehana chah rahi thi ke I was glad this nazm was posted here as am reading this after a long time...and I remember you had posted this in Bahas...all I wanted to show my happiness with that Muhaahhaa laugh am sorry If I have offended you in any way.

    Thanks

    जवाब देंहटाएं
  7. Nice post Manishji and nazm as well.

    aapki pehle ki line padkar pata nahin kyun aamir Khan ki "Mann" movie kuch line yaad aa gaye

    Kisi ka viswaas jitna aasaan hain usko todna usse bhi aasaan par muskhil hain us vishwaas ko nibhana

    pata nahin mujhe kyun yaad aa gaye par aapki lines kafi acchi hain.

    जवाब देंहटाएं
  8. DON I got confused by ur happiness ,wo bhi nazm padhte padhte thats why thought better to ask u directly!
    Since u explained it, now i can see ur comment in diff light. Thx for that.

    जवाब देंहटाएं
  9. Nagu Ji bilkul sahi kaha aapne viswas nibhane ke bare mein, it needs an extra effort which somehow we r unable to give due to avoidable/unavidable reasons.

    जवाब देंहटाएं