गुरुवार, मार्च 09, 2006

Na Mohabbat Na Dosti Ke Liye...

Zindagi ki is raah pe hum sab chal rahe hain, na jaane kab se ..
kabhi bhagte huye to kabhie halke halke kadam bharte huye...
Bachpan, school , college ke muqamon ko paar kate huye..
Is safar mein kitnon se nata juda, kitne dost mile, kitne sangi sathi bane
Aaj jab unhin pagdandiyon ko palat ke dekhta hoon to lagta hai are kitte log to is rah-e-safar mein kab sath chod gaye ye pata hi nahin chala…
Kabhi is bhag daud mein uthti dhool ke gubaar ne bane banaye rishton ko malin kar diya to kabhi ye bhi hua ki zindagi ki badalti rahon aur tasweeron ne un rishton ke auchitya pe hi sawaliya nishan laga diye.
Par yaadein to badastoor rehti hain, vivash karti hain humein apne ateet mein jhankne ke liye..
Hum to peeche mud ke dekh sakte hain , ruk sakte hain ..
par kya un khoye logon se phir judne ke liye kya ye waqt humein izazat deta hai.
shayad nahin , waqt ne peche mudna nahin seekha
Waqt to chalta rehta hai aur chaahte na chaahte humein iske sath liye gaye apne nirnayon ko dhona padta hai. Kabhi garv se to kabhi glani se!
Aisi hi bhawnayein liye Jagjit Singh ki gayi ye behtareen ghazal pesh-e-khidmat hai. zindagi ke kitne hi ekaaki chanon mein ye mera sahara bani hai aur isliye mujhe behad priya hai.

naa mohabbat naa dostii ke liye
waqt ruktaa nahii.n kisii ke liye


dil ko apane sazaa na de yuu.N hii
is zamaane kii beruKhii ke liye

kal javaanii ka hashr kyaa hogaa
soch le aaj do gha.Dii ke liye

har ko_ii pyaar Dhuu.NDhataa hai yahaa.N
apanii tanhaa sii zindagii ke liye

waqt ke saath saath chaltaa rahe
yahii behatar hai aadamii ke liye


Click Here to listen this Ghazal.

16 टिप्‍पणियां:

  1. bahut khusurat gazal hain...
    i'll have to check out this from home :-)

    bahut hi sahin baat ki hain aapne...
    waqt ke sath chahate na chahate chalna padta hain...
    maine apni kai kavitao mey is waqt se narazgi jatai hain ye jaante hue bhi ki woh wapas nahin lautega aur na hi mere liye thamega...

    par fir bhi...
    kuch palo ko dobara jeene ke khawish kis dil mey nahin hoti hain :-)

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. sahi kaha aapne Manishji waqt achha ho ya buraa hame uska saath dena hi hota hain.

    "Hum to peeche mud ke dekh sakte hain , ruk sakte hain ..
    par kya un khoye logon se phir judne ke liye kya ye waqt humein izazat deta hai."
    bahut khoob kaha hain manishji...

    i liked the ghazal also very much thanks for that.

    जवाब देंहटाएं
  3. Dil k veraan jazeron mai jab kohram machay..sansain ruk jain ya jazbat sara-e-aam marain...ya kisi husn-o-adab ka koi paikar aa milay..ya zamanay say tumhay chot mehz chot milay...tab bhi ye waqt yun hi taiz chalay hai ay dost.. sabhi ghum aur khushi is mai simat jati hai..yadain har mor pe ehsaas bus dilati hain...kitni raftar thi is waqt-e-beparwah ki kay hum..abhi aye hi nahi thay k abhi jatay hain !

    Waqai buhat khubsurat ghaazal share ki aap ne :)

    जवाब देंहटाएं
  4. मनीष जी, हिन्दी ब्लॉग जगत् में आपका स्वागत है। अगर आप देवनागरी लिपी में लिखें, तो आपका ब्लॉग पढ़ना ज़्यादा रुचिकर हो जाएगा।

    जवाब देंहटाएं
  5. This is very very strange... PROMISE...I have been having the same thoughts for the last couple of days, and thinking of writing up my feelings for my blog. And, behold! you have done almost the same thing.

    So many people come into our lives, perhaps even leaving their imprints on us. We are not even aware of it, can't even remember their names or faces.

    जवाब देंहटाएं
  6. Aaaj khamoshi chahyi hue hain,But just letting you know that i was here:)

    जवाब देंहटाएं
  7. WHa Manish...Jagu aur ghazal...ek dusre ke bina adhure hein..nai?

    bahut hee behatareen lafzon mein pesh kiya hai...shukriya :)

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  8. Puneet Bilkul sahi kaha puneet kuch palon ko punah jeene ki to kabhie kuch kiye huye ko badalne ki khwahish to rehti hi hai sabke man mein.

    जवाब देंहटाएं
  9. Shukriya Nagu ghazal pasand karne ka! Loved to know that u feel same abt it.

    जवाब देंहटाएं
  10. Pratik aapki baat sahi hai par kuch to takneeki kathinaiyon ki wazah (mere paas WIN 98 hai) aur khas tour pe ahindibhashi doston ke liye maine Roman Hindi ko sampresan ka madhyam banaya hai.

    जवाब देंहटाएं
  11. ZA shukriya ji aapko yahan dekh ke mujhe behad khushi huyi. THX a lot.
    aur jo nazm likhi tumne meri baat ke jawab mein wo mujhe behad pasand aayi.
    Aisa shayrana jawab dena koi tumse seekhe:)
    Umeed hai aage bhi yahan kabhi kabhar hi sahi aap dikhti rahengi.

    जवाब देंहटाएं
  12. hmmm KL it has happened to me also espescially on this blogosphere.
    Many times people have expressed same thing in a way which was not diff to what i would have written..

    thx dear for visting this space:)

    जवाब देंहटाएं
  13. khamoshi..hmmm Alapana.thx for visiting though.hope u liked the ghazal!

    जवाब देंहटाएं
  14. naa mohabbat naa dostii ke liye
    waqt ruktaa nahii.n kisii ke liye

    Thts a genius at work

    जवाब देंहटाएं