मंगलवार, मार्च 28, 2006

Chip Chip Ashru Bahaane Waalon ..

Zindagi mein choti badi mayoosi to aati jaati rehti hain. Unhein kitne dinon koyi apne pe haawi hone deta rahe. Neeraj ki ye kavita un logon pe ek teekhaa kataaksh hai jo sapnon ke tootne,kisi ke juda hone ka maatam is terah manaate hain jaise uske aalawa unki zindagi ke koyi maayne hi na hon.

Ye kavita humein prerit karti hai gham ke andheron se bahar nikalne ki ....
Aur is kathor yathaarth ko samajhne kee, ki sangi-sathi, sapne sab choot bhi jayein to ye jeewan phir bhi chalta rehta hai bina ruke bina thame… to kyun na hum bikhre huye tinkon ko jodein aur chal parein jeevan roopi parv ka harsh aur ullaas se swagat karne! ....

Chip Chip ashru bahaane waalon (ashru-tears)
Moti vyarth lutane waalon ! (vyarth –without any purpose)
Kuch sapnon ke mar jane se jeevan nahin mara karta hai

Sapnaa kya hai ? Nayan sez par,
Soya hua aankh ka paani
Aur tootna hai uska jyon
Jage kachchi neend jawani
Geelee umar banaane walon! Doobe bina nahaane waalon
Kuch pani ke bah jane se saawan nahin mara karta hai

Mala bikhar gayi to kya hai
Khud hi hal ho gayi samasyaa (samasya-problem)
Aansoo gar neelaam huye to
Samjho poori huyi tapasyaa
Roothe divas manaane walon! Phati kameez silaane waalon! (divas-day)
Kuch deepon ke bujh jaane se aangan nahin mara karta hai

Khota kuch bhi nahin yahan par
Kewal zild badaltee pothee (pothee –book)
Jaise raat utaar chandani
Pehne subah dhoop ki dhoti
Vastra badal kar aane waalon ! Chaal badalkar jaane waalon! (vastra –cloth)
Chand Khilounon ke khone se bachpan nahin maraa karta hai

Laakhon baar gagriyaan phooteen
Shikan na aayi panghat par
Lakhon baar kishtiyaan doobeen
Chahal-pehal wo hi hai tat par (tat-beach)
Tam ki umra badhaane waalon! Lau ki aayu ghatane waalon ! (tam-darkness)
Laakh kare patjhad koshish par upvan nahin maraa kartaa hai (upvan-garden)

Loot liya maali ne upvan
Luti na lekin gandh phool ki
Toofaanon tak ne cheda par
Khidki band na huyi dhool kee
Nafrat gale lagaane waalon! Sab par dhool udaane waalon
Kuch mukhdon ki naaraazee se darpan nahin maraa karta hai

Chip Chip ashru bahaane waalon (ashru-tears)
Moti vyarth lutane waalon ! (vyarth –without any purpose)
Kuch sapnon ke mar jane se jeevan nahin mara karta hai
Gopal Das 'Neeraj'

हिन्दी में पदने के लिये यहाँ क्लिक करें

14 टिप्‍पणियां:

  1. "Kuch sapnon ke mar jane se jeevan nahin mara karta hai"
    Manishji,mujhe apni kahaani yaad agayi:) Neeraj ki ek aur Kavita hain jo mujhe behad pasand hain..
    "duur se duur talak ek bhii darakht na thaa
    tumhaare ghar kaa safar is qadar to sakht na thaa

    itne masroof the ham jaane kii taiyaarii mein
    khade them tum aur tumhen dekhane kaa vaqt na thaa

    main jis kii khoj mein Khud kho gayaa thaa mele mein
    kahiin vo mera hii ehasaas to kambakht na tha..........

    Sorry manishji,bahuth busy thi pichle kuch dino se,maine saare post padein hain,par comment nahi karpayi,hamesha jaldi mein rehthi thi,aur aapke post ke liye main koi jaldi mein chota sa comment nahi likh sakthi hoon,isiliye, comment hi nahi kiya:)

    जवाब देंहटाएं
  2. bahut khoob...school ke din yaad dila diya...:)
    ek prernastrot kavita ke liye shukriya

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. simply marvelous.. lovely words..

    Dr Adnan..

    जवाब देंहटाएं
  4. bahut hi khubsurat kavita hain
    really very inspiring...

    wen we used to read such poems during our school days our only intention was to clear the exams...

    bt now we can understand what the real meaning is

    thanks for sharing :-)
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  5. to alapnaa purani kahani ko chor kar ab to aapke liye hum yahi geet gayenge.

    choro kal kee batein
    kal kee baat purani
    nye mod pe likhenge hum (yani u 2 :) milkar nayi kahanee :)

    aur neeraj ki jo ghazal share ki hai uske liye to bas itna hi kahenge ki Wah Bhai Wah

    जवाब देंहटाएं
  6. haan bilkul DON ye kavita man mein nayi umeedon ke liye ek asha jagati hai.

    जवाब देंहटाएं
  7. Kavita pasand karne ka shukriya Dr Adnan ! Hope u will come here again!

    जवाब देंहटाएं
  8. hmmmm Puneet bilkul, chahe wo itihaas ho ya sahitya humein school mein jab padhaya jata hai tab uski importance ya use samajh mein nahin aata. Baad mein umra ke sath we begin to appreciate that !

    जवाब देंहटाएं
  9. Hi ManishJi,
    Sabsey pehle to maafi chahunga ki bahut dinon se aapki mehfil mein nahin aa paaya (Par mein yeh kyon keh raha hoon, woh bhi ManishJi se?? After all, yahaan no maafi and no sorry, right? :))

    Kavita behad hi touching hai, sure we could all relate to it @ some point of time in our lives. But then, yeah you very rightly said it (And I too believe on the same lines) that - Yeh Jeevan chalta rahega bina rukey bina thamey, aur humein is khoobsoorat dagar par khushiyaan aur muskuraahat bikhertey huey aagey badhtey rehna hai.....Yahi Jeevan hai, hai na wakai khoobsoorat!!

    Aur woh Shaadi aur Jooton wala episode...ManishJi aapko jitna pehchaana hai humney, aisa nahin lagta ki woh bachchey (kids) aapse darr gaye hongey :) Aapki daant mein bhi ek mithaas rahi hogi :) Aur unhone is bhaley maanush ko purey aadar ke saath woh jootey lauta diye hongey :)

    Catch up later...
    Cheers!!
    MS

    जवाब देंहटाएं
  10. MS Humne to socha janab kahin beemar weemar to nahin padh gaye the. ab humein kya pata tha ki mahaashay pathan paathan mein vyasta hain. Koi nahin ji abhi aapke padhne likhne ke din hain padh leejiye:)
    bilkul sahi kaha MS ki kabhi na kabhi to aisi baat har kisi ki zindagi mein aati rehti hain.

    are humari daant mein mithas nahin ji ye to mahan aatmaon ke lakshan hain jo hum mein kadaapi nahin :)humari daant daant hi lagti hai, he he haan us daant mein kutilta jyaada aur asli gussa kam juroor tha :)

    जवाब देंहटाएं
  11. sir I was searching for this poem for past 6 yrs.! i read this poem when i was in 7th std. that time I was just a kid! and this poem was only part of my syllabus!!! but now I can really understand it!!!!!!!!!


    THANX A LOT!!!!!!!!

    जवाब देंहटाएं
  12. for more kavita and sher please visit http://khoobsurathindi.blogspot.com/

    जवाब देंहटाएं