शनिवार, मार्च 25, 2006

Aadhunik Hindi Kavita : Kyun hai Bhooli Bisri ?

Agar hasya kaviyon ki baat chor dein to aadhunik hindi kavita ke is yug mein ek aadh hi aise kavi hain jinhein sunne mein aseem anand ki anubhuti hoti ho. Kyun hai aisi halat is yug ki kavita kee.Is durdasha ka ek karan to ye raha ki aaj ke kaviyon ne kavita ke naye swaroop mein sirf vicharon ko ahmiyat dee aur lay ko tukbandi ka naam de ke uski sarvatha upeksha kee.

Mera ye maanna hai ki agar bhavna mein kavita ke pran baste hain to uski lay mein uska shareer. Shabdon ko lay ki veni se gutha jaye to uske bhaav sangeet ki ek lahar paida kar aatma tak pahunchte hain. Aatma kitni pavitra kyun na ho shareer ke bina uska shilp adhoora hai.
Isliye agar aap se koi ye kahe ki koi hindi kavita sunao to yakeenan aap aaj ki patra patrikaon mein chapne wali nahin balki school mein padhi gayi koi kavita hi sunayenge. Kyunki us samay ki kavita dil mein basti thi aur aaj ki matra kaghaz ke pannon tak.

Isiliye to aaj bhi agar Kabeer aur Raheem ke dohon mein aap jeevan ki sahi disha khoj pate hon.
Aaj bhi agarDinkar aur Subhadra Kumari Chauhan ki kritiyan yaad karte hi aapke khoon mein ek garmi si aa jati ho.
Mahadevi Verma aur Jayshankar Prasad ki bhav pravanta dekh ke aaj bhi aapki aakhein nam ho jati hon
Maithili Sharan Gupt ki Yasodhra aur Bachchan ki Madhushala ka pratibimb aaj bhi aapki yaadon mein vidyamaan ho

To aage ki posts mein main aapke vicharon ki bhagidaari chahoonga kyunki mere is blog ka agla mahina jismein ye apni varshganth poori kar raha hai usi purani Hindi Kavita ko samarpit hai.….
Shuruaat karoonga main Gopal Das Neeraj se jo aaj ke yug se talluk rakhne ke baad bhi us purani kavya shailee ka nirvahan karte aaye hain. Kavita likhne ke sath sath use laybadh tareeke se gane mein Neeraj ka koi sani nahin hai. Is mayne mein keh sakte hai ki unhone Bachchan ki virasat ko aage badhaya hai…
To be continued……….

14 टिप्‍पणियां:

  1. so ur blog will be completing one year thats really good.Jin kaviyon ke baare mein aapne jo jikr kiya
    Dinkar ,Subhadra Kumari Chauhan,
    Mahadevi Verma , Jayshankar Prasad ,Maithili Sharan Gupt aur Harivamhrai bachchan it sab mahaan kaviyon ka naam padhkar mujhe apne school ke din yaad aagaye aur saare Hindi ke adhyapak jinhon ne mujhe hindi sikhaya hain.
    Shukriya Manishji.
    waiting for ur posts during the month of April.

    जवाब देंहटाएं
  2. मनीष भाई, अगर आप देवनागरी में लिखें तो पढ़ना बहुत आसान हो जाएगा। रोमन में हिन्दी पढ़ना काफ़ी असहज है।

    जवाब देंहटाएं
  3. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  4. Nagu School mein main jab in kaviyon ki rachnayein padhta tha to Dinkar sareekhe veer ras ke kaviyon ko chor kar chayawaadi kaviyon ki rachnayein upar se guzarti thin. Aaj unhin pe agar dubara nazar guzarti hai to behad achcha lagta hai.
    sahi kaha aapne ki adhyaapkon ka bahut bada hath hota hai kisi vishay mein dilchaspi banaye rakhne ke liye !

    जवाब देंहटाएं
  5. Pratik yahan punah padharne ka shukriya. Aapki baat apni jagah bilkul sahi hai. Par mera ye blog un logon ke liye bhi hai jo devnaagri lipi se aparichit hain. Aur blog shuru karne ka mera pehla maqsad apni jaisi ruchi rakhne walon tak pahuchna tha.
    Waise ek alag Hindi blog shuru karne ka mera iraada hai aur jab bhi aisa main kar paoonga aapko sochit juroor karoonga.
    Par jahan tak is blog ki baat hai yahan Roman Hindustani chalti rahegi kyunki meri samajh se ise follow karne walon ka bhi ek bada tabka net pe maujood hai.

    जवाब देंहटाएं
  6. Manish..fantastic blog.It will be more enjoyable if you can write in hindi script than in Roman.Roman script kills the essence.

    Can't agree more with status of Hindi kavita today.There seems to be no torch bearers today to the legacy of Dinkar,Nirala,Shivmangal Singh Suman,Neeraj & Dushyant Kumar to name a few ....

    जवाब देंहटाएं
  7. Thx Utopian for liking my blog ! Hmmmm I am thinking on those lines thats why wanted to get the opinion of readers abt it.

    jaankar khushi huyi ki hindi kavita ki aaj ki isthiti par aap mere jaisi hi soch rakhte hain.

    asha hai aap yahan aate rahenge!

    जवाब देंहटाएं
  8. Manish ji..agar aisa hogaya to hamara kya hoga ? Hum abhi roman hindi mai itna pareshan say ho kar reh jatay hain....script chnge kar di to angrezi blog k ho kar rehjaingay sirf... :-/

    जवाब देंहटाएं
  9. Kaviyon ki baat kahi hai to mein yehi kahoongi ke aajkal sabhi kuch commercialized hogaya hai aur kavi woh likhte hein jo aaj ki pirhi parhna chahti hai...jab ke kavi apne mann ki baat apne hee tarike se samjhayein to shayad woh apne saath bhi aur apne samajh ke sathi bhi...nyaay hee kareinge..!
    Shayad isiliye itne saal hone ke bawajud...Harivanshrai ji...Gopaldas Neeraj jaise kayee kavi mann mein hee nahi..balke dhyaan mein bhi bhule bhatke se bhulaye nahi jaate.
    agli shrinkhala ke intezaar mein!

    Gar devnagri bhasha mein likhe to oon logon ka kya hoga jo aapki blog bare romanchak hokar parhte hein aur devnagri lipi parh bhi nahi sakte hein...
    nirnay aapne lena hai

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  10. hey i am back to readin hindi literature after a real long time...and i started with mohan rakesh...must say...i missed readin Hindi..and im lovin it now

    जवाब देंहटाएं
  11. Chutki Are ab tak aap jaise logon ke liye hi roman fonts use ki hai.Waise is blog ki aap hain kahan jab tab aawazein deni padti hain aapko yahan dekhne ke liye:)mujhe pata hai ki tumhein dikkat pesh aati hogi par aap sirf ghazalon aur nazmon pe hi apne vicharon se humein avgat karayein to mujhe khushi hogi:)

    जवाब देंहटाएं
  12. DON Hasya kavita to log aaj bhi maze le ke log sunte aur padhte hain isliye hasya kaviyon ke naam hai. baki kaviyon ko kitne log padhte hain?.
    Commercialization to door ki baat hai. Balki hindi kavya jagat mein isthiti bilkul vipreet hai. Sarkar dwara diye gaye puraskaron ya anya aayojanon ke aalawa kaviyon ka kahin naam nahin aata. janmanas ke antarman se kavita chali gayi hai aur uske ek karan ki baat maine ki hai.

    जवाब देंहटाएं
  13. DON Doosron ki baat chodein aap kaun si lipi mein is blog ko padhna pasand karegi uski voting keejiye:)

    जवाब देंहटाएं