बुधवार, फ़रवरी 22, 2006

Na Junoon Raha Na Pari Rahi

Maine Pak ke upanyaskaron ko jyada nahin padha. Sach poochiye to ye mera aisa doosra anubhav tha. Isse pehle maine Bapsi Sidhwa ki bahucharchit kitaab The Pakistani Bride padhi thi jo mujhe behad pasand aayi thi. Ek book fair mein Gulzar ke review ki bina par maine ise liya aur Zahida Hina ji ne mujhe nirash nahin kiya. Ek seedhi sadhi kahani ko flashback ke zariye bakhoobi aage badhaya hai.
Na junoon raha.. Brijes Dawar Ali ki kahani hai jo apne Abba jaan ke marhoom hone ke baad Hindustan mein apne ghar baar chorkar Patna seapne mangetar ki taalaash mein Karachi aa pahunchti hai. Yahan badle huye halaaton se uska saamna hota hai. Jinhein apna maan kar aayi thi wo uska daman chod dete hain aur wahin apnatwa milta hai ek Parsi pariwaar se .
Par kya wo pyaar kaphi raha use apni mitti se alag rakhne mein?
Prastut hain isi upanyaas ke kuch ansh…

Parvez se uska khoon ka, zameen aur jubaan ka mazhab ka rishta tha. Aur Manuchahar ek ajnabi, ek anjaan, zameen alag, juban alag,mazhab juda. Rishton ki sarhadein kahan se suru hoti thin? Kahan khatma ho jatin thin.
Manuchahar : Main janta hoon ki Parvez ne aapko kis qadar mayoos kiya hai par aap yoon to na jayein.
Brijes
:
Aapne kabhie kisi ko kabristaan mein rehte huye dekha hai? Yahan meri tehzeeb, meri rivayaat, mere rishton ki kabrein hain. Kabron ke darmayan kaise rahoon?
Nahin naa! Par awwal to us pyar ko waqt se pehchaan na payi. Aur jab pehchana tab shayad bahut der ho chuki thi.
Brijes Dawar Ali tanha ke pairon ke neeche se zameen khiski ja rahi thi. Aasman sar par jhuka aa raha tha..khabre-tahyuure-ishq sun na junon raha na pari rahi….jo rahi so bekhabri rahi. Tanha zindagi ke maahon saal khukhiyate huye bandaron ki tarah us par jhapatne lage. Manuchahar muntajir ke hothon ne sargoshi ki…….khaak ho jayenge hum tumko khabar hone tak….
Donon ne dahalkar ek doosre ki or dekha..
Kehne sunne ko kuch reh nahin gaya tha…

Zindagi bas kya yahi hoti hai?
Muththi bhar din.. Muththi bhar ratein….
Do arzoo mein kat gaye ..do intezaar mein.

Roshan surang mein safar shuru hua, is safar ke samapan pe sach ki koyi chaukhat nahin thi. Har taraf bekhabri thi aur bekhabri ke is safar mein tanhayi uska hath thame sath sath chal rahi thi.
About the Author :Zahida Hina is born in Sasaram (Bihar) & brought up in Karachi. She wrote several stories and novels. A progressive intellectual , still writes for an Urdu daily newspaper, Jang, on current political and social issues. Her estranged husband was Late Jaun Elia the talented poet who could not get the fame in his lifetime..

13 टिप्‍पणियां:

  1. मनीष,

    आप नागरी में क्यों नहीं लिखते। अगर कोई तकनीकी प्रश्न हों तो ये कुछ कड़ियाँ देखें-:

    http://akshargram.com/sarvagya/index.php/How_to_Type_in_Hindi
    http://akshargram.com/sarvagya/index.php/Making_a_Hindi_blog

    जवाब देंहटाएं
  2. wha...Jaun Elia ke nazm to waqai bahut he acche hein aur parhe bhi hain kayeee...lekin ye raaz aaj tumhi se khula ke Zahida Hina ji ka tallukh Jaun Elia ke saath tha...bahut hee guroor ki baat hai :)
    mujhe iss kahani ka halka sa he sahi saraansh parhkar andaza hogaya ke kya khub hogi ye upanyaas....mauqa mile to aur likhna iss kahanike baare mein :)

    amazing to hear something new :)

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. i have read soo many good poems on urdupoetry.com..but no book..brought bapsi sidhwas novels though..
    how r u:)

    जवाब देंहटाएं
  4. ManishJi,

    Wakai mein....Rishton ki sarhadein toh humi insaanon ki kheenchi hui ik rekha hai, dharm aur mazhab ke naam pe....Par acchha lagta hai ki isi samaaj mein kuch log hain ab bhi jinke liye is tarah ki sarhadein koi maainey nahin rakhti.

    Cheers!!
    MS

    जवाब देंहटाएं
  5. I could not see ur comment Vinay as I use WIN (*. Thx for dropping by.

    जवाब देंहटाएं
  6. Bahut sahi nukte ko pakda hai MS tumne! Darasal is novel mein Zahida ji yahi kehna chahti hain.

    जवाब देंहटाएं
  7. DONJaun Elia wali baat mujhe bhi ye post likhte samay tab pata chali jab Zahida ji ke bare mein main internet pe padh raha tha. Thoda sa ansh isiliye diya tha ki aapko is kahani ki ek jhalak aur theme mil sake. Taaki kabhie ye aankhon ke saamne se guzre to recollect kar sakein.

    जवाब देंहटाएं
  8. Sebia I am fine Sebia. Aap ka source sirf net hai kya :). I got its Hindi version from book fair. Waise is book ka english translation Lahore ki koyi mohtarma kar rahin hain.

    जवाब देंहटाएं
  9. I dun read hindi novels...
    I used to read during my school days... jab aadhe fundae bouncer jaate the ;-)
    lolz

    this one sounds good... my GF luv reading hindi novels... her favs is Shivani... I may suggest this to her :-)

    thanks for sharing :-)
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  10. Main bhi ab utna nahin padh pata par jab bhi official tour pe hota hoon to ek aadh kitaab sath juroor rakhta hoon ki mauqa lage to padh sakoon. Shivani ji achcha likhti hain. Haal philhaal mein maine unki krishnakali padhi thi jo achchi thi.

    जवाब देंहटाएं
  11. namaskaar....mai bhi ek kawi hoon ....mujhe aapki kawita achhi lagi..maine bhi apna blog banaya hai

    http://vikram-kavi.blogspot.com/

    open it...

    जवाब देंहटाएं