गुरुवार, फ़रवरी 16, 2006

And the Real Winners are...!

Isse pehle ki main is sangeetmala ka samapan karoon ye post un kalakaaron ko smarpit hai jinhone in geeton ko sangeet ke dhagon se is terah buna ki wo mere man mein rach bas gaye.
To sabse pehle baat karoon is saal ke behtareen geetkaar yani Best Lyricist ki. Agar aapko yaad ho to pichle saal ye jagah Prasoon Joshi ne Phir Milenge aur Hum Tum mein likhe apne bemisal kavyamay geeton ki wazah se lee thi. Par meri is geetmala ke HERO rahe Swanand Kirkire. Is navodit geetkaar ne na keval Parineeta, Hazaron Khwahishein Aisin, aur Sehar jaisi filmon mein apne bol diye balki apni aawaz ke jadoo se mera man moh liya.


Geetkaar ki kritiyan ek achche sangeetkaar ke bina adhoori hain. Yun to B&B mein Shankar Ehsaan Loy kabiletareef hai phir bhi is saal agar kisi ek sangeetkaar (Best Music Director) ka naam liya jaye to meri nazron mein wo Shantanu Moitra ka hoga. Parineeta, Yahaan, Hazaron Khwahishein Aisin, 7 1/2 Phere in sab mein isi shaksh ne sangeet diya hai. Aur Shantanu Moitra aur Swanand Kirkire ki is jodi mein kuch aisi baat hai jo ek waqt mein Pancham aur Gulzaar ke beech dikhai deti thi.


Yun to is baar Sonu Nigam meri is countdown mein chaye rahe par mujhe Rabbi Shergil aur Neeraj Sridhar ne bhi khasa impress kiya. Par agar is saal ki Best Male Playback singing ki baat karoon to phir Rahat Fateh Ali Khan ka koi sani nahin.Kalyug mein ek simple se geet ko apni gaayki ki uchaiyon se is terah sanwara ki kya kehne.
Best Female Playback hmmmm ye thoda pechida mamla hai.



Mujhe lagta hai ki Shreya Ghoshal aur Sunidhi Chauhan donon ne kuch behtareen nagme diye is saal. So is category mein mere liye ye joint winners rahe.
Aur Best Music Album for me its Parineeta….yahan shaq ki koyi gunjayish nahin..:)


Achcha to ab aap sabko kuch kuch andaza to ho hi gaya hoga ki meri is saal ki geetmala mein pehle number pe kaun sa geet hai ?

8 टिप्‍पणियां:

  1. sahi kaha doordarshan...lekin koi cartoon pic bhi rehati to bada maza aata :D....

    ye kaho na ke ash karne mein blog aur blog wasiyon ko bhul gaye...lol

    will be waiting eagerly

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. DON & Zombie Dekho ab rukawat ka board hata diya hai maine :)

    Aur Don ji asli ash to aapki ho rahi hai, nayi shadi, ghoomna phirna aur upar se valentine dinner aur na jane kya kya :) :0

    जवाब देंहटाएं
  3. Ji Ji JI....:D

    waise mein yahan tak aayeee aur do baar likhoon sochkar ruk gayee :D....

    mein jaan gayeee...waqai kahoon to ...bahut sahi chuna hai tumne...mujhe tumhara chunaav aur ooski vyakhya bahut sahi aur sarthak lagi :D

    keep it up as always
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. manish g pranaam,
    aap mere agraj hain isliye aap se koi vaad vivaad nahi karunga.
    par aap ko kuch batana chahunga.
    Mere ek mitra hain Iran me, unki bhasha hai Parsi.
    g haan Parsi Farsi nahi.
    Wo Eid Mobarak kehte hain na ke Eid Mubarak.
    Aap ki tippni padhi Sehar ke blog par.
    Aapka bhasha ka gyan sarahniya hai.
    Muje bhi laga ke Feeza Fiza me bahut antar hai par kavita ka bhavarth adhik mahttava rakhta hai.
    Kripya mere shabdon ko akramak na samje.
    Dhanyawaad.

    जवाब देंहटाएं
  5. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  6. Kumar Chetan Ji
    aapki baaton se Fiza ke liye aapka sneha tapakta hai aur shayad isiliye mere comment ne fiza se jyada aapko vichlit kar diya :).
    Maine jaisa comment kiya tha waise comment main sirf uske blog pe kar sakta hoon kyunki main jitni achchi terah se use janta hoon shayad aap nahin jante.
    Fiza meri sabse achchi dost hai aur main janta hoon ki meri teeka tippani wo kaise leti hai. Use wo blog hindi se apne touch ko barkarar rehne ke liye khola hai . uski hindi aur behtar ho yahi main chahta hoon. mere comment ko aap isi paridrishya mein dekhne ka kashta karein.

    जवाब देंहटाएं
  7. bhai,
    muje yahi laga tha ke aap mere teeka tippni ko kisi aur paridrishya me le lenge.
    Main kisi vaad vivaad me nahi padna chaahta.
    Abhi aapka uttar padhkar main dheeme se muskura diya.
    Kripya mera khula chitha jarur padhe.
    Dhanyawaad.

    जवाब देंहटाएं