बुधवार, फ़रवरी 22, 2006

Na Junoon Raha Na Pari Rahi

Maine Pak ke upanyaskaron ko jyada nahin padha. Sach poochiye to ye mera aisa doosra anubhav tha. Isse pehle maine Bapsi Sidhwa ki bahucharchit kitaab The Pakistani Bride padhi thi jo mujhe behad pasand aayi thi. Ek book fair mein Gulzar ke review ki bina par maine ise liya aur Zahida Hina ji ne mujhe nirash nahin kiya. Ek seedhi sadhi kahani ko flashback ke zariye bakhoobi aage badhaya hai.
Na junoon raha.. Brijes Dawar Ali ki kahani hai jo apne Abba jaan ke marhoom hone ke baad Hindustan mein apne ghar baar chorkar Patna seapne mangetar ki taalaash mein Karachi aa pahunchti hai. Yahan badle huye halaaton se uska saamna hota hai. Jinhein apna maan kar aayi thi wo uska daman chod dete hain aur wahin apnatwa milta hai ek Parsi pariwaar se .
Par kya wo pyaar kaphi raha use apni mitti se alag rakhne mein?
Prastut hain isi upanyaas ke kuch ansh…

Parvez se uska khoon ka, zameen aur jubaan ka mazhab ka rishta tha. Aur Manuchahar ek ajnabi, ek anjaan, zameen alag, juban alag,mazhab juda. Rishton ki sarhadein kahan se suru hoti thin? Kahan khatma ho jatin thin.
Manuchahar : Main janta hoon ki Parvez ne aapko kis qadar mayoos kiya hai par aap yoon to na jayein.
Brijes
:
Aapne kabhie kisi ko kabristaan mein rehte huye dekha hai? Yahan meri tehzeeb, meri rivayaat, mere rishton ki kabrein hain. Kabron ke darmayan kaise rahoon?
Nahin naa! Par awwal to us pyar ko waqt se pehchaan na payi. Aur jab pehchana tab shayad bahut der ho chuki thi.
Brijes Dawar Ali tanha ke pairon ke neeche se zameen khiski ja rahi thi. Aasman sar par jhuka aa raha tha..khabre-tahyuure-ishq sun na junon raha na pari rahi….jo rahi so bekhabri rahi. Tanha zindagi ke maahon saal khukhiyate huye bandaron ki tarah us par jhapatne lage. Manuchahar muntajir ke hothon ne sargoshi ki…….khaak ho jayenge hum tumko khabar hone tak….
Donon ne dahalkar ek doosre ki or dekha..
Kehne sunne ko kuch reh nahin gaya tha…

Zindagi bas kya yahi hoti hai?
Muththi bhar din.. Muththi bhar ratein….
Do arzoo mein kat gaye ..do intezaar mein.

Roshan surang mein safar shuru hua, is safar ke samapan pe sach ki koyi chaukhat nahin thi. Har taraf bekhabri thi aur bekhabri ke is safar mein tanhayi uska hath thame sath sath chal rahi thi.
About the Author :Zahida Hina is born in Sasaram (Bihar) & brought up in Karachi. She wrote several stories and novels. A progressive intellectual , still writes for an Urdu daily newspaper, Jang, on current political and social issues. Her estranged husband was Late Jaun Elia the talented poet who could not get the fame in his lifetime..

रविवार, फ़रवरी 19, 2006

Sartaaz Geet: Raat Humari To....

50 din poore huye is geetmala ko sure huye…aur is dauran 25 ki ulti ginti karte huye main aaj aap sab ko le aaya hoon shikhar pe baithe is sartaaj geet ke paas.
Ye geet mujhe kyun pasand hai. Andhera mujhe itna pyara kyun hai ye main pehle bhi likh chuka hoon.
CLICK HERE to read the lyrics and my feelings abt the song..

Ise gaya Swanand Kirkire aur Chitra ne, likha Swanand Kirkire ne, dhun banayi Shantanu Moitra ne aur film hai Parineeta.

Ratri ke kisi pahar mein aankhein moond leejiye aur Swanand ki gehri aawaz mein ye panktiyan dilo dimag ko un palon ki or barbas kheench le jati hain jo humne andhere ki god mein bitaye hon...

Raat humari to
Chand Ki Saheli hai
Itne dinon ke baad
Aayi wo akeli hai
Chuppi ki bela hai
Jhingur ka baaje saath……


Click here to listen the song

गुरुवार, फ़रवरी 16, 2006

And the Real Winners are...!

Isse pehle ki main is sangeetmala ka samapan karoon ye post un kalakaaron ko smarpit hai jinhone in geeton ko sangeet ke dhagon se is terah buna ki wo mere man mein rach bas gaye.
To sabse pehle baat karoon is saal ke behtareen geetkaar yani Best Lyricist ki. Agar aapko yaad ho to pichle saal ye jagah Prasoon Joshi ne Phir Milenge aur Hum Tum mein likhe apne bemisal kavyamay geeton ki wazah se lee thi. Par meri is geetmala ke HERO rahe Swanand Kirkire. Is navodit geetkaar ne na keval Parineeta, Hazaron Khwahishein Aisin, aur Sehar jaisi filmon mein apne bol diye balki apni aawaz ke jadoo se mera man moh liya.


Geetkaar ki kritiyan ek achche sangeetkaar ke bina adhoori hain. Yun to B&B mein Shankar Ehsaan Loy kabiletareef hai phir bhi is saal agar kisi ek sangeetkaar (Best Music Director) ka naam liya jaye to meri nazron mein wo Shantanu Moitra ka hoga. Parineeta, Yahaan, Hazaron Khwahishein Aisin, 7 1/2 Phere in sab mein isi shaksh ne sangeet diya hai. Aur Shantanu Moitra aur Swanand Kirkire ki is jodi mein kuch aisi baat hai jo ek waqt mein Pancham aur Gulzaar ke beech dikhai deti thi.


Yun to is baar Sonu Nigam meri is countdown mein chaye rahe par mujhe Rabbi Shergil aur Neeraj Sridhar ne bhi khasa impress kiya. Par agar is saal ki Best Male Playback singing ki baat karoon to phir Rahat Fateh Ali Khan ka koi sani nahin.Kalyug mein ek simple se geet ko apni gaayki ki uchaiyon se is terah sanwara ki kya kehne.
Best Female Playback hmmmm ye thoda pechida mamla hai.



Mujhe lagta hai ki Shreya Ghoshal aur Sunidhi Chauhan donon ne kuch behtareen nagme diye is saal. So is category mein mere liye ye joint winners rahe.
Aur Best Music Album for me its Parineeta….yahan shaq ki koyi gunjayish nahin..:)


Achcha to ab aap sabko kuch kuch andaza to ho hi gaya hoga ki meri is saal ki geetmala mein pehle number pe kaun sa geet hai ?

शुक्रवार, फ़रवरी 10, 2006

RUNNERS UP : Baawra Man Dekhne Chala Ek Sapna..

Sapne dekhna kise achcha nahin lagta!
Khaskar tab jab wo soti nahin varan jaagti aankhon se dekha jayein :)
Kam se kam apni kahoon to bachpan se aaj tak aise kayi sapne mere man ke sakshi rahe hain.

Bachche the to sochte ki agar apni Cadbury’s chocolate ki poori dukan hoti to kitna achcha hota.

Thode bade huye to radio pe aane wali cricket commentary ka bukhar aisa chadha ki har kisi se yahi kehte ki mujhe to Sushil Doshi jaisa cricket commentator banna hai.

Kishorawastha ki dehleez pe kadam rakha to ek adad girlfriend ki iksha satane lagi.Kitni ratein kitni karwatein in sapnon ki bali gayin unka to hisaab laga paana bhi mushkil hai.
Umra badhti gayi swapna badalte gaye....
kuch sapne poore huye to kuch adhoore reh gaye par jaagti aankhon se dekhein jane wale in sapnon ka silisila kabhie nahin ruka aur na rukega..sapnon mein badi taqat hoti hai janab ye aapko sirf jeene ka maqsad hi nahin dete..inki ghutti pee kar to humein apna dard bhi saga lagne lagta hai....ab inhin panktiyon pe gaur karein..

o udasi ki kiran bhatki huyi kya keh rahi tu
dhundhlake ke paar yoon nissar hi kyun bah rahi tu

prêet ka koi vachan hai
nit nibhana pranay pran hai
nayan mein sapna jaga hai
dard bhi lagta saga hai


Isiliye ye anjaana sa gaana agar meri is geetmala ke doosri number pe hai to aap sab ko aashcharya nahin hona chahiye. Ye gaana maine is geetmala ko start karte waqt suna aur iski position dhoondhte dhoondhte main doosre no. pe aa gaya. Jaisa maine pehle bhi kaha hai ki mere liye wo nagme sabse keemti hain jo mujhe mere aks se, mere beete huye kal se jodte hain. Aur atishyokti nahin hogi agar main ye kahun ki Swanand Kirkire ke gaye huye aur Shantanu Moitra ke dwara laybadh is geet ne mujhe phir se baawra bana diya…..)

baawra mann dekhne chala ek sapna ..
baawra mann dekhne chala ek sapna ..
baawre se man ki dekho, baawri hain baatein
baawre se man ki dekho, baawri hain baatein
baawri si dhadkanein hain, baawri hain.. saansein
baawri si karvaton se, nindiya door bhaage
baawre se nain chahe.., baawre jharokhon se.., baawre nazaaron ko takna..
baawra mann dekhne chala ek sapna ..

baawre se is jahaan mein, baawra ek saath ho
is sayaani bheed mein, bas haathon mein tera haath ho
baawri si dhun ho koi, baawra ek raag ho
baawri si dhun ho koi, baawra ek raag ho
baawre se pair chahe.., baawre taraanon ke.., baawre se bol pe thirakna ..
baawra mann dekhne chala ek sapna ..

baawra sa ho andhera, baawri khamoshiyan
baawra sa ho andhera, baawri khamoshiyan
thartharaati lau ho madham , baawri madhoshiyan
baawra ek ghunghtha chahe, haule haule bin bataaye
baawra ek ghunghtha chahe.., haule haule bin bataaye.., baawre se mukhde se sarakna ..
baawra mann dekhne chala ek sapna ...
baawra mann dekhne chala ek sapna ...


To agar aap bhi khuli palkon se swapna lok mein vichran karne ki khwahish rakhte hon to sunna na bhooliyega is behad khoobsurat nagme ko...
Click Here to listen this song from Hazaron Khawahishein Aaisin.


गुरुवार, फ़रवरी 09, 2006

# 3 Jiya Dhadak Dhadak Jaye...

Varshik sangeetmala ki Top 3 paaydaan mein sabse pehle gaana wo jismein adbhut gayki aur madhur sangeet ka misran hai aur ye mere hi nahin aap sabon ke dilon pe raaj kar raha hai.

Click Here to read more about it.

सोमवार, फ़रवरी 06, 2006

# 4 : Pooche Jo Koi Meri Nishani....

...shaamein bujhane aati hain raatein
raatein bujhane tum aa gaye ho ...


Jab aisi panktiyan sunne ko milti hain to kuch kehne ki gunjaish hi nahin reh jati.
Bas kavi ki adbhut kalpana pe daad dene ki iksha hoti hai..
Waise bhi jab..
Barfeeli hawahon ke beech meethi dhoop ho….
Pighalte suraj ke sath aayi wo ithlaati shaam ho
Sard raaton mein aangdi ki aanch ho…..
Snigdha chandni ki roshni mein behakti nadi ho…..
To aap hi bataiye humsafar ke sath bitaye wo pal kuch jyada haseen kuch jyada namkeen :) nahin ho jayenge?

Gulzar ke bol, Shantanu Moitra ka karnpriya sangeet aur Shreya Ghosal ka madhur swar sab milkar kuch aisa saman bandhte hain ki man prem ki is rangini mein behta sa chala jata hai….
To leejiye pesh hai 4thi paaydaan pe movie Yahaan ka ye geet

pooche jo koi meri nishaani rang hina likhna
gore badan pe ungli se mera naam ada likhna
kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai
aao na aao na
jhelum mein beh lenge
waadi ke mausam bhi ek din to badlenge
kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai

aaon to subah jaaon to mera naam shaba likhna
barf pade toh barf pe mera naam duaa likhna
zara zara aag waag pass rehti hai
zara zara aangdi ki aanch rehti hai
kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai

shaamein bujhane aati hain raatein
raatein bujhane tum aa gaye ho

jab tum haste ho….din ho jaata hai
tum gale lago to…. din so jaata hai
doli uthaye aayega din to
pass bitha lena
kal jo miley to
mathe pe mere suraj uga dena
zara zara aas paas dhup rahegi
zara zara aas paas rang rahenge


Click Here to listen the song .

रविवार, फ़रवरी 05, 2006

# 5 : Har Ghadi Khud Se Ulajhna Hai Muqaddar Mera..

Aaj is kadi mein sirf 5 nagme hi bache hain aur ye sare hi mere dil ke behad kareeb hain.
Aakhir koi kisi ke kareeb kab aa pata hai…..
Tabhi na jab samne wale mein shayad use apne vyaktitwa (personality) ka koyi pratimibimb (shadow) dikhayi pade.
Kuch aisa hi in paanch geeton ke sath bhi hai, inmein vyakta bhavnaon(expressed emotions) mein kahin na kahin apne aksa ko mehsoos kiya hai maine aur isiliye inmein se kuch utne popular na hote huye is geetmala mein hain.

To doston 5 wein paaydan pe koi geet nahin balki ek ghazal hai. College ke zamane se ghazlein meri sabse achchi dost rahi hain aur khaskar we jinhein Jagjit Singh ne gaya ho. Aaj jaggu ji ki ye ghazal ki bhavnayein kuch aisi hain jo mujhe blogworld ki apni ek sathi ki yaad dilati hain. So Neel this ghazal is dedicated to u. May god bless u with happiness & love u truly deserve!

To read my feelings abt this ghazal along with lyrics
Click here
To listen this ghazal from movie Chausar Click here.

शुक्रवार, फ़रवरी 03, 2006

# 6 : Chup Chup Ke Chup...Chori pe Chori

Shayar bhi ek azeeb sa shaksh hota hai. Uske imagination ki koi seema nahin hoti. Use wo sab saaph saaph dikhayi deta hai jiski kalpna hum jaise log sapne mein bhi nahin kar sakte. Par shayar jab inhin betuki si lagne wali kalpnaon ko shabdon ka jama pehna kar humare samne pesh karta hai to kuch pal hi ke liye hi sahi hum uski aankhon se dekhne lagte hain, mehsoos karne lagte hain.........

Gulzar ne is geet mein zameen,aasmaan aur in donon ke beech mein kisi ki preet mein ghulti huyi ruh ka jo khaka kheencha hai wo man ko ek doosri duniya mein le jane ki taqat rakhta hai

dekh na mere sar se aasman ud gaya hai
dekh na asmaan ke sire khul gaye hain zameen se 2
chup chup ke 2 chori se chori chup chup ke re 2

dekh na kya hua hain yeh zameen beh rahi hai
dekh na paniyon main zameen ghul rahi hain kahin
dekh na asmaan ke sire khul gaye hain zameen se
chup chup ke 2 chori se chori chup chup ke 2
chup chup ke 2 chori se chori chup chup ke 2
hosh main main nahi yeh gashi bhi nahin is sadi main kabhi ye hua bhi nahin
jism ghulne laga ruh galne lagi
pao rukne lage raah chalne lagi
aasman badalon par karvatein le raha hai
dekhna aasman hi barasne lage na zameen pe
yeh zameen paaniyon ki dubkiyaan le rahi hai
dekhna uthke kandho pe chalne lage na kahin ye
chup chup ke 2 chori se chori chup chup ke 2
chup chup ke 2 chori se chori chup chup ke 2

tum kaho to ruke tum kaho to chalein
yeh junoon hain agar toh junoon soch lein
tum kaho to ruke tum kaho to chalein
mujhko pehchaanti hai kaha manzilein
dekhna mere sar se aasman ud gaya hai
dekh na asmaan ke sire khul gaye hain zameen se
dekh na kya hua hain yeh zameen beh rahi hai
dekh na paniyon main zameen ghul rahi hain kahi se
chup chup ke 2 chori se chori chup chup ke 2
chup chup ke 2 chori se chori chup chup ke 2
chup chup ke chori se chori chup chup ke ke re
chup chup ke chori se chori chup chup ke ke re

bunty ki bubbly aur bubbly ka bunti
bunty ki bubbly huyi
chup chup ke chori se chori chup chup ke ke re

To dekhiye janab chale gaye Bunty aur Babli humari is geetmala se ek doosre ka hath mein hath thame is geet ki gungunate. Agar aap bhi ise gungunana chahein to sunne ke liye
yahan click karein.

बुधवार, फ़रवरी 01, 2006

# 7(b) : Kajrare Kajrare Tere Kare Kare Naina..

Joint 7 th position pe gana wo jiske bare mein likhne ki mujhe koi khas juroorat nahin hai. Ye meri countdown ka ekmatra item song hai aur ise maine nahin par Bunty na yahan rakhwaya hai:). Waise jokes apart agar ash aur baap bete ke latke jhatkon ko chor dein to bhi Shankar Ehsaan Loy ke music, Shankar Mahadevan aur Alisha Chenoy ke gayki aur Gulzar ke lyrics ise is paydaan pe rakhne ko majboor kar dete hain. Is song ka aakhiri hissa jahan song ke beats achanak se fast ho jate hain mujhe behad pasand hain.

Woh tujhse milna purani dilli mein
Chod aaye nishani Dilli mein
Balli Maraan se Daribe talak
Teri meri kahani Dilli mein
Kaali kamli wale ko yaad karke
Tere kale kale naino ki kasam khate hain
Tere kale kale naino ki balanye le loon
Tere kale kale naino ko duwaye de loon
Meri jaan udaas hain hothon pe pyaas hain
Aaja re aaja re aaja re

Ho teri baaton mein qimam ki khushbu hai
Ho tera aana bhi garmiyon ki lu hai
Ho meri angdai na tute tu aaja

Ho kajrare kajrare tere kare kare naina
Ho tere naina tere naina tere naina judwa tere naina
Ho tere naina tere naina tere nainon mein chupke rehna
Ho kajrare kajrare tere kare kare naina
Kare kare naina kajrare kajrare mere kare kare naina


Gulzar speaks :
But the most interesting moment, which I would call a victory for the director and music composers and actors, came when the characters meet at a roadside adda to sing Kajrare, kajrare tere kare kare naina. When I wrote it, I had an inkling the song would work. I’d told Shaad, “Dekho bhai, yeh khatra hai ki yeh gana hit ho jayega.” The credit for it goes to the composers Shankar, Ehsaan and Loy. They’ve done a marvelous job with the music of the film and Kajrare in particular.

When it’s a song sung on the roadside, you have to write poetry with a different flavour altogether, similar to that you’d find on the backs of trucks and lorries. So you have lines like, Aisi nazar se dekha us zaalim ne chonk kar, humne kaleja rakh diya chaku ki nok par. I loved the song and Shaad was very keen on it, though not everyone was, initially. But he stuck to his script and I admire him for that…