रविवार, जनवरी 22, 2006

Varshik Sangeetmala Geet # 14

SOONA MAN KA AANGAN...
Zindagi mein khushi aur gham donon hi aate rehte hai. Par kya aapne gaur kiya hai ki khushi to pal bhar mein chitak jati hai par ye jo gham hai na wo barson apna dera jamaye rehte hain jaldi dil se juda hi nahin hota
Yahi haal geeton ka bhi hai Mukesh ke dard bhare nagme aaj bhi bikte hain par Usha Uththup ka wo rambha ho.ho.... kaun sunta hai abhi

To janab mere sath bhi kuch aisa hi hai jo geet meri bhavnavon ko udvelit karte hain unki goonj dil mein kaphi dinon tak barqarar rehti hai! Aisa hi ek geet 14 wein no pe jise gaya ek baar phir Sonu Nigam ne , Jise likha Swanand Kirkire ne aur jiski dhun banayi Shantanu Moitra ne! Bilkul theek pehchana aapna ye geet hai film Parineeta se

Soona.. Soona mann ka aangan
dhundhe payal ki woh chann chann
sooni..sooni mann ki sargam
dhundhe geet tere humdum
mann shaam ho ya sawera
laga teri hi yaadon ka dera
tune bandhan kyon ye toda
tune kahe ko munh moda
kaho na kaho kaho kaho na

kasie kate sooni raatein
kaho na..kaho na..

kaise bhoolein beetee baatein
kaho na..kaho na..

kaise thame phir tera daaman
kaise meheke man ka ye aangan
kaise bhoole preet teri saajan
kasie baandhen toota ye bandhan
...

Click here to listen this song

10 टिप्‍पणियां:

  1. SonuNigam ke voice mein jaise koi jadoo hain,aisa dard hain is gaane mein ki jab bhi maine isse suna hain,aansoon nikal aate hain.

    जवाब देंहटाएं
  2. BTW, I've put up the first part of my favourite songs list. Check it out!

    जवाब देंहटाएं
  3. Wha...sach kaha Sonu Nigam jab gaate hein to na sirf lyrics ki geharayee se gaate hain balke...oos lyrics mein chipe ehasaas ko bhi itne bakhoobi se jatate hein ke bas....hum to sirf sunte reha jaate hein...

    khushi aur gham ka choli daman ke rishte samaan hai...woh to hum insaan sirf khushi ke pal ko hamesha kam hee batate hein...swarthi jo thehare :)...

    amazing one Manish...
    Thnx

    जवाब देंहटाएं
  4. //khushi to pal bhar mein chitak jati hai par ye jo gham hai na wo barson apna dera jamaye rehte hain jaldi dil se juda hi nahin hota

    Beautiful words and beautiful song, Manish! :)

    जवाब देंहटाएं
  5. Hey buddy...
    Lemme come back on this...

    You have been tagged by me...
    You can take the tag on ur english blog w/0 disturbing ur countdown here :-))

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  6. Fantastic song i should say Manishji.Infact all songs from this movie are very good.
    Sonu nigam is really a class act and creates magic with his voice.This song is a perfect example to show he is a master at his work.
    Agar 14 pe itne behtareen gana hain to i can imagine the rest to follow.waiting for them.
    indeed a great song.
    Thanx.

    जवाब देंहटाएं
  7. Neel bilkul sahi kaha tumne! Sonu ne dil se gaya hai ye nagma!

    Urvi hmmmm tumhari list dekhi, will comment there! Khushi huyi jaankar ki ye geet tumhein bhi pasand hai.

    DON hmmmm lo aapne to hum sab ko selfish qaraar diya :) interesting observation though! I feel the same way about Sonu's voice

    Sayesha Shukriya ji :)

    Puneet yaar aise topic pe tag kiya hai :) khair I will try to think abt those 8 things.....& will get back :)

    Nagu hmmm Nagu jaisa maine start mein hi kaha tha its difficult to rank the songs espescially within a clustor say 10-15 they are equally good :)

    जवाब देंहटाएं
  8. keep going, im wactching your sangeetmala keenly and enjoying it

    जवाब देंहटाएं