रविवार, जनवरी 01, 2006

Varshik Sangeetmala -2005 Geet # 22-25

GEET # 22 : Chanda Ki Doli Mein.... :)
Aaj is geetmaala mein pehli baar Sonu Nigam ne qadam rakha hai 22 wein no pe ! Sonu ki makhmali aawaz ke waise to kayi rang dekhne abhi baki hain is srinkhala mein. Hmmm dekhiye to Nusrat Badra ne kya khoob taiyariyan ki hain apni shahzadi ke swagat mein….

Chanda ki doli mein, Pariyon ki jholi mein
Shahzadi aayi meri
Chanda ki doli mein, Pariyon ki jholi mein
Khusiyan wo layi meri

Palkon ke dar se wo aankhon ke ghar mein rahe
Khwabon ko sach hone de
Har ik dua mein usko hi manga sada
Wo bhi mujhe mang le…..

Khwaabo.n…., khwaabo.n ka aao ek ghar banaye
har su jahan hum mohabbat sajayein
Subah shaam ho… jahaan dilkaashi…, raatein miley shabnami…
Ek chand jaise taaron ke dil mein paley.
Yeh pyar aaise khile
Chanda ki doli mein ……..
What I liked especially:) : Nusrat Badra’s lyrics aur mukhde ke turant baad sitar aur table ki madhur jugalbandi !
GEET # 23 : My Dil Goes Mmmmm.... :)
Halke phulke mood ko aage badhate aate hain ab 23 wein number pe. Aur is paydaan pe gana wo jise apni aawaz se sanwara hai Shaan aur Gayatri Iyer ne, dhun banayi hai Vishal Shekhar aur bol likhe hain Jaideep Sahni ne. Mere khayal se ye is saal ka most funky song hai jismein hansi ke phuljhariyan bhi hain aur man mohne wala sangeet bhi. Is cho chweet song ke do antare aapke sammukh prastut hain jinhein gungunate huye aapke chehre pe ek muskurahat khud ba khud bikhar jayegi

Aati hai wo aise chalke jaise jannat mein rehti hai:)
Dekhti hai sabko aise jaise sabko wo sehti hai
Par gusse mein jab aaye aur aankhein wo dikhlaye
Ladte ladte galti se muskaye
My dil goes mmmmmmmmm…….

Haa…an picture mein rota hai, haa…an khule munh sota hai
Haa…an jara nalayak hai, haa…an pitne ke layak hai
Jane kya kehta hai jane kya karta hai
Sofe pe chadhta hai pardon se ladta hai :)
Jab karne lage safai ,samjho ki shamat aayi :p
Phir jam ke leta hai jab angdaayi
My dil goes mmmmmmmmm…….
What I liked especially :) : Mukhde ke theek pehle ka sangeet aur offcourse mast punch line My dil goes mmmmmmmmm……
GEET # 24 : Dil Keh Raha Hai....
Dil ki dhadkanon ki dhanak se rishte jud jate to phir baat hi kya thi! Phir bhi sab jante boojhte bhi hum dil ki giraft mein aa hi jate hain. Aakhir Waseem sahab ne yun hi to nahin kaha

Mareez-e-ishq hooN beemari-e-dil ka takaazaa hai
Dawaa kuchh aur kehti hai, dua kuchh aur kehti hai
Tere khat meiN likhe har lafz ka sach janta hooN par
Ibaarat meiN chhupii teri ada kuchh aur kehti hai

Aur isi roomaniyat ke nashe mein Kunal Ganjawala ka dil kya keh raha hai aapse jara suniye to

dil keh raha hai tujhse yu rishta jod loon
teri dhadkano ko choo loon tera jism odh loon
aankhon mein teri hain mera he chehra
chahe tu ye maane ya na maane
teri mohabbat pe hai mera pehra
chahe tu ye jaane ya na jaane
tere liye main ..
jaate hue lamho ko mod loon, teri dhadkano ko .......
What I liked especially:) : The punch line…… teri dhadkano ko choo loon tera jism odh loon.
GEET # 25 : Mahi Ve....
To mehmaan aur kadradaan Ek Shaam Mere Naam ke is doosre countdown show ki 25 wi paaydaan pe gana wo jise gaya hai Fakhir Mehmood ne. Yun to apni mehbooba ki yaad kise nahin aati janab par Fakhir sahab ka apni mahi ko yaad karne ka ye chulbula andaaz kabile gaur hai

Mahi Ve
Teri yaad aati hai re
Chandan si dhoop mein
Badli ki or se
Mahi Ve, Mahi Ve
Mahi Ve
Teri yaad aati hai re
Ik sunder pyar ka sapna laati hai re
Mahi Ve, Mahi Ve

What I liked especially :): Shuruati 30 sec ka music, upar ki panktiyan aur Fakhir ki aawaz
What I hated :(: Gane ka video jis mein models khoobsurti ki misaal kam aur cartoon jyada nazar aati hain :)
Click here to listen the song

16 टिप्‍पणियां:

  1. hey buddy
    great to see ur countdown start again...

    woohooooo

    Yes thats a fantastic song...
    Mahiii veee
    luv it

    have a musical year ahead

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. hmmmmm THX Puneet :)

    Zombie loz nahin suna Zombie, ye song 3-4 months old hai, link is there sun sakti ho wahan se:)

    जवाब देंहटाएं
  3. WOW....Manish...believe it or not...mere LA trip ke doraan ye dono hee geet meine sune aur ...tumhein yaad kiya ke poochoongi isse suna hai ke nahi hahaha...how sweet..!!!
    shukriya..waise...wajah mere bhi wohi rahi :D

    Happy New Year

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. your post presentation is very good some of the songs are fantastic ,missing hindi songs a lot in France

    जवाब देंहटाएं
  5. Hey Manish!! You wouldn't beleive it, but I was also planning to make a list of my fav songs of 2005!!
    I already like these 2 songs a lot, especially Mahi Ve. But I didn't know who the singer was. I'll be waiting for your countdown to continue! :)

    जवाब देंहटाएं
  6. DON hmmmmm thanku thanku chaliye jab bhi kanon mein koi achcha geet sunayi de isi terah yaad kar liya keejiye :)

    Nagu Shukriya Nagu! Mujhe bhi achche ganon ko sunna , unhein aap sab se phir share karna behad pasand hai. Aate rahein janab hum aapki hindi film music ki kami mehsoos nahin hone denge.

    How r u Keshi? U r supposed to be back today on blogword. Lagta hai khoob masti kar ke aayi ho!

    Urvashi
    woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
    kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

    Thx PR for joining in.:)
    Achcha lets see ki tumhari aur meri list mein kya common nikalta hai!

    जवाब देंहटाएं
  7. Zaroor manishji main. roz atleast ek baar aapke blog pe aata hoon.

    जवाब देंहटाएं
  8. Hey Manish :)

    **Lagta hai khoob masti kar ke aayi ho!

    aww...I dunno Hindi na..lol...plzzz translate...


    Keshi.

    जवाब देंहटाएं
  9. ManishJi,i am waiting for the real countdown which might astart at Song No.10 or so for me,Till then these songs which you put up are popular,Not my fav,so not saying anything:)
    Aaj Panchamji ke yaad mein kuch likha hain maine,aapki rai jaan na chaha thi hoon:)

    जवाब देंहटाएं
  10. Nagu shukriya !

    Keshi It seems u had lot of fun (masti) in your hols.:)Have u heard my dil goes mmmm.. u will definitely like it.

    Neel Hmmmm Neel I understand what u mean:)The mood will get progressively sombre by then. Par after I finish this list I will certainly will love to know ur fav 25!

    Divya ha ha Divya u noticed it too ! (vdo) Keep visiting:)

    Zombie loz :)

    जवाब देंहटाएं
  11. Chanda ki doli is too cool yaar
    Sonu Nigam rocks

    My Dil Goes Hmmmmm is one of my favs :-)

    Dil Keh raha hai... this songs reminds me of Salman Khan so I have never heard... i know its good bt somehow I dont have patience to listen this

    Well so many songs in one post...


    take care
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  12. Im enjoying these songs you listed, kuch gaane sune hue nahi the, mazaa aa raha hai

    जवाब देंहटाएं
  13. Nagu U will find many more songs of sonu ji as we move upwards :)

    Puneet hmmm so u r allergic to Salman :)

    Zombie & Puneet too many songs in one post..too much scroll.. got ur pt dear... My next two posts will consist of 3 songs each , songs in upper half will have dedicated post for them. Hope u will bear with me :)

    Zombie Hey tumne ise bhi nahin suna, hmmmm isse to main yahin conclude karoonga ki Zombie is a good girl who doesn't watches TV :). Am I right Zombie.

    Shabnam Naye saal ki mubaraqbaad! Lagta hai chutti mana ke aayi ho :) Jaankar khushi huyi ki u r enjoying it.

    जवाब देंहटाएं
  14. I didn't like 'Chanda ki doli' much.
    My 'Dil goes mmmm...' is my fav song from SN.
    I'd actually missed seeing these two songs when I first came. I was in a big rush!! :D

    जवाब देंहटाएं
  15. Urvashi Koi nayi ji! my dil is really a funny no. with catching music!

    जवाब देंहटाएं