मंगलवार, जनवरी 31, 2006

# 7 (a) Dhadak Dhadak Dhuan Udaye Re ...

To aaj hai thori masti ki bari humare do mehmaanon ke sath.
Kaun hain ye mehmaan?
Are ismein poochne ki kya baat hai aap sab khoob jante hain inhein :)

B & B yani Bunty & Babli
Aur aate hi inhone humari is geetmala ko hijack kar liya hai. Kehte hain saatwein paydaan pe ek nahin do do song honge.
Maine kaha aisa bhi kabhie hua hai to kehne lage jo ab tak yahan nahin hua so hoga!
Ab kya kare doston jab inki dhauns ke aage poore bharat ki na chali to phir meri kya bisaat!
To saatwein no. pe pehla gana wo jo is blog pe feature hone wala mera pehla gana tha.
Jee haan Dhadak Dhadak…the train song . To janab agar samay ho to pehle jakar ek baar is song ke lyrics
yahan dekhein aur phir padhiye ye aage ka hissa jo maine nahin Gulzar sahab ne khud likha hai :).
To padhiye is geet ki kahani khud Gulzar ki jubani!

.........Now, it’s established early on in the film that Babli belongs to a Punjabi family. She speaks Hindi with a smattering of Punjabi and English. Naturally, she will sing the same way. That’s why I had a sprinkling of Punjabi and English words in Dhadak dhadak dhuan udaye re, siti bajae re. So, when she says khasama nu khaye, sara jahan you know it’s a Punjabi girl singing. When she sings Taron mein jeena veena easy nahin, you know this is how she talks in real life too. So Babli’s character graph will show that the language she uses in her dialogue and her songs is the same. Which I think is the highlight of the characterisation.

Now, Bunty is from Kanpur and speaks the UP dialect. So I gave him lines and phrases very typical to Kanpur. After I’d penned the Dhadak dhadak song, Vikas Chopra from Sa Re Ga Ma-HMV accosted me one day and in a tone that said I’d been caught cheating, he demanded, “How did you think of this line, Aisa koi saga nahin jise humne thuga nahin.” I told him, “It’s on the signboard of a sweet shop called Thaggu Ke Laddoo in Kanpur.” His expression softened instantly and he confessed, “I’m from Kanpur and this is a famous line out there. That’s why I was wondering how you got it!” ..........

रविवार, जनवरी 29, 2006

# 8 Hum Rahein Na Rahein Kal

Upar ki seedhiyon pe chalte huye aaj us group song ki bari hai jo dedicated hai un tamaam doston ke naam jo virtual aur real world mein mere sathi rahe hain! Is gane ki theme bahut mel khati hai mere man se. Yaar doston ke sath bitaye huye palon ko sanjo kar rakhna mera shagal raha hai. aaj main is geet se judi apni ek purani post pesh kar raha hoon jo maine Indian Idol ke khatma hone pe likhi thi...
"..............Pichle teen char mahinon mein jinhone poore Hindustan ki aawaam ka dil jeet liya ..........
Apni madhur aawaz ke jaal mein logon ko aisa bandha ki har Thursday aur Friday ke din log TV se chipak kar baithe rahe .........
Har hafte in 11 finalists mein se ek ek alag hota raha darshkon ki aankhein nam karta hua ...........
Aur kal jab ye silsila khatma hua to sare ke sare phir ekaththe huye is geet ko lekar jo Hindustan mein har countdown pe kaamyabi hasil kar raha hai.Ye geet jab bhi sunenge inki yaad hum sabko juroor ayegi.....


Hum….. rahein ya na rahein kal…
Kal….. yaad aayenge wo pal
Pal……ye hain pyar ke pal
Chal…..aa mere sang chal
Chal………..
Soche kya….. Choti si hai zindagi
Kal…… mil jayein to hogi khushnaseebi
Hum….. rahein ya na rahein, yaad aayenge wo pal

Aane wali……
Subah jane… hogi kitni suhani
Chamkenge aise ….ki sari duniya….. hogi apni deewani
Hum….. rahein ya na rahein, yaad aayenge wo pal


Jeetna ek ko tha
so koi jeet gaya
par meri nazar mein aap sab jeete hain kyunki aapne apne desh ki karodon janta ko sangeet se phir jod diya hai
Apni roz ki pareshani bhula kar wo aapke gaye geet gunguna rahe hain…
May god bless all of u aur aap sab sangeet ki un uchaiyon pe pahunche jiske liye aap sab ne itni mehnat ki hai.. "

शनिवार, जनवरी 28, 2006

# 9 Kahan Ho Tum Mujhe Batao ?

Aur 9 wein Paaydaan pe gana wahi jiske bare mein maine likha tha kuch dinon pehle is blog pe! pe!

http://manishkmr.blogspot.com/2005/12/kahan-ho-tum-mujhe-batao.html

Aawaj di thi ise Neeraj Sridhar ne aur ye geet hai film U Bomsi & Me kaa!

गुरुवार, जनवरी 26, 2006

#10. Bulla ki Jana Main Kaun ?

Sangeet ki pakad kabhi kabhi itti gehri hoti hai ki usse upaji bhavnayein kisi bhasha ki muhtaaz nahin hotin. TV Music channels idhar udhar karte huye jab pehli baar is Punjabi soofiyana qalam ki goonj kanon pe padi to barbas remote par hath thithak se gaye, Guitar ke notes aur Rabbi Shergil ka apne astitva ko talashti aawaz dil ko choo si gayi!

Bulla! ki jaana maen kaunN……?

Zindagi ke un ruke thahre lamhon mein kitni baar hum sochte hain
apne bare mein…
apni pehchaan ke bare mein…
aur is duniya mein aane ke apne maqsad ke bare mein…
aur hum pate hain ki humne apne aap ko baant rakha hai is pehchaan ke naam pe
Kabhi desh humari pehchan banta hai to kabhi koi shahar...
Kabhi hum apni pehchaan ko dharm ke aaine mein dekhte hain to kabhie bhasha ke...
Par kya in chote chote hisson mein baant kar hi zindagi jiyi jaa sakti hai?
Hum jante to hai ki in band khanon (closed boxes) mein apne aap ko samet kar jeena sahi nahin phir bhi inse nikalne ki koshish nahin karte!
Shayad hum ladna nahin chahte, samaj ke banaye huye in khokhle dayron aur deewaron se…aakhir confirmist ho kar jeena itna aasaan jo hai…

18 wi sadi ke soofi kavi Bulle Shah ke likhe huye is song ke bare mein gayak Rabbi Shergil khud kehte hain
Bulla Ki Jana is all about us not knowing who we are, of thinking of life in terms of boxes, until we are enlightened. And then, you realise how meaninglessly you’ve compartmentalised life,”
Is song ke lyrics mujhe mil nahin rahe the. Aur choonki lyrics Punjabi mein hain unki English translation dhoondhna bhi ek mushkil kaam tha. But my effort was worth kyunki is khoj ke baad maine is soofi qalam ko dil ke aur kareeb paya. Aasha hai 10 wi paydaan ka ye qalam aapko bhi kuch sochne pe majboor karega.

Bulla! ki jaana maen kaunN Bullah! to me, I am not known ?

Na main momin vich maseetaan Not a believer inside the mosque
Na main vich kufar diyan reetaan Nor a pagan disciple of false rites
Na main paakaan vich paleetaan Not the pure amongst the impure
Na main andar ved kitaabaan, Not in the holy Vedas
Na main rehnda bhang sharabaan Nor in opium, neither in wine
Na main rindaan mast kharaabaan Not in the drunkard`s craze Niether awake
Na main shaadi na ghamnaaki Not in happiness nor in sorrow
Na main vich paleeti paaki Neither clean, nor a filthy mire
Na main aabi na main khaki Not from water, nor from earth
Na main aatish na main paun Neither fire, nor from air,is my birth
Bullah!, ki jaana main kaun? Bullah! to me, I am not known?


Na main arabi na lahori Not an Arab, nor Lahori
Na main hindi shehar nagauri Neither Hindi, nor Nagauri
Na hindu na turak peshauri Neither Hindu, nor Turk or Peshawari
Na maen bhed mazhab da paaya Secrets of religion, I have not known
Ne maen aadam havva jaaya From Adam and Eve, I am not born
Na maen apna naam karaaya I am not the name I assume
Avval aakhir aap nu jaana I am the first, I am the last
Na koi dooja hor pehchaana None other, have I ever known
Main thon na koi hor siyaana I am the wisest of them all
Bulla Shah! khadda hai kaun Bullah Shah! Do I stand alone?
Bulla, ki jaana maen kaun Bullah! to me, I am not known

Na main moosa na pharaun. Neither Moses, nor the Pharaoh
Na main jaagan na vich saun. Neither I am awake nor in a sleeping daze
Na main aatish na main paun Neither fire, nor from air,is my birth
Na main rehnda vich nadaun Nor do I live in Nadaun
Na main baitthan na vich bhaun Not in stillness, nor on the move
Bulla Shah! khadda hai kaun Bullah Shah! Do I stand alone?
Bulla, ki jaana maen kaun Bullah! to me, I am not known

मंगलवार, जनवरी 24, 2006

Varshik Sangeetmala : Geet # 11, 12 & 13

To aaj teen geet ek sath. Karan ye ki in mein se do yani geet # 11 aur 13 mere ke bare is blog pe mein main pehle hi likh chuka hoonki mujh wo kyun achche lagte hain.

Geet #11 : Tera Intezaar Hai...
Jee haan agar Sonu Nigam nahin to unke jaisi aawaz ke malik Rahul Vaidya hi sahi. jee haan unke non filmi album ka ye nagma viraajmaan hain humari 11 wein seedhi pe. Waise to ye geet abhi bhi TV channels pe dhoom macha raha hai. Mujhe poora yakeen hai ki Rahul apni isi smooth voice ke bal pe aage bhi dhoom machate rahenge.

Geet #12 : Piyu Bole Piya Bole...

Piyu bole piya bole kya ye bole jaanu na
Jiya dole haule haule kyon ye dole jaanu naa
Dil ki jo baatein hain, baatein jo dil ki hain
Dil hi mein rakhna piya
Lab to na kholoon main, kholoon na lab to par
Aakhon se sab keh diya
Piyu bole piya bole, kya ye bole jaanu na
Jiya dole haule haule kyon yeh dole jaanu na


To doston is geetmala mein teesri baar Parineeta ka koi song aaya hai. Gaya ise Shreya Ghosal aur Sonu Nigam ne. Ek pyara hansta muskurata nagma utne hi pyare lyrics ke sath. Jab is geet mein nayika ethlati huyi nadi ki batein karti hai to mujhe 1942 Love Story ka wo song yaad aa jata hai

kyun naye lag rahe hain ye dharti gagan
maine poocha to boli ye pagli pawan
pyar hua chupke se.....
maine badal se kabhi wo kahani thi suni........
Kya adbhut geet tha wo! Aur yahan bhi prakriti yani mother nature ke prateek chinhon (symbols) ko use kiya hai lyricist ne apne preetam ke prati poorna samarpan ki bhavna ko ujagar karne ke liye. ab yahin dekhiye is machalti nadi ko :)
Ek nadi se maine poochha ithla ke chal di kahan
Door tere pee ka ghar hai balkhaa ke chal di kahan
Thoda woh ghabraayi thoda sa sharmaayi
Ujhli yahaan se wahaan
Sagar se milne ka uska jo sapna tha meri hi tarah piya
Jiya dole haule haule kyon yeh dole jaanu na
Piyu bole piya bole kya yeh bole jaanu na

Barsaat film ka ek behad soothing sa song apna naram naram ehsaas liye huye. seedhe sadhe bol mein bhi apni gayki ki mithas se jaan phoonk di hai janab Sonu Nigam ne.

रविवार, जनवरी 22, 2006

Varshik Sangeetmala Geet # 14

SOONA MAN KA AANGAN...
Zindagi mein khushi aur gham donon hi aate rehte hai. Par kya aapne gaur kiya hai ki khushi to pal bhar mein chitak jati hai par ye jo gham hai na wo barson apna dera jamaye rehte hain jaldi dil se juda hi nahin hota
Yahi haal geeton ka bhi hai Mukesh ke dard bhare nagme aaj bhi bikte hain par Usha Uththup ka wo rambha ho.ho.... kaun sunta hai abhi

To janab mere sath bhi kuch aisa hi hai jo geet meri bhavnavon ko udvelit karte hain unki goonj dil mein kaphi dinon tak barqarar rehti hai! Aisa hi ek geet 14 wein no pe jise gaya ek baar phir Sonu Nigam ne , Jise likha Swanand Kirkire ne aur jiski dhun banayi Shantanu Moitra ne! Bilkul theek pehchana aapna ye geet hai film Parineeta se

Soona.. Soona mann ka aangan
dhundhe payal ki woh chann chann
sooni..sooni mann ki sargam
dhundhe geet tere humdum
mann shaam ho ya sawera
laga teri hi yaadon ka dera
tune bandhan kyon ye toda
tune kahe ko munh moda
kaho na kaho kaho kaho na

kasie kate sooni raatein
kaho na..kaho na..

kaise bhoolein beetee baatein
kaho na..kaho na..

kaise thame phir tera daaman
kaise meheke man ka ye aangan
kaise bhoole preet teri saajan
kasie baandhen toota ye bandhan
...

Click here to listen this song

शुक्रवार, जनवरी 20, 2006

Dekha jo utre hain tare tere aangan mein...

ghar jaayegee.. tar jaayegee..
doliyaan chadh jaayegee
mehandee lagaayegee re, kaajal sajaayegee re,
dulhaniyaa mar jaayegee


To leejiye huzoor intezaar ki ghadiyan khatm huyin. Humari is geetmaala ka geet no. 17 ka suspence khatma hua. Wo khas din aa hi gaya mere us dost ki zindagi mein jiska har kisi ko intezaar hota hai yani kisi ki dulhaniya ka roop lene ka. Ab mujhe ye to pata nahin ki gulzar ke geet ke is mukhde ki terah humari ye dulhaniyan sharm se mari ja rahi ho. I hope opposite is the case .. hee hee. Isilye maine iske liye ek doosra hi geet chuna.
Kyunki aaj wo kuch is terah chamakne wali hain ki chandani bhi sharma jaye :) . Aur is mein bhi aap sab ko sandeh nahin hona chahiye ki aaj lagne wali mehndi ka rang behad feeqa hai us rang se jo is waqt uske dil pe chadha hai.

To aaj is jashna ke mauqe pe film 7 ½ phere ka ye song samarpit hai meri pyari dost DON ke liye. Main janta hoon ki is song ko aapne nahin suna hoga but go to the link & I am certain ki aap sab ise enjoy karenge aur aaj ke is hot & happening couple ko apni badhaiyan aur subhkaamnayein bhi denge!

Dekha jo utre hain tare tere aangan mein
Pani pani huyi chandni, chand ja chupa badal mein
Gori ko na lage nazaria raat ko aur sajao re
Khushiyon ki wo chale dagariya mil ke shagun manao re

Jis pal sajna tere naam ki mehndi haath lagayi re
jhat se dil ne pehlu badla le ke ek angdayi re

Jitna rang is mehandi ka mujh pe chadhta jaaye re
Utni tujhse milne ki betaabi badhti jaye re (Kyun hai naa DON!:)

Mere hathon mein ye kaisi khinch gayi nayi lakeerein hain
Jud gayi sajna jud gayi hum donon ki taqdeerein hain
Jud gayi sajna……. hum donon ki taqdeerein hain
Dekha jo utre hain tare tere aangan mein


BEST WISHES DON & NUYI ON UR WEDDING DAY 20.1.06 !
Tum donon ko meri taraf se shadi ki dher shari shubhkaamnayein! Mujhe umeed hai ki tum logon ka ye safar khushiyon se bhara hoga!

Click here to listen Aaa Jaa Kudiyon by Sunidhi Chauhan

सोमवार, जनवरी 16, 2006

Geet # 15 : Dheere Jalna, Dheere Jalna......

To leejiye ji ek lambe break ke baad hazir hai aapka ye host apni is geetmaala ke sath. To meri 15 win paaydaan pe ek baar phir aa rahe hain Sonu Nigam, Gulzar sahab ke is geet seaapko dheere dheere jalane ke liye. Gulzar sahab ki poetry ka visleshan (analysis) kar pana aasan nahin. Par internet pe ek shaksh hai jisne ye kaam bakhoobi kiya hai. Aur wo hain Pavan Jha!
Aaj main is geet ke lyrics pe Jha sahab ki analysis ko aapke saamne rakhna chahoonga. Ise padhne ke baad is geet ko sunein. Waise bhi ye geet kuch aisa hai ki iska asar dheere dheere hi hota hai :)


dheere jalna dheere jalna dheere jalna
zindagi ki lau pe jalna
dheere dheere dheere dheere dheere jalna
zindagi ki lau pe jalna
kaanch ka sapna, gal hi na jaye
soch samajh ke , aanch rakhna

"...."kaanch ka sapna" conveys a few things. One thing is that the dream is fragile in nature and would not last long. Second it would be more painful when it breaks and third it depicts the Ghost itself is a dream and Kaanch ka sapna could mean Ghost who is the mirror image of her husband and may not live long with her. "Gal hi naa jaaye" reflects coming to the terms, the truth That is why Shahrukh the ghost ask to take precautions while making a relationship as it might not last long (soch samajh kar aanch rakhana)

But then Shahrukh the ghost have an objective behind all his disguise act.
Tere roop ki halki dhoop me, do hi pal hain jeene hain
Teri aankh me dekh chuka hoon, jo sapne hain, seene hain.."
Halki dhoop depicts a pale face, ek udaas chehra despite being a newly wed wife. Shahrukh the ghost also understands that his relationship will not last long with her and he has just "Do hi pal". But he has seen the broken dreams in her eyes, which the (dreamstailor) ghost will repair (jo sapne hain, seene hain - sewing the broken dreams) by giving her some good company.
"Aankhon me sapno ki kirachein hain, chubhti hain dheere jalna..
"as the dream is broken in pieces, the pieces hurts a lot....
Raani seems to be undecisive till this point, but finally she finds the ghost's company acceptable and she joins
"socha na tha, zindagi aise phir se milegi jeene ke liye
aankhon ko pyaas lagegi, apne hi aansoo peene ke liye"
She gets a life to live again and also gets her emotions back (aankhein to aansoo nikaal kar sookh chuki hain, all emotions have dried up, and this relationship will get back all the emotions for her)
Aur haan chalte chalte ek baar phir shukriya doston aap sab ki Janmdin (14 Jan) ki shubhkaamnaon ka !

सोमवार, जनवरी 09, 2006

Varshik Sangeetmala : Geet # 16-18

Aaj ek sath teen geet pesh kar raha hoon ! Kyun? loz ...
Are song no. 16 ko dekhiye aur khud hi samajh jaiye :). Ji haan aaj tak to main blogworld mein hoon par agle kuch dinon ke liye gayab rahoonga.isi liye ye sari khurak ek saath :).

Geet #16 : Hum hain iss pal yahan, Jaane ho kal kahan
Is baar ke is countdown mein ye baat gaur karne ki hai har paydaan pe jyadatar alag alag gayak , geetkaar aur sangeetkar aa rahe hain. Ye humari musical industry ke liye khushkismati ki baat hai.Ab yahin dekhiye humari is list ki 16 win seedhi pe teen maharathi ek sath utre hain ek anoothi lay aur sangeet ke saath. Jee haan Udit Narayan, A.R.Rehman aur Javed Akhtar ki tikdi khadi hai us geet ke sath jo pyar ke shashwat yani kabhi na marne wale roop ki kahani keh raha hai.

Hum hain iss pal yahan, Jaane ho kal kahan
Hum miley na miley, Hum rahey na rahey
Rahegi sadaa yahan, Pyar ki ye dastan
Sunenge sadaa jise,Yeh Zameen asmaan
Rang dhal jaate hai, Din badal jaate hai
Raatein so jati hai, Raahen kho jaati hai
Pyar khota nahin, Pyar sota nahin
Pyar dhalta nahin, Haan badalta nahin
Hum jahan aaye hain, Meherbaan saaye hain
Hum yahaan khwaabon ke, karwaan laaye hain
Dhadkane hain jawaan, Ga raha hain samaa
Pighli pighli si hain, Mehki tanhaiyan

Geet # 17 : ? ? ? ? ? ? ? ? ? ?
Waqt aa gaya hai 17 wi paaydan ke is pyare nagmein ko share karne ka jise gaya hai Sunidhi Chauhaan ne aur dhun banayi hai Shantanu Moitra ne. Par ye geet hai kaun saa?
Kya kaha nahin batayenge ?
Aisa bhi kisi countdown show mein hota hai ki host gaane ka naam batane se mukar jaye ?
Choriye ji ye to blogworld hai yahan sab kuch ho sakta hai! Hee hee hee.
Khair aap sab jurur utsuk ho gaye honge ki aapka ye nacheez dost aisa kyun kar raha hai.
Darasal baat hi kuch aisi hai….
Wo kya hai na ki mujhe kuch hi dinon baad ye geet blogworld ke apne ek sathi ko dedicate karna hai ek special occasion pe ! To janab kuch din aur wait karein main aata hoon ghoom phir kar ye suspence kholne :p

Geet # 18 : Bikhri Huyi Narm si Chandni
Jab surya devta apna raudra roop dharan karte hain..
Aur apni kirnon ke vaar se hum sabhi ko jhulsa dalte hain..
To sham ke sath aayi ye chandni hi to humein apni dost si dikhti hai..
Jiskii vishal narm bahon mein sar rakhkar kisi apne ki yaad barbas hi aa jati hai ..

Inhin yadon ko taaza kar rahe hain ek aur naye gayak Arnab Chakravarty album Channa Ve mein

Bikhri huyi Narm si chandni
Lahron ke ghar jaa rahi roshni
Lamha lamha choo rahi hai sard hawayein
Tanha tanha lag rahe hain apne saye
Yaad aye koi..

Shabnam shabnam raat mein, sapne humare nam huye
Bheege sapne dekh ke, chand sitare kam gaye
Ab sabhi ke dil mein ek hi betaabi
Ek si bekhudi ...
Bikhri huyi Narm si chandni
...

What i liked especially:) - Haseen chandni ka jikra khoobsurat lafzon mein!

Click Here to listen this sweet song

शुक्रवार, जनवरी 06, 2006

Varshik Sangeetmala 2005: Geet # 19-21

Geet # 19 : Kaise Paheli Zindagani...
koi phool chunta hai kis liye?
koi dhool hota hai kis liye ?
yeah waqt waqt ki baat hy, tujhe zindagi batayegi...
Zindagi ki paheliyon ko boojhna koi hansi khel hai kya.
Kisi ke liye ye suhana safar hai…
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana
To koi ise haadson ka huzoom batata hai..
jisey aap kahtey hain zindagi vo to ha'adson ka hujoom hai
ye to kahiye mera hi zarf tha ke main darmiya'an se guzar gaya
zarf - dil, hriday ,darmiya'an se - beechon beech se
Par jo bhi ho is safar se to har kisi ko guzarna hai . Bakaul Gulzar
hai lau zindagi
zindagi noor hai…
magar ismein jalne ka dastoor hai
Par aaj humara na aapko jalane ka irada hai na darane ka:)
balki hum to aapko yaad dilana chahenge wo lamhe jin ki masti ke nashe mein aap jhoomne ke liye taiyaar hon
bahut kuch Sunidhi Chauhan ke gaye huye is jazzy geet ki terah…..
Nayi nahin ye batein ye batein hain purani
Kaisi paheli hai ye kaisi paheli zindagani
Thama tha roka isko kisne
haan ye to behta paani
Kaisi paheli hai ye kaisi paheli zindagani?

pee le ise ismein nasaha,
jisne piya
wo gham mein bhi hansa
pal mein hansaye aur pal mein rulaye ye kahani
Kaisi paheli hai ye kaisi paheli zindagani?

What I liked :) : Gane ka flow jo dil mein ek masti le aata hai
Click Here to listen the song

Geet # 20 : Aasman ke Paar Shayad koi Aasman Hoga...
Umeed pe duniya qayam hai. Zindagi ke is anjane raste pe hum sab ne kya kya ummedein nahin paal rakhi. Har kisi ko ek nayi subah ka intezaar hai. Choonki wo swarnim din to aaya nahin to kyun na apni manzilon tak pahuchne ke liye hawa ke paron par udan bhari jaye. Aur agar is safar ka khaka Gulzar ki kalam se khincha ho to baat hi kya.
1999 ki film Rockford ke is geet ko punarjeewit kiya Fame Gurukul ke Arijit Singh aur Ruprekha Banerjee ne.
Aasman ke paar shayad aur koi aasman hoga
Baadlon ke parvaton par koi barish ka makan hoga
O Main hawa ke paron pe kahan ja raha hoon kahan
Kabhi udta hua, kabhi mudta hua
Mera rasta chala ohh ho ho ho..

What I liked :) : Kavi ke bune huye khoobsurat khwab..
Yes geet mere PC pe to hai but I couldn't find its link ( Fame Gurukul wala link) on the net :(. To listen original song click here
Geet # 21 : Agar Tum Mil Jao
Bhartiya film jagat mein jis nayi parshwa gayika (female playback singer) ka naam pichle kuch varshon mein tezi se chamka hai wo hai Shreya Ghosal. Itni mithas hai inki aawaz mein ki simple lyrics bhi dil pe ghazab ka asar chodte hain. Kuch aisa hi aap mehsoos karenge janab aap sab jab is geetmala ki 21 win paaydan ke is geet ko sunenge. Prem ki nischal pavitra dhara ki kahani kehta ye geet shreya ki aawaz mein aur bhi madhur ho utha hai…

Agar tum mil jao, zamana chod denge hum
Tumhe paa kar zamane bhar se rishta tod denge hum
Agar tum mil jao, zamana chod denge hum

Bina tere koyi dilkash nazara hum na dekheinge
Bina tere koyi dilkash nazara hum na dekheinge
Tumhe na ho pasand usko dobara hum na dekheinge
Teri soorat na ho jis mein,
Teri soorat na ho jis mein
Woh sheesha tod denge hum
Agar tum mil jao zamana chod denge hum


What I liked especially :) : Shreya's magical melody.......

Click Here to listen the song

रविवार, जनवरी 01, 2006

Varshik Sangeetmala -2005 Geet # 22-25

GEET # 22 : Chanda Ki Doli Mein.... :)
Aaj is geetmaala mein pehli baar Sonu Nigam ne qadam rakha hai 22 wein no pe ! Sonu ki makhmali aawaz ke waise to kayi rang dekhne abhi baki hain is srinkhala mein. Hmmm dekhiye to Nusrat Badra ne kya khoob taiyariyan ki hain apni shahzadi ke swagat mein….

Chanda ki doli mein, Pariyon ki jholi mein
Shahzadi aayi meri
Chanda ki doli mein, Pariyon ki jholi mein
Khusiyan wo layi meri

Palkon ke dar se wo aankhon ke ghar mein rahe
Khwabon ko sach hone de
Har ik dua mein usko hi manga sada
Wo bhi mujhe mang le…..

Khwaabo.n…., khwaabo.n ka aao ek ghar banaye
har su jahan hum mohabbat sajayein
Subah shaam ho… jahaan dilkaashi…, raatein miley shabnami…
Ek chand jaise taaron ke dil mein paley.
Yeh pyar aaise khile
Chanda ki doli mein ……..
What I liked especially:) : Nusrat Badra’s lyrics aur mukhde ke turant baad sitar aur table ki madhur jugalbandi !
GEET # 23 : My Dil Goes Mmmmm.... :)
Halke phulke mood ko aage badhate aate hain ab 23 wein number pe. Aur is paydaan pe gana wo jise apni aawaz se sanwara hai Shaan aur Gayatri Iyer ne, dhun banayi hai Vishal Shekhar aur bol likhe hain Jaideep Sahni ne. Mere khayal se ye is saal ka most funky song hai jismein hansi ke phuljhariyan bhi hain aur man mohne wala sangeet bhi. Is cho chweet song ke do antare aapke sammukh prastut hain jinhein gungunate huye aapke chehre pe ek muskurahat khud ba khud bikhar jayegi

Aati hai wo aise chalke jaise jannat mein rehti hai:)
Dekhti hai sabko aise jaise sabko wo sehti hai
Par gusse mein jab aaye aur aankhein wo dikhlaye
Ladte ladte galti se muskaye
My dil goes mmmmmmmmm…….

Haa…an picture mein rota hai, haa…an khule munh sota hai
Haa…an jara nalayak hai, haa…an pitne ke layak hai
Jane kya kehta hai jane kya karta hai
Sofe pe chadhta hai pardon se ladta hai :)
Jab karne lage safai ,samjho ki shamat aayi :p
Phir jam ke leta hai jab angdaayi
My dil goes mmmmmmmmm…….
What I liked especially :) : Mukhde ke theek pehle ka sangeet aur offcourse mast punch line My dil goes mmmmmmmmm……
GEET # 24 : Dil Keh Raha Hai....
Dil ki dhadkanon ki dhanak se rishte jud jate to phir baat hi kya thi! Phir bhi sab jante boojhte bhi hum dil ki giraft mein aa hi jate hain. Aakhir Waseem sahab ne yun hi to nahin kaha

Mareez-e-ishq hooN beemari-e-dil ka takaazaa hai
Dawaa kuchh aur kehti hai, dua kuchh aur kehti hai
Tere khat meiN likhe har lafz ka sach janta hooN par
Ibaarat meiN chhupii teri ada kuchh aur kehti hai

Aur isi roomaniyat ke nashe mein Kunal Ganjawala ka dil kya keh raha hai aapse jara suniye to

dil keh raha hai tujhse yu rishta jod loon
teri dhadkano ko choo loon tera jism odh loon
aankhon mein teri hain mera he chehra
chahe tu ye maane ya na maane
teri mohabbat pe hai mera pehra
chahe tu ye jaane ya na jaane
tere liye main ..
jaate hue lamho ko mod loon, teri dhadkano ko .......
What I liked especially:) : The punch line…… teri dhadkano ko choo loon tera jism odh loon.
GEET # 25 : Mahi Ve....
To mehmaan aur kadradaan Ek Shaam Mere Naam ke is doosre countdown show ki 25 wi paaydaan pe gana wo jise gaya hai Fakhir Mehmood ne. Yun to apni mehbooba ki yaad kise nahin aati janab par Fakhir sahab ka apni mahi ko yaad karne ka ye chulbula andaaz kabile gaur hai

Mahi Ve
Teri yaad aati hai re
Chandan si dhoop mein
Badli ki or se
Mahi Ve, Mahi Ve
Mahi Ve
Teri yaad aati hai re
Ik sunder pyar ka sapna laati hai re
Mahi Ve, Mahi Ve

What I liked especially :): Shuruati 30 sec ka music, upar ki panktiyan aur Fakhir ki aawaz
What I hated :(: Gane ka video jis mein models khoobsurti ki misaal kam aur cartoon jyada nazar aati hain :)
Click here to listen the song