बुधवार, दिसंबर 28, 2005

Jiya Dhadak Dhadak Jaye....

Bansuri ki ek madhur taan…
Aur phir ek sammohit kar dene wale swar …
Jiski goonj geet ke khatma hone ke baad bhi bani rehti hai…
Aur ye goonj jiya ko dhakaye bina reh jaye aisa to ho hi nahin sakta…



Ab tak to aap samajh hi gaye honge ki main kis gayak aur kis geet ki baat kar raha hoon!
Sarhad paar ke is udiymaan gayak ne pichle saal bhi Lagi tujhse man ki lagan ko apne adbhut andaaz mein gaa ke man ko moh liya tha.

Rahat Fateh Ali Khan ki gayki, unki high notes ko saralta se gaa pane ki salahiyat aur geet mein shashtriya sangeet ki mithaas ye teenon batein unhein ek alag hi shreni (league) ke gayak mein laa khada karti hai. waise ye meri rai hai ki aapki bhi?


tujhe dekh dekh sona - 2
tujhe dekh kar hai jagna
maine yeh zindagani
sang tere bitaani
tujhmein basi hain meri jaan ,haai

jiya dhadak dhadak

jiya dhadak dhadak

jiya dhadak dhadak - jaye

kabse hai dil mein mere armaan kai ankahe - 2
inko tu sunle aaja
chaahat ke rang chadha jaa - 2
kehna kabhi to mera maan, haai
jiya dhadak dhadak - jaye

lagta hain yeh kyu mujhe sadiyon se chaahu tujhe - 2
mere sapno mein aake apna mujhko banake - 2
mujhpe tu kar ehsaan haai
jiya dhadak dhadak………jaye

tujhe dekh dekh sona…………
jiya dhadak dhadak………jaye


Movie- Kalyug
Lyrics –Asim Raza
Music Director:- Faisal Rafi, Rohail Hyat

7 टिप्‍पणियां:

  1. Mujhe intezaar hee tha iss geet ka :)....waqai...meine TV per suna aur phir bas...dil tham sa gaya...gayakee ko daad doon ya phir nazm ke bol ??? :) dono hee kamaal ke hain...

    bahut accha laga ye post parhkar..
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. thanx a ton manish for ur comments... yes..u r rite...in every bit of it...thanx once again...
    and yeah...i luuuuvvvv this song...
    i bought the whole cassete...just coz of dis song...hehe...i kno crazy me!!
    and yeah...u rite realllly well!!!
    its such a pleasure this blog of urs...

    जवाब देंहटाएं
  3. Shukriya DON gayki aur geet donon pasand karne ke liye.:)


    Zombie hmmmm matlab aapka dil bhi kisi ke liye dhadak utha hai..:)


    Medha hum bhi yahi karte the...yani ek song suna aur chale cassete ki khoj mein, thx to net & mp3 era ab utni mashakkat nahin karni padti:).

    जवाब देंहटाएं
  4. this song is one of the best songs of this year...

    I downloaded this song after hearing it for the first time on TV ;-)

    good one

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  5. Gud one once again Manish! Kaafi accha lagaa yeh geet.

    Aur aap se request hai ki aap Lucky Ali ke gaanon ko bhi apni is Shaam mein shammil kijiye...

    In saahab ke Kuch gaane bhi hamare dil ke kaafi kareeb hain....jaise ki...1)Anjaani raahon mein tu kya dhoondta phire 2)Dekha hai aise bhi 3) Kabhi aisa lagta hai dil mein ik raaz hai 4) Kitni haseen zindagi hai yeh...

    Hope U too like these songs, n would love to hear your thoughts on these!!

    Naye saal ki shubhkaamnayein!!
    Cheers!!
    MS.

    जवाब देंहटाएं
  6. Thx MS!
    Sorry dear maine movie Sur ke baad Lucky Ali ke non filmi albums nahin sune hain. I will definitely hear them now that u have pointed it out!

    जवाब देंहटाएं