गुरुवार, दिसंबर 22, 2005

Intezaar, Intezaar, Bolo Kab Tak Karoon Main Intezaar?

Intezaar agar khwabon ke poore hone ka kiya jaye to wo intezaar chahe lamba bhi ho to bhi dil ko bahut bhata hai.
Kabhi aisi hi soch mein hum kho jate hain !
Aise aise khwab dekh dalte hain janab ki jin pe tarkik (logical) roop se hum punarvichar karein to khud hi hans padenge. :)
Par isiliye to aisa intezaar dil ko kabhie tees nahin pahunchata kyunki uski neenv khwabon ke dharatal pe khadi hoti. Uski koi samay seema nahin hoti.
Bas hoti hai to ek aasha jo poori ho jaye to kya kahne!
Aur na bhi poori huyi to use ek aur apoorit swapna maan kar hum santosh kar lete hain

Chaliye aap sab ko ek geet ki yaad dilayein jo aisi hi bhavnaon se ootprot (related) hai. ise gaya tha Lata Mangeshkar aur Mukesh ki yugal jodi ne 1974 mein release huyi film Phir Kab Milogi ke liye

Kahii.n karatii hogii, vo meraa, i.ntezaar
Jisakii tamannaa me.n, phirataa huu.n beqaraar

Dur zulfo.n ki chhaao.n se, kahataa huu.n mai.n havaao.n se
Usii but ki adaao.n ke, afasaane hazaar
Wo jo baaho.n me.n machal jati, hasarat hii nikal jati,
Meri duniya badal jati, mil jaataa qaraar
Kahii.n karatii hogii ...

kahii.n baithii hogii raaho.n me.n
gum apanii hii baaho.n me.n
liye khoyii sii nigaaho.n me.n, khoyaa khoyaa sa pyaar
saayaa rukii hogii aa.nchal kii
chup hogii dhun paayal kii
hogii palako.n me.n kaajal kii, khoyii khoyii bahaar
kahii.n karatii hogii ...

aramaan hai koi paas aaye,
in hatho.n me.n vo haath aaye,
phir kvaabo.n kii ghataa chhaaye, barasaaye khumaar
unhii.n biitii din rato.n pe, matavaalii mulaqaato.n pe,
ulfat bharii baato.n pe, ham hote nisaar
kahii.n karatii hogii ...
Click here to listen the song

To suna na aapne ye gana! Par nahin ji baat yahin khatma nahin huyi meri ! Abhi to Intezaar pe aapko ek kavita padhani hai jo mujhe behad pasand hai. Ise likha hai meri pichli countdown pe jhande gadne wale
Prasoon Joshi ne!
To aap sab bhi dekhein Joshi ji ki ye nayika apne jeevan mein aane wale us unjaane shaksh ka intezzar kis terah kar rahi hain.....

Raat ke pehredaar ki seetee
Sath hawa ke sair ko nikli
Jagte rehna jagte rehna
raston se awazein guzreen
aur hans ke main khud se boli
janmon se main jaag rahi hoon
Intezaar ko saadh rahi hoon
Koi to aaye, koi to bole tu so jaa ek baar
intezaar, intezaar, bolo kab tak karoon main intezaar?

Subah subah aangan mein apne geele khwab sukhati hoon
Kaanon mein khud daal ke unglee oonche sur mein gaatee hoon
Shaakh gulmohar kee hasrat se kitnee baar hilaatee hoon
kabhi to khushboo se bhar jaaye yeh daaman ik baar
intezaar, intezaar, bolo kab tak karoon main intezaar?

Pehle thoda jiya jalaya
phir aangan mein diya jalaya
narm ghaas pe chal ke dekha
ik bulbul ko paas bulaayaa
aur usne kaanon mein gaaya
aayega woh dhoop ka tukra ik din mere dwaar
intezaar, intezaar, jiska mujhe intezaar
To be continued...

8 टिप्‍पणियां:

  1. "Kahiin karatii hogii vo meraa" Though Mukesh dosnt come into my all time favourites but this song has lot of energy and punch,Bahuth hi chulbula sa geet hain:) abhi main isse teen chaar din tak gungunaati rahoongi:)

    "phir aangan mein diya jalaya
    narm ghaas pe chal ke dekha
    ik bulbul ko paas bulaayaa
    aur usne kaanon mein gaaya
    aayega woh dhoop ka tukra ik din mere dwaar
    intezaar, intezaar, jiska mujhe intezaar"

    Prasoon,Kavitha mein ek ye khoobsoorati hoti hain ki woh chupke se dil ko chooletha hain,koi badi badi baatein nahi hoti,bas ek choti si akshron ka bandan dil ko chooletha hain,Aur aapki kavitha mein yehi baat hume bhagayi.
    Dil ko choogayi iski khoobsoorati:)

    जवाब देंहटाएं
  2. WOW....pehala wala song to waqai very sweet and naughty....lekin bahut khoob asar karti hai...mujhe behad pasand hai....:) and yes the 2nd one too ;)....Prasoon has brought a new hope in Indian film industry I must say :)

    good selection and thought too :)
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. Neel hmmm sahi lafz chuna tumne neel "chulbula", ise thoda gungunao to man mein ek umang uthne lagti hai:)

    I am qt impressed by Puneet's lyrics. He has that what we call Guljarish trait in him :)
    Seedhe sadhe lafzon ko piro kar ek badi baat keh dena aakhir unhin (Gulzar) ki virasat hai jo prasson ne payi hai.

    जवाब देंहटाएं
  4. hmm DON waise tumhare liye to ab pehla song to applicable nahin raha hee hee ab sab kuch agal bagal mein rahe to Kahin ki gunjaish kahan reh jati hai :)

    tareef ka shukriya dost!

    जवाब देंहटाएं
  5. hmm kyaa baat hai.....Mirza Ghalib yahan honge yeh soncha he na tha......nice post...tcc byee

    जवाब देंहटाएं
  6. kahin karti hogi woh mera intezaar, just listen to its remixed version by Anamika and your heart will weep...for Mukeshji
    However, thanks to you Manish...is gaane ke zariye..hum sab yaadon ke galiyare se ho kar aaye....

    जवाब देंहटाएं
  7. Illusion Iska remixed version bhi aa gaya. thk god i have not heard it so far.

    Prasoon Joshi ki kavita kaisi lagi tumhein?

    जवाब देंहटाएं