बुधवार, नवंबर 02, 2005

Janmadin Mubarak DON!

Mera blog kayi dinon se chupchap sa baitha tha! Ye nahin ki likhne lko kuch nahin tha par kya karein waqt ki tangi ne mere hath baandh diye the! Aur ye chuppi kuch aur din juroor chalti agar in DEVI ji ka janmadin beech mein na aa jata!

Haan to meri ye post dedicated hai meri khas pyari si dost DON ke liye! To suruaat Devi vandana se :) :)

Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain

Bade itafaak se milte hain milne waale mujhe
Woh mere dost hain, jinki wafa mein jeete hain


JANMDIN MUBARAK HO DON!

Net pe DON se meeri mulaqat ek urdu poetry forum mein huyi thi. And I was delighted to find a fren who was so much similar to me. Bahut achcha lag raha hai DON tumhein apne blog pe wish kar ke.( Isliye bhi ki is saal humne jhagde bhi sabse jyada kiye hain ! Aur tumhare bouncers bhi jhele hain hee hee. )

Waise doston! DON aajkal KHUSH KHUSH mood mein hain. Aur kyun na hon kuch hi dinon mein inka ya kisi aur kaa :) band jo bajne wala hai! Khair to DON ke abhi ke halation pe is sher ki yaad aa jati hai


Jitne mausam hain sab jaise kahin mil jayein
In dinon kaise bataoon jo fiza hai mujh mein


DON tumhare is janmdin par Puneet Vijay ki ye kavita tumhare liye!

Sapneeli kuch khwahish doon
Ya khwabon ki jumbish doon
Janmadin ki saugaat nayi
Khushiyon ki bauchaar doon
Bolo kya uphaar doon?

Ugte suraj kee kirnein
Khushboo mehke phoolon kee
Shohrat us chaand kee
Masti sawan ke jhoolon kee
Aisi hi rangi bayaar doon
Bolo kya uphaar doon?

Kasmein nayi, wade naye
Manzil nayi, Naye Raste
Bulandiya hain kar rahin
Intezaar tere waste
Apni mehki khushiyan bhi
Tujh par hi main waar doon
Bolo kya uphaar doon?

Jeewan ke anmol lamhe
Sapnon ki kuch aahtein
Har kadam par tere
Khilti rahe muskurahtein
Mehka sa kuch chehka sa
Sajeela ek sansar doon
Bolo kya uphaar doon?

Aaj ki kuch yadein doon
Kal ke liye wade doon
Saugat main tujhko atoot
Amit dosti ka karaar doon
Aisa ek uphaar doon?
Aisa ek uphaar doon?


Aasha hai ye saal tumhare liye sabse khushgawar beetega! Isi shubhkaamna ke saath!

11 टिप्‍पणियां:

  1. happy baday don... many many happy returns of the day...

    wowwww mani... very sweet post..
    indeed she is a lucky gal to hv such a wonderful friend:) or vice versa hehe

    :)

    जवाब देंहटाएं
  2. n that was such a beutiful poem.. who wrote it.. punnu??
    gr8888

    :)

    जवाब देंहटाएं
  3. Hi Manish...
    Wow this is so awesome...
    But I guess there is some time for her b'day...

    Wishing fiza (Dawn) a very Happy Birthday... God Bless her

    Wishing her all the success n Happiness

    @ Pari... No re... I didnt wrote that ;-)

    Have fun
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. WOW, kitnee khoobsoorati se wish kiya hai apnee friend ko. Happy birthday Dawn. Wish you all the best

    जवाब देंहटाएं
  5. WOW...!!
    Buhaat khoob manish ji...aap tou dou dou hath agay niklay..kamazkam hamay hi bata diya hota k itna acha surprize rakha hai :D

    Janam din buhaat buhaat mubarak ho dawn ji .....:)

    Aap jiyen hazaron saal..aur har saal k din hon....ek hazaar ;):D

    Khush rahein sada...aur bharpoor jiyen...hamari dheron duaon k darmiyaan :)

    जवाब देंहटाएं
  6. Manish....tumne to mere alfaz bhi cheen liye ...:) kya kahoon dost...kabhi aisa mehasus hua hai...jab bahut kuch bolne ka dil ho aur dil bhar aaya ho...to sirf aankhein boltin hain...jo ke tum to shayad dekh bhi na sako itnee dur se...lekin haan mujhe yaqeen hai ke tum mere jasbaat aur ehasaas ko samajh rahe ho...bhanp sakte ho isiliye...dost..shukriya ya dhanyawad ke lafz kehakar tumhari ninda nahi karoongi :)
    Mere liye ye kya kam hai ke...ke tum har saal mujhe chonka dete ho ..apne hee niraale dhang se...kabhi kisi forum per to kabhi...apne geeton ke album ki bhent...waqai...kaun itna khushnaseeb hota hoga..:) sivaay mere ;)....jee bahut kuch chaah raha hai...dekho humein senti na kiya karo hahahaah :)

    Let me take this opportunity to 'Thank' each and every person in this blog and my best wishes and prayers are with them without saying... I 'salute' for all your love.

    best regards...
    Dawn

    जवाब देंहटाएं
  7. btw @manu...ye meri pol kholne ki nahi ho rahi..hai :p meri age nikalo wahan se :( baah aah!!!!

    chor chori se jaaye magar seena zori se kaise jaaye ...hmm :p

    badmash!!!!!!!

    जवाब देंहटाएं
  8. Rimjhim Thx for ur compliment ! Poem is written by an upcoming poet Puneet Vijay.

    Puneet U were rt Puneet! DON's bday was on 7th but since I was going to Puri for a vacation on 3rd I wished her a bit early :).
    Thx for joining in :)

    DD Thx DD! How r u?

    ChutkiHey I told u I was going out of station to jane ke ek din pehle jo man mein aaya likh diya. Haan ye poem maine Jan mein padhi thi and its word were itched in my mind aur DON pe to bilkul fit baithti thi so use dedicate kar diya! Waise aapne bhi badi emotional post likhi hai jakar padhta hoon:)

    DON Tumhare janmdin ka sara waqt to Bhuvneshwar mein beeta! Aaj hi din mein lauta hoon! I hope ki tumhari bday celebration zabardast rahi hogi!

    Aur rahi pol kholne kee baat to ye to uske liye ho jo on the higher side ho. hum to humesha aise hi likhte the isliye likha ! ab Devi ka aadesh hai to hataye dete hain hee hee :)

    जवाब देंहटाएं
  9. Manish Im good, thanks. Under your dost and humdum list you need to change my url. Im now at
    http://radiant-dreamscapes.blogspot.com

    take care

    जवाब देंहटाएं
  10. Manish...
    Lemme thank u ...

    I was thinking that Dawn is elder to me ;-)

    hehehehhehe

    I've already embarrassed her a lot...
    ;-)

    Sorry Dawn ;-)

    Thanks again Manish for that age ;-)

    Take care

    जवाब देंहटाएं