बुधवार, नवंबर 30, 2005

Udaigiri & Khandgiri

Apne Orissa pravas ke aakhir din ka pehla hissa Dhauli aur baki mandiron ko dekhne mein beeta. Humari yatra ka antim padav Udiagiri aur Khandgiri the. Choonki in donon jaghon ke aakhir mein giri lafz juda hai to ye to aap samajh hi gaye honge ki ye jaghein pahadi pe isthit hai. Udaigiri ka vikas Jain naresh Kharvel ne kiya tha. Agar Udaigiri ko door se dekhein to aaytakar (rectangular) gufaon ka jaal dikhega . Us waqt jiska istemaal Jain bhikshu vishram ya dhyan mein kiya karte the. Aaj bhi ye gufayein vishramsthali hi dikhti hain par farq sirf itna hai ki aaj inka pryog premiyugal kuch pal al sath bitane ki jagah ke taur pe jyada karte hain :)

Udaygiri ke theek dusri or bagal ki pahadi pe Khandgiri ka Jain mandir hai. mandir ke theek bagal mein ek alag sa drishya dikha jo ki jhat maine apne cam mein qaid kiya. Jante hain sabse pehle ise dekh ke bachpan mein khele jane wale game PITTO ki yad aa gayi jismein hum chote chote paththar ke tukdon ko ek doosre ke upar sajakar rubber ball se phoda karte the. Par yahan to un pathron ki jagah eintein (bricks) rakhi huyi thin.

To is blog ke pyare pathak gan is tasweer pe gaur karein aur guess kar ke bataiyein ki in aade tirche paththaron aur einton ko is terah se sajane ka abhipray kya hai?

Aakhir mein shukriya aap sab ka jinhone mere is safar ke kuch yaadgar lamhon ko tanmayta se padha aur apni pratikriyaein vyakt keen.:)

गुरुवार, नवंबर 24, 2005

Kalinga War & Dhaulagiri

Kabhie kabhi apni aitihasik virasat se roobaru hona behad achcha lagta hai. Khaskar tab jab itihaaas ke taar do alag alag jaghon ko is terah jod dete hon. Bachpan se Patliputra , Nalanda aur Rajgir mein Magadh samrat Ashok ke smriti chinhon ya shilalekhon ko dekhte aaye hain. Par Orissa mein unhin prateek chinhon ko ek alag aitahasik prishthabhoomi mein dekhne ka anand hi alag tha.
Puri aur Bhuvneshwar ke raste mein Bhuvneshwar se kareeban 25 km par Dhaulagiri isthit hai. Dhauli main pehle bhi gaya hoon. Par Bhagwan Budhdha ki kisi sharansthali mein jana mere liye humesha se ek adbhut anubhav raha hai . Unke chehre ki bhav bhangima mujhe humesha se apne oor akarshit karti rahi hai. sach kahoon to un bheed bhad wale mandiron se kahin jyada sukoon mujhe baudh mandiron mein jakar aata hai.

Dhauli yani dhaulagiri ek pahadi pe hai. Is safed budhdhist mandir ko Japan ke sahyog se banaya gaya tha. Shayad isliye ki is pahadi ke theek neeche aaj bhi Samrat Ashok ka shilalekh vidyaman hai jo kalinga yudh ke uprant yahan sthapit kiya gaya tha.



Dhaulagiri se neeche ka drishya atyant manoram hai. Theek neeche kuch hi door mein Daya nadi behti hai.
Kalinga ka wo aitihasik yudh isi ke tat (bank) pe lada gaya tha . Us bhyankar raktpaat se dravit hokar hi Ashoka na baudh dharma sweekar kiya tha. Aaj is tasweer (my fav pic of the tour) ko dekh ke bhala kaun keh sakta hai ki yahan kabhie khoon bhari nadiyan bahin thin. Bas neeche ki hari bhari fiza dekhte hi ban rahi thi.
Raat ko wapas jane ke pehle kuch mandiron ko dekhna bacha tha. Uski baat agli post mein. Abhi ke liye to bas itna hi...

रविवार, नवंबर 20, 2005

Konark, Sunrise aur Khulne wala Tauliya :)



Agli subah ka sabse pehla karyakram tha, sea beach jakar sun rise dekhne ka aur phir agar pani jyada thanda na hua to nahane ka. Badi mushkil se 5.15 mein uth to gaye par jaise hi bahar nikalne ko huye to paya ki are hum to guesthouse mein qaid hain! Ab watchman ko pehle se to bataya bhi nahin tha wo us waqt gehri neend mein tha. Calling Bell ki karkash dhun jitni use suna sakte the sunayi. Par use na kuch hona tha na hua. Udhar door chitij pe suryoday ke pehle ki halki laali nazar aane lagi thi. So aur koi upaay na dekh hum mein se ek ne (hum teen the ek humare senior aur ek junior colleague) guesthouse ke first floor se neeche kood ke jane ka faisla kiya taki neeche ja ke tale ko khulwa sakein. Aap sab samajh hi gaye honge ki wo main nahin tha :).

Khair kisi terah hum log tez kadmon se beach ki or nikal pade. Sunrise ke kareeban 10-15 minute baad hi hum wahan pahunch paye. Wahan jakar dekha ki humne kuch khas miss nahin kiya hai . Kyunki surya devta udit to ho chuke the par badlon ki oot mein shayad humare hi aane ka intezaar ker rahe the. Humne thodi bahut pics leen aur phir hum sab chal pade samudra mein gote lagane. Pehle din ki apeksha aaj samudra poore josh mein the aur lahrein poori teji se sir ki uchai tak uchaal maar rahin thin.

Kuch der to main apne digicam ki rakhwali karta raha. Par phir apne sathiyon ki masti dekhi na gayi aur main bhi unke sath ho liya. Naha kar wapas aaya to dekha ki humare senior colleague apni jagah apne bachchon wala tauliya utha laye hain. Nazrein bachakar humne kisi terah kapde change kiye. Door nahate frens hulla karte rahe par unhein kya pata tha ki unmein se ek pe aage kya beetne wali hai.

Hua yoon ki jab sabnne kapde change kar liye to humare fren ko yaad aaya ki usne to apni pant bheenge kapdon ke upar hi pehan li hai. So hadbad mein usne wahi tauliya borrow kiya aur ek jhatke mein jaise hi pant nikali tauliya jawab de gaya. Ab humara to hanste hanste bura haal.tha. Raste bhar wo humein kosta gaya ki sir aisa tauliya lane se to achcha tha ki kuch na late.

Breakfast kar ke hum Konark ki or nikal parde. Raste ke donon or hare bhare pedon ki lambi katar thi. Khili dhoop, halki halki hawa kul milakar safar behad suhana tha! Kareeban 40 min ki journey ke baad hum Sun Temple Konark mein the.

Kareeban 1200 AD meing Ganga dynasty ke rulers ne ise banaya tha. Mughal Shashkon ke humle aur mausam ke thapadon ne is mandir ko bahut had tak chatigrasta kar diya hai phir bhi iska vastu shilpa aaj bhi dekhne yogya hai.
Mandir ko suraj ke rath ka aakar diya gaya hai kuch is terah se mano saat ghode 24 pahiyon par use swarg ki or le ja rahein hon. Rath (chariot) ke in pahiyon ko is terah position kiya gaya hai ki pahiyon pe girti suraj ki roshni ki chaya dekh ke aap aaram se apni ghadiyan mila sakein.

Konark se hote huye hum Bhuvneshwar ke white tiger reserve Nandan Kanan pahunche.Aur sham wahan bitane ke baad wapas laut aaye.

Agla din Itihaas ke pannon ko punah palatne ka tha… un jaghon se roobaru hone ka jinse meri matribhoomi ki aitihasik virasat judi huyi hai.

सोमवार, नवंबर 14, 2005

Chilika Lake

Satpara, Chilika lake ke uttari sire ka wo kinara hai jahan Puri se aane mein lagbhag sawa ghante lagte hain. Kareeb 20 km pehle se hi Chilika ke backwaters ka manoram drishya dikhne lagta hai . Kehte hain ek jamane mein Chilika ke isi hisse se sudoor poorva tak trade hota tha. Aise to Chilika ki vishal jheel mein boating apne aap mein ek behad sukoon dene wala anubhav hai par chilika ka adbhut saundarya tab aur bhi khil uthta hai jab sardiyon mein iske vishisht atithi iski vishal halki hari chadar pe panah lene ke liye aate hain.

Jee haan main unhin Siberian Cranes, Flamingos ki hi baat kar raha hoon jo Russia aur northern asia ki barfeeli sardiyon se bachne ke liye December se March tak yahan apna dera dalte hain. Us waqt sari jheel ek safed si parat liye deekhti hai. Yahan ke sthaneey ki logon kehte hain ki pehli baar jab British faujon ne is raste se Orissa mainland ki or dhava bolne ki sochi to unhein unche unche safed safed vardi pehne sainikon ki bhari katar dikhai padi aur wo ghabra kar wapas chale aaye. Ye safed nakabposh aur koi nahin ye migratory birds hi the :)

Khair hum to ye drishya dekhne se vanchit rah gaye :( kyunki in pakshiyon ne yahan abhi aana suru hi kiya tha. Par inmein se kuch ko humne Nandan Kanan mein dekha. Jara aap bhi gaur karein hain na khoobsurat !











Satpara se sea mouth tak ki boating ka lutph hi alag hai. Vishal jal ki bahri paridhi pe nariyal ke jhund ke beech chote chote ganv dikhai padte hain.


Prashidha nrityangana Sonal Man Singh is mitti ki upaj hain. Jyadatar ganv machuaron ke hain. Inke jaal ke paas machliyon ko khane aati dolphins bhi dikhai padin. Humne bahut koshish ki inki tasweerein lene ki par 15 snaps try karne ke baad ek mein hum inhein capture kar paye. Wo bhi aisi ki bina explain kiye pata hi na chale ki Dolphin hai.

Raat ko Jaganath Mandir jane ke pehle hum phir samudra ke samne jakar baithe. Yoon to Eid ke agle din ka chand ab bhi maheen sa hi tha.phir bhi samudra ki lehrein aaj kuch jyada hi uchaal bhar rahin thin , manon apni taqat ka darp bhara pradarshan kar rahin ho.

शुक्रवार, नवंबर 11, 2005

Diwali se Puri Tak: Part I


Dussehre se lekar Deepawali ka waqt mere liye humesha se khushgawar raha hai. Bachpan se in dinon ke aane ki prateeksha rehti thi . Na keval hum in festivals ko enjoy karte the balki yahi wo waqt hota jab ya to hum apni nani ke yahan jate ya kahin ghoomne ka program banate the. Aaj bachpan, school aur college ki dehleez paar karne ke baad bhi saal ke is hisse ka mujhe usi besabri se ahsaas rehta hai.

Is baar ki deepawli mein ghar ki jamkar safai ki. Bachpan mein ye kaam karna isliye bhi pasand tha kyunki aksar is karya mein koi bhooli huyi cheez milti thi ya phir kahin gire huye paise.

Deepawli ke ek din baad hi hum chal pade Puri ki or. Waise pehle Kerala jane ka program tha par uske liye chuttiyan kam pad rahin thin to socha Puri to ho hi aayein kam se kam.

Aur shaam 5 baje chal kar hum subah 8 baje apne gantavya sthal par ja pahunche.





Barish ke dar ko bheetar hi dabaye huye jab hum puri pahunche to khili dhoop aur saaf aasman ko dekhkar hum sab ne chain ki saans li. Puri ki beach nahane ke liye eastern coast ki one of the best beaches mein se hai. Aur ye anand humne bakhoobi uthaya - Ek din chadhti dupahri mein aur doosre din suryoday ke baad!

Humara agla padav tha Chilka lake jiska ek chor Puri se keval 50km door hai.......

बुधवार, नवंबर 02, 2005

Janmadin Mubarak DON!

Mera blog kayi dinon se chupchap sa baitha tha! Ye nahin ki likhne lko kuch nahin tha par kya karein waqt ki tangi ne mere hath baandh diye the! Aur ye chuppi kuch aur din juroor chalti agar in DEVI ji ka janmadin beech mein na aa jata!

Haan to meri ye post dedicated hai meri khas pyari si dost DON ke liye! To suruaat Devi vandana se :) :)

Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain

Bade itafaak se milte hain milne waale mujhe
Woh mere dost hain, jinki wafa mein jeete hain


JANMDIN MUBARAK HO DON!

Net pe DON se meeri mulaqat ek urdu poetry forum mein huyi thi. And I was delighted to find a fren who was so much similar to me. Bahut achcha lag raha hai DON tumhein apne blog pe wish kar ke.( Isliye bhi ki is saal humne jhagde bhi sabse jyada kiye hain ! Aur tumhare bouncers bhi jhele hain hee hee. )

Waise doston! DON aajkal KHUSH KHUSH mood mein hain. Aur kyun na hon kuch hi dinon mein inka ya kisi aur kaa :) band jo bajne wala hai! Khair to DON ke abhi ke halation pe is sher ki yaad aa jati hai


Jitne mausam hain sab jaise kahin mil jayein
In dinon kaise bataoon jo fiza hai mujh mein


DON tumhare is janmdin par Puneet Vijay ki ye kavita tumhare liye!

Sapneeli kuch khwahish doon
Ya khwabon ki jumbish doon
Janmadin ki saugaat nayi
Khushiyon ki bauchaar doon
Bolo kya uphaar doon?

Ugte suraj kee kirnein
Khushboo mehke phoolon kee
Shohrat us chaand kee
Masti sawan ke jhoolon kee
Aisi hi rangi bayaar doon
Bolo kya uphaar doon?

Kasmein nayi, wade naye
Manzil nayi, Naye Raste
Bulandiya hain kar rahin
Intezaar tere waste
Apni mehki khushiyan bhi
Tujh par hi main waar doon
Bolo kya uphaar doon?

Jeewan ke anmol lamhe
Sapnon ki kuch aahtein
Har kadam par tere
Khilti rahe muskurahtein
Mehka sa kuch chehka sa
Sajeela ek sansar doon
Bolo kya uphaar doon?

Aaj ki kuch yadein doon
Kal ke liye wade doon
Saugat main tujhko atoot
Amit dosti ka karaar doon
Aisa ek uphaar doon?
Aisa ek uphaar doon?


Aasha hai ye saal tumhare liye sabse khushgawar beetega! Isi shubhkaamna ke saath!