सोमवार, सितंबर 26, 2005

Pyar Aaya Aur Jyada.. Aur Jyada Pyar Aaya..

Kai baar geeton ke mukhde kuch khas asar karte hain ek dum sahaj bol (simple lyrics) hone ke baavjood ! Kuch aisa hi asar hua jab maine is geet ko suna. To pesh hai is geet ka mukhda ek antare ke sath pyar ki bheeni bheeni khushboo liye..

Pyar aaya….. aur jyada
Aur jyada… pyar aaya

Dekha jitni, baar tumko
Pyar aaya….. aur jyaada
Aur jyaada… pyar aaya

Ye madhoshiyaan hain..
Ye betabiyaan hain..
Ye kya hain ….hum bhi na janein..
Tumhein sirf chahein..
Tumhein hi sarahein..
Koyi kuch kahe hum naa manein

Ye mastana kajal..
Ye julphon ka baadal..
Ye shaanon pe jhukti nigahein..
Ye hothon ki khushboo, ye chehre ka jadoo..
Ye dil ko churati adayein

Chaha jitni baar tumko
Pyar aaya….. aur jyaada
Aur jyaada… pyar aaya

Sonu Nigam aur Alka Yagnik ki makhmali aawaz agar aapke man mein ek shararat aur shokhi na bhar de to kahiyega :)

Happy Listening !
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7983/

शनिवार, सितंबर 17, 2005

Kitabein jo paas rehte-rehte door ho gayin...

Middle school mein Raamdhari Singh 'Dinkar' ki ek kavita padhi thi. Kavita ka sheershak tha Kalam ya ki Talwaar ! Aur uski ye panktiyan aaj tak dilo dimag pe dera dale huye hain

Do mein se tumhein kya chahiye Kalam yaa ki Talwaar
Man mein unche bhaav ya tan mein shakti ajay aapaar


(What do u want out of the two--- A pen or a sword ?
Great thoughts in ur mind or So much power in ur body that u become invincible)

Us waqt man mein mujhe koi sanshay nahin tha aur aaj bhi nahin hai ki inmein se kaun mera jyada priya hai. Lekhni ke is jadoo ko kitabon ke pannon pe jagane walon pe meri atoot shradhdha hai aur rahegi. Par aaj jab kaphi antaraal tak apne ko kitaboon se door pata hoon to ek jhunjhlahat si hoti hai !

Yoon to jab bhi kitaab ki kisi dukaan pe jata hoon to iksha hoti hai ki dher sari ek saath khareed loon. Par kabhi unki keematein aade aati hai to kabhie khareedne ke baad unko na padh pane ka samay .Kabhie Kabhie to poori kitaab khatma hone mein saal lag jate hain. Par jab ye competition aur naukari ka chakkar nahin tha to kis dhaddle se padhte the kahaniyan aur upanyaas. Mujhe yaad hai ki Great expectation maine sirf khane aur 3-4 ghante sone ko chor takreeban 40 ghante flat mein khatm ki thi.

Par aaj to khali waqt mein kitabon ki jagah PC ne le li hai. Aur aaj jab poetry ki ek file ke pages pe nazar padi to laga dekho to Gulzaar ne kis khoobi se apni is nazm kitabon se humari badhti dooriyon ka behtareen naqsha kheencha hai. Pesh hai uske kuch ansh..

kitabein jhankti hain band almaari kay sheeshon se
bari hasrat se takti hain
maheenoo ab mulaaqat nahi hoti
jo shamein in ki sohbat main kata karti thein,,,,ab aksar
guzar jaati hian computer kay pardon par
bari bachain rahti hian kitabein

zaban par zaiqa aata tha jo in safhe (page) palatne ka
ab ungli click karne se bas
ik jhapki guzarti hai :)
buhat kuch tah ba tah khulta chala jaata hai parde par
kitabon se jo zaati rabta tha kat gaya hai

kabhi seeny pe rakh ke lait jaate the
kabhi godi main rakhte thay
kabhi ghutno ko apne rahal(kath ki chouki) ki soorat bana kar
neem sajday main parha karty thay,choote thay jabhee se
khuda nay chaha to wo sara ilm to milta rahega baad main bhi

magar who jo kitabon main mila karte thay sookhay phool
kitabein mangne,girnay,uthane kay bahane rishty bante thay
unka kya hoga
who shayad ab nahi hongay!
Gulzar

शनिवार, सितंबर 03, 2005

Jo Beet Gayi So Baat Gayi...by Bachchan

Ye poetry humne tab padi thi jab class IX mein the. Aur us samay se aaj tak ye apni bheeni bheeni khushboo liye hamare zehan mein samayi hai. Aur yakeen maniye aaj bhi jab koi purani baat dil ko bojhal karti hai to is kavita ki ek khurak man mein ek sfoorti si paida kar deti hai, ek sambal sa pradan karti hai

Ek sitara ....
Jo humesha ankhon ke saamne raha ...
Jiske bare mein kitne sapne sajoye the kavi ne ...
Achanak hi wo ambar mein vileen ho gaya , kho gaya ...
Bach gayin to uski yadein aur ek shunyata ...
Aur uski yaad mein jo kavita phooti Bachchan ki lekhni se wo aapke saamne hai…..

Jeevan mein ek sitara tha
Maana woh behad pyara tha
Woh doob gaya to doob gaya
Ambar ke aanan ko dekho
Kitne iske tare toote
Kitne iske pyare chhoote
Jo chhoot gaye phir kahan mile
Par bolo toote taron par
Kab ambar shok manata hai

(Ambar –aasmaan , Shok -dukhi hona)

Jo beet gayi so baat gayi ....

Jeewan mein tha who ek kusum
The us pe nitya nyochawar tum
Wo sookh gaya to sookh gaya
Madhuwan ki chaati ko dekho
Sookhi kitni iski kaliyan
Jo murjhai phir kahan khili
Par bolo sookhe phoolon pe
Kab madhuvan shok manata hai ?

(Kusum-flower , Nitya-hamesha, nyochawar- dedicated, madhuvan- gulshan)

Jo beet gayi so baat gayi

Jeewan mein madhu ka pyala tha
Tumne tan man de daala tha
Woh toot gaya to toot gaya
Madiralay ka aangan dekho
Kitne pyaale hil jaate hain
Gir mitti mein mil jate hain
Jo girte hain kab uthte hain
Par bolo toote pyalon mein kab madiralay pachtata hai ?

(Madhu-sharab, madiralaya-sharabkhana, pachtana-repent)

Jo beet gayi so baat gayi

Mridu mitti ke hain bane huye
Madhu ghat phoota hi kartein hain
Laghu jeewan leke aaye hain
Pyale toota hi karte hain
Phir bhi madiralay ke andar
Madhu ke ghat madhu ke pyale hain
Jo madakta ke mare hain
Wo madhu loota hi karte hain
Wo kachcha peene wala hai
Jiski mamta ghat pyalon par
Jo sachche madhu se jala hua
Kab rota hai chillata hai?

(Mridu-soft, ghat-pyaala, laghu- chota, madakta-masti, mamta-prem)

Jo beet gayi so baat gayi ......