शुक्रवार, अगस्त 12, 2005

Wo Pareeksha ! Dil ki ya Dimaag Ki Part-II

Pehle din humare do paper the Physics aur Chemistry! Beech mein do ghanton ka gap tha. So lunch time mein doston ne mashwara diya ki yahi waqt hai jaan pehchaan badhane ka. Par maine kaha aaj nahin kal dekhte hain exam khatma hone par. Waise bhi ye info mujhe mil chuki thi ki wo apne pujya pitashree ke sath padhari hain! Ye janne ke baad aadhi himmat waise bhi jati rahi thi. Khair….

Agle din scheduled time se jara jald hi pahunch gaye. Par wo to lagta hai Japanese management philosophy JIT yani JUST IN TIME technology ka anukaran (follow) karne wali prateet hoti thi. So humne apni gup shup ke liye jo situation pichli raat mein soch rakhi thi us par bhi aate hi tusharapaat ho gaya.

Halke halke kadmon se apni desk ke kareeb aa khade huye. Desk pe nazar padte hi humare hosh ud gaye. Man hi man socha achcha hua wo abhi tak nahin aayi nahin to agar usne ye dekha hota to kya sochti wo mere bare mein.

To hazraat aap sab bhi soch rahe honge ki aisa kya hua hoga meri desk pe!
BOYS wiil be afterall BOYS #*#&@$!
Kuch ladkon ne wo desk jo meri thi ko us ladki ki samajh kali aur laal syahi se filmi geeton ki bahar lagi rakhi thi. So humari desk exam ki desk kam aur Vividh Bharti mein aane wale Man Chahe Geet karyakram ki song list jyada lag rahi thi. Aur geet bhi kaise
Thek theek lines to yaad nahin par bhav kuch kuch aise the

Jab se tujhe dekha dil deewana hua jaye re..
Haye tera shabab jaise makhmali gulaab …..
aur na jane kya kya:( :(

Mere jaise shareef :) ladke ke dil pe kya guzari hogi aap samajh sakte hain!

Kutton *@%#* ne itne bade bade letters se likha tha ki 1 m ki doori se bhi saaf dikh jaye phir uski aur humari desk mein muskil se 0.5 m ka phasla raha hoga. Sirf dimaag mein yahi ghoom raha tha ki kaise is vikat paristhiti se door hua jaye. Aakhir sawal humari saaf suthari aur achche student ki image ka tha jo un paapiyon ki us harkat se mitti mein milne ja rahi thi.

To sabse pehle blade se sabse offensive ya yoon kahe bold song ko mitane ki koshish suru kee. Par usmein time bahut lag raha tha aur wo kisi bhi samay aa sakti thi. Itne mein humein ek idea aaya aur man hi man aapne aap ko dutkara ki are moorakh abhi tak tujhe ye kyun nahin soojh raha tha. Exam suru hone mein 10 min the par humare invigilator aa chuke the. Main daud kar unke paas gaya aur likhne ke liye copy mangi. Copy milte hi use aur apne instrument box ko is tarah apni desk pe phailaya ki koi song peeche se dikhai na de. Waise bhi us din ek hi paper maths ka bacha tha ek baar exam suru ho jane ke baad uski nazar un geeton pe padne ka sawal nahin tha.

Wo exam ki ghanti lagne ke baad aayi aur apni usi smile ke sath ye kehti baith gayi ki aaj to paper mere liye bahut tough hoga.
To bataiye aap sab aaj se 15 saal pehle aapke is Manish ne wo situation manage kar lee hogi?????
Nahi janab! Is mamle mein humara luck kabhie achcha nahin raha :(


Shayad uparwale ko bhi kuch purane hisab chukane the. Question paper milne se theek pehle maine ye detect kiya ki awwal to meri copy mein poore pages nahin hain aur last but one wala panna phata hua hai. Ab to exam ka sawal tha to copy badalne ke liye apne desk ko anaavrit (uncover) to karna hi tha. So bade bujhe man se maine apni copy uthai aur invigilator ke paas gaya. Wapas aate samay ek tirchi nazar us pe daali to dekha wo mujhe dekh ke muskura rahi thi. Jhenp ke mare maine jaldi hi nazarein hatayin aur ye sochta hua exam dene baitha ki agar usne wo ab padh bhi liya ho to main exam ke baaad sab saf saaf keh doonga ki ye mea kiya hua nahin phir uske bad wo jo bhi chahe soche.

Us din ka paper tough tha aur aisa wo pehle hi bata chuki thi ki uska maths utna strong nahin hai ! Shayad isi wazah se wo 15 minute pehle hi nikal gayi…

Aur main ye kabhi na jaan paya ki us ki wo aakhiri muskurahat kis wazah se thi.? Kya uski songs pe nazar padi hogi aur padi to yahi socha hoga na ki ye to kitna cheap ladka nikla! Ya phir usne kuch dekha hi na ho…

Umeed se to duniya qayam hai so humne result nikalne tak umeed nahin chori ki shayad hum donon ka bhagya chamke aur mujhe bhir ek mauka mile kisi ghalatphahmi ko door karne ka.

Exam ka result nikla!
Par dimaag ke aage dil haar gaya!

I cleared the exam par na hi mere frens aur na hi wo safal ho saki.
Aaj bhi jab kabhi is waqye pe dhyan jata hai to to uski muskurahat ke sath peeth par us pencil ka dabav phir se ubhar jaata hai.

Chalte Chalte Bharat aur Pak ke mere doston ko Independence Day ki hardik badhaiyan!

22 टिप्‍पणियां:

  1. hi Manish...

    ooooohhhhh
    Anti-climax :-(

    Waise bhi ladkiyon ki muskurahat ke raaz jaan ne ki koshih karoge to zindagi yuhi guzar jayegai...
    Unki muskurahat to aankhon se guzar dil ko cheer jaati hain...
    aur hum bus marham ki khawaish main agli mulakat ka intezar karte rehte hain :-)>

    Aapne Dimaag ki pareeksha paas ki woh koi kam baat hain...

    Maza agaya ...kuch kuch wakyon ko padh kar to meri hasi roki nahin gayi...

    Independence Day ki bahut bahut badhaiyan :-)

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. ajj tootay howay sapnon ki bauhat yaad ayee
    aaj beetay howay sawan ko bauhat yaad kiya


    Hayeee....ye kya hogaya......abhi tou gari start hi howi thi k phir band ho gaye :(

    ba'qaul-e-shayar:

    itnii sii daastaaN hai, mile aur biChha.D gaye!
    aghaaz ho raha tha, k anjaam ho gaya!


    Kher ..koi baat nahi...
    us haseena say raghabat nahi...na sahi.....ye buhaat hai k rusvaiyaan bhi nahi.. ;)

    Aur baat hai us haseen ki halki halki tabasum (smile) ki...;)tou janab dekhiye ye -Sudarshan Faakir-sahab kya kehtay hain is baray mai :


    dekhanevaalo tabassum ko karam mat samajho
    unhe.n to dekhanevaalo.n pe ha.Nsii aatii hai


    :D... ye hum nay bilkul nahi kaha ....ye tou shayar-e-gustaakh hain k kuch bhi kehtay rehtay hain ;D :P
    Hum tou bus 'nazeer bansari' ji ki baat mantay hain...:) jo k kehtay hain


    kahii.n par bhii rahe.n ham to muhabbat phir muhabbat hai
    tumhe.n ham yaad aaye.nge hame.n tum yaad aaogii


    :)

    जवाब देंहटाएं
  3. hhmmm.. ch ch.. hame to laga tha ki kam se kam kuch to baat hui hogi.. par aap to khamosh hi rah gaye... aur vo gane likhna desk par.. haha vo bhi enterence exam ki.. funny na..
    vaise hum khush hue ki aapne dimmag ki pareeksha paas ki.. sach maniye us time vo jyada imp tha na.. sach hi hai kuch anjan chehre hamesha yaad reh jate hai..

    :)

    जवाब देंहटाएं
  4. स्वतन्त्रता दिवस की आप को भी शुभकामनाएँ।

    जवाब देंहटाएं
  5. hahaha manish...bas has diye..kyunke har ek wakhiye per hum aap hee ko visualize kar rahe the oos situation mein :D....

    shayad woh aapke bholepan per muskurayeen hon ;) kyun ho sakta hai na >>> :D

    zindagi akasar aise yaadein chor jaatin hain jo sirf yaad aane ke liye hee hotin hain ...aur kuch nahi...!!!!

    Swantantrata Diwas ki Shubhkamnayein aapko bhi bahut bahuttt...

    dhanyawad!

    जवाब देंहटाएं
  6. Just a few min before i was writing to a friend "many a times memories make us smile,and i wish your life is filled with such memories which will make u smile the day you remember them" aise hi lagtha hai aapke post padne ke baad,Manishji,main yehaan roj aathi hoon,Bas,aajkal thoda kaam jyada hogaya,thabiyath thodi nasaaz hogayi aur fursat hi nahi milthi,isiliye comment nahi karpathi.
    If i want i can write wonderful, excellent kind of words but i feel it wont do justice,This blog is one of my fav,and i need time to feel it and write what i feel:) and i did read the post on the top song also,But will mail you or write the comment asap:)

    जवाब देंहटाएं
  7. :):) pehli kisht padh ke main yeh soch rahee thee shayad baat kuch aage badee honge, lekin usne toh sirf muskurake aapko hamesha ke liye ek meethi see yaad chor gayee :)
    I hope woh kabhi kahee aapka blog padh le :)

    जवाब देंहटाएं
  8. स्वतन्त्रता दिवस की आपको भी हार्दिक शुभकामनायें.
    आप रोमन हिन्दी मे क्यों लिखते है, हिन्दी मे लिखना बहुत आसान है, आप कोशिश तो करिये.
    किसी परेशानी के समाधान मे हम आपके साथ है. ज्यादा जानकारी के लिये हमारे ज्ञानकोष को देखिये, लिंक ये रहा
    http://www.akshargram.com/sarvagya/index.php/Welcome

    जवाब देंहटाएं
  9. hello ...
    Where have u disappeared ???
    Come back to blog world

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  10. manish.. aap kaha busy hai..hame aapki kahani poori yaad ho gayi:).. ab kisi aur chehre ki baat ho jaye plzz plzz.. :)

    :)

    जवाब देंहटाएं
  11. Waise bhi ladkiyon ki muskurahat ke raaz jaan ne ki koshih karoge to zindagi yuhi guzar jayegai...
    Unki muskurahat to aankhon se guzar dil ko cheer jaati hain...


    seems word of wisdom from an experienced man :):)
    Good to hear that u enjoyed the post:)

    जवाब देंहटाएं
  12. Wah Zainab wah
    kya aasharon ki jhadi lagayi hai tumne
    waqai tumhari reply padh kar maza aa gaya. Ye sher to ekdum to the pt likha..

    itnii sii daastaaN hai, mile aur biChha.D gaye!
    aghaaz ho raha tha, k anjaam ho gaya!


    aur haan shayron ki aad mein khoob nishana sadha hai! koi baat nahin ji hum bhi mauqe ke intezaar mein hai:)



    ha ha aisa hi hota aaya hai hum badnaseebon ke sath :(

    जवाब देंहटाएं
  13. Hmmmm exam to imp tha hi par.....donon exam ek sath pass karne ka maza hi kuch aur hota!

    Nahin kya?

    जवाब देंहटाएं
  14. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  15. zindagi akasar aise yaadein chor jaatin hain jo sirf yaad aane ke liye hee hotin hain ...aur kuch nahi...!!!!

    Bilkuk DON tumne to mere munh ki baat cheen li :)

    Aur jahan tak us muskurahat ka sawal hai hone ko to kuch bhi matlab ho sakta hai jo tumne kaha wo bhi aur uska ulta bhi :) :)

    जवाब देंहटाएं
  16. Shukriya Alok yahan tashreef rakhne ka! Aasha hai swadheenta divas aapke iye harsh aur ullaas le ke aaya ho!
    punah padhariyega :)

    जवाब देंहटाएं
  17. Jitendra ji

    Waise to Roman Hindustani use karne ki ek wazah ye bhi hai ki main apne un mitron ka sath nahin chorna chahta jo Pak se hain!

    haan ye juroor hai ki hindi me ek alag blog banane ki iksha thi! Par jaisa ki aap jaante hain ki WIN 98 mein unicode ki suvidha uplabdha nahin hai aur mere ghar ki purani Celoron based pc pe Win XP mein uograde karna sambhav nahin.

    Main ek baar aapki batayi site pe gaya tha parantu is platform pe mujhe ek patch download karne ke baad bhi apni samasya ka nidaan nahin mil paya. Agar is sambandh mein koi jaankari aapke paas ho to juroor avgat karaiyega!

    Aasha hai Swadheenta Diwas ka avsar ake liye achcha beeta hoga!Is blog pe apna samay dene ka shukriya !

    जवाब देंहटाएं
  18. "Many a times memories make us smile,and i wish your life is filled with such memories which will make u smile the day you remember them"

    behad khoobsurat baat kahi tumne Neel aur sach bataon to apne jaison ke beech in palon ko bantna mujhe behad pasand hai.

    Aur haan us song ke bare mein tumhari reaction ka isliye intezaar tha kyunki jab music ki taste ka sawal hai to humari pasand hubahu yani 100% milti hai!

    apni health ka khayal rakho.. Ok!

    जवाब देंहटाएं
  19. ha ha ha Dewdrop yani shabnam ji aap kya soch rahi hain ki use ye baat yaad hogi. Mujhe to nahin lagta anyway aapki is optimistic suggestion pe to yahi kahenge.
    ki aapke munh mein ghee shakkar!:)

    जवाब देंहटाएं
  20. Hi Divya
    Apne is blog pe aapka tahe dil se swagat karta hoon!
    waise ye baat theek nahin ek to humari us kanya se baat nahin ho payi phir bhi aapka dil garden garden ho gaya...:):)
    hoe to see u here again!

    जवाब देंहटाएं
  21. Puneet aur Rimjhim
    Independence ke peeche office ka second sat club ho gaya to socha kyun na thodi chutti maar ke mum dad se mil liya jaaye!
    Ab wapas aane pe doosron ki kahaniyan padh rahe hain jo miss kar gaye the!
    haan apni aakhri kist mein un do chehron ko layenge jinki jhalak bhar hi dekh paye the yani usmein afsana hoga kuch palon ka !

    aur haan Rimjhim inmein se ek situation bahut kuch tumhari post se milti julti hai so wait & watch!

    till then bye!

    जवाब देंहटाएं
  22. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं