मंगलवार, अगस्त 09, 2005

Wo Pareeksha : Dil kee ya Dimaag kee -Part I

High School se +2 ka safar mere liye humesha dil ke kareeb raha hai.
Kehna ghalat nahin hoga ki that was the most lonely period of my life.
Kitni chintayein man ko ghere rehti thin.....


Ek to career kee ! Yani engg exam clear kar payenge ya nahin
Aur doosre ki zindagi mein apni bhi kabhi koi dost hogi ya nahin :(
Haan to frens pehli chinta din bhar haawi rehti thi aur doosri sham ko :)
Pehli ko poora karne ke liye to jam kar mehnat karte…….
Aur doosri kee logical implementation ke liye sirf khyali pulaaw pakaya karte :)

Khair baat to anjaan chehron ki ho rahi hai na phir main apne bare mein kyun bata raha hoon aap sab ko! He he
Wo isliye ki aap sab ko us waqt ke Manish ki manoisthiti se avgat karana juroori tha aage ki baat ka jikra karne se pehle.

Engg Entrance ka wo exam hum teen doston ne ek sath bhara tha! Aur jaisi ki aasha thi hum teenon ko ek hi exam center mila tha aur ek hi room. Par mere roll no aur baki frens ke roll no. mein ek no ka gap tha.

To ye kahani us shaksh ke bare mein hai jise theek mere peeche baithna tha.
Jab wo hansti muskurati humari bagal se guzari to sach maniye humara dhyan uski or bilkul nahin gaya. Humare dimag mein abhi aane wala question paper hi ghoom raha tha.

Paper physics ka tha aur hum use hal karne mein taleen ho gaye!
Par abhi 10 minute bhi nahin guzare honge ki humein peeche se pencil ke dabav ke sath ek phusphusahat sunayi padi ye aapka pehle question (numerical) ka answer kya aaya!

Vastusthiti samajhne mein humein thoda waqt juroor laga par jab situation samajh aayi to electrostatics ke us sawal ko hal karte karte yon mehsoos hua ki 5Amp ki current humare sharer mein bhi pravahit ho rahi hai.

So phir kya tha hum aanan phanan mein hyperactive ho gaye aur sare answers aapas mein (yani mere peeche baithe huye doston tak) exchange hone lage. Par shayad hi humara aur uska koi answer match ho raha tha.

Idhar humare khandoos invigilator ko humari hyperactivity dekhi na gayi ! ek baar aankhein tarer ke gaya aur doosri bar paper lene ki dhamki bhi de gaya. Paper khatma ho gaya aur wo phir ek smile de ke chalti bani. Is baar humne khushi khushi smile grahan ki aur chal pade apni khwabon khyalon ki duniya mein aakhir sham jo ho gayi thi.:)

Aur is baar ka khwab to realistic tha jo jagti aankhon se bhi saaf dikhai de raha tha :)
Kitna achcha ho ki hum ek sath ye exam clear kar lein
Dost to ban hi jayegi aakhir maine itti madad jo ki bina use jane huye…
Aur phir to aage ki line clear hi hai….
Aur inhin meethi kalpanaon mein kab neend lag gayi ye pata hi na chala

Aage kya hua uski bhi ek kahani hai par wo agli kisht mein………

13 टिप्‍पणियां:

  1. aapkee kahani padh ke mazaa aa gaya. kaafi filmy maloom hotee hai, dekhte hai aglee kisht mein kya hota hai.:)

    जवाब देंहटाएं
  2. hahaha....amazing...mujhe bahut hasi tab aayee jab woh muskurati hui bagal mein aakar baithi aur tumne murkar nahi dekha hahahahahaa!!!

    Manish its very cute...:)

    जवाब देंहटाएं
  3. hehehe ..woww ..aage kya hua.... jaldi bataye.. hehe.. hum intzaar karing:)

    :)

    जवाब देंहटाएं
  4. woh din jahan koi tension nahi thi zindagi mein,woh haseen pal jahan masoomiyath se zindagi gujarjaati thi,aapne tho yaadein taza kardi hamari,how have u been,i was out of town and cameback and fell ill,i am perfect now and read all your posts today:)

    जवाब देंहटाएं
  5. LOLZZZ...Tou aab aya oonth pahar k nechay :P ...wohi hum sochein k janab yun tou har cheez ka expereince hain tou phir aesay rangeen aur kabhi kabhi sangeen ;) expereince say ap qasir ho kasiay saktay hain :P chalo ye shaq bhi dour ho hi gaya akhir ;)

    aab agay ki kahani bhi sunein takay aap k is exp. ko bhi enlist kardiya jae ;)

    Najanay kyn aapki is post ko parh kar 'Hasan' sahab ki likhien ye lines foran zehn mai ayein..


    gulaab cheharo.n se dil lagaanaa
    vo chupake chupake nazar milaanaa
    vo aarazuuo.n ke Khvaab bunanaa
    vo qissaa-e-naatamaam likhanaa ;):P

    जवाब देंहटाएं
  6. hmmmm DD
    Nahin ji !
    Kahan is nacheez ki aap beeti aur kahan filmi kahaniyan hee hee :)
    khair dekhte hai humari is kahani ke agle twist pe aapki reaction kya rahti hai:)

    जवाब देंहटाएं
  7. Ohh DON !
    Waise bhi uska aana expected nahin tha aur physics ka aane wala paper janb dimaag ke aage ghoom raha ho to baki cheezon pe kahan dhyan jayega!:)

    जवाब देंहटाएं
  8. haan to Rimjhim !:)
    using ur nick I think u won't mind

    agle part pe aap sab ko to hansi hi aani hai par aane wali us dukhdayi paristhitri se upaji wo jhenp humein aaj tak yaad hai..
    ek aadh din mein hazir hoonga us part ke sath..

    जवाब देंहटाएं
  9. Are Neel
    wo achanak kuch padha kahin strangers ke bare mein to laga kyun na un anjaan magar pyare chehron se judi baton ko share karoon!
    ab to aap wo kya kehte hain eid ka chaand ho gayi hain! Pondicheri kse aate ke sath phir tabiyat kharab ohh no! khayal rakhiye ji apna!

    aur haan I was waiting to read ur reaction about the top song of my list from same Movie Phir Milenge!becoz u were the only one who has heard the whole album!

    जवाब देंहटाएं
  10. aji Zainab ji aapne to itni choti umra mein hi itne sare experience apni jholi mein daal rakhe hain jiski barabari karne ke liyein humein apne sare baal safed hone ka intezaar karna hoga hee hee!

    Badi apropriate sher zehan mein aaya aapke! aage ki kahani sunane ke liye hi hum apne je ko kada kar rahe hain ....:)

    जवाब देंहटाएं
  11. nah ..u can call me rimjhim:)

    thoda guess hum karing aage kya hoeing kahani mei.. lakin aapki kahani ka intzaar hai:)

    :)

    जवाब देंहटाएं
  12. Wow Manish...
    this so sweet...
    eagerly waiting to know ki aapne kon se pareeksha paas ki...
    dil kee ya dimaag ki... ya dono

    :-)>... jaldi blog kijiye

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  13. Shukriya Puneet!

    Aaj aage ki post kar dee hai
    so nateeja to tum padh hi loge ki kiski jeet huyi:)

    जवाब देंहटाएं