रविवार, अगस्त 21, 2005

Wo Hansi Uffffffffffffff..........

ANNOUNCEMENT : DO PARTICIPATE IN ONGOING QUIZ AT MY ENGLISH BLOG http://indianspirit.blogspot.com/2005/08/quiz-section-i-music-movies.html
Ek hafte ke antaraal ke baad ek baar phir upasthit hoon is srinkhla ki agli peshkash ke sath.
Aaj us chehre ki baat karenge jo shayad hi kuch ek palon se jyada aankhon ke samne raha ho…..

To aaj le chalte hain aapko Delhi.
Baat 1994 ki hai....
To hum teen yani mere aalawa Escorts mein kaam karne wale mere do sathi aaye the ek exam dene Delhi mein. Centre tha IIT Delhi. Unmein se ek Delhi ka banda tha aur dooja Merrut ka. Exam ke baad bus se hum Hauz Khas se Lajpat Nagar tak aa gaye the. Ab humein wahan se Faridabaad jane wali bus pakadni thi.
Ab jo bhi buses aa rahin thi wo sab buri terah jam packed.
So kare to kya karein hum?
Chup chap kabhi us tez dhoop ko to kabhi DTC ko kos rahe the :(

ki itte mein door se ek charted bus aati dikhai di

Amooman aisi buses sirf apne roz ke passengers ko hi baithati hain so uske wahan rukne ka koi chance nahin tha. Par bas jyunhi paas aayi ki hum sabki nazar us khoobsurat mukhde pe ja atki jo khidki se hum sabki or hi dekh rahi thi. Bas phir kya tha hum sab ke man mein shararat soojhi aur uski or dekh ke ek sath chilla uthe roko roko humein isi bus mein chadhna hai!
Ab Delhi ke bus conductors to aise hi itte kathor hridya wale hain so wo bus ko bhala kyun rokte par hum bhi iske sath aise daude ki aaj to bus mein entry le hi lenge :)

Daudna to ek bahana tha, basically uska dhyan apni or kheechna tha aur humara daudna vyartha nahin gaya doston, tohfe mein mili ek pyari si unmukta hansi !
Aur hum sab haye haye kar uthe!
Aur wo hansi aaj tak mere mano mashtishk mein usi terah ankit hai ! Us bare mein jab bhi sochta hoon to man mein ek behad sukhad see anubhuti hoti hai!
Kitni taqat hai na ek haseen si muskurahat mein bhai log :)

12 टिप्‍पणियां:

  1. :D manish...muskurahat hai husn ka zevar!!!!

    waise sach kahein to khush hone ke liye insaan ek muskurahat mein bhi khush ho jaata hai nai?? Mujhe tumhari ye baat bahut acchi lagi :D

    Lekin haan bus ke peeche aise daude honge ye nahi socha tha ...lol hahaha

    good one..lekin aise hee aakhri shrinkhala..??? meine to socha tha ye kadi aur dur tak chalegi:(

    cheers!!!!

    जवाब देंहटाएं
  2. uffffff...
    ruko ruko hame isse bus mei chadna hai..
    hahaha ..ek baar maine bhi kai ladko ko bus ke saath daudte dekha tha ..kahivo aap to nahi the:P
    ..j/k
    Kitni taqat hai na ek haseen si muskurahat mein
    jee haan.. muskurahat mei vakai bahut taqat hoti hai:)

    :)

    जवाब देंहटाएं
  3. Ufff kya sham-e-mulaqaat ayi...
    lab pe dheeray si uski baat ayi..;)


    Janab aap nay woh nahi suna kya...
    zindagi mai teen cheezoun k peechay kabhi nahi bhagana cahiye ..kyn k jitnii bhi raftaar ho woh haath nahi attein ;p....ek bus...dosri train aur tesri larki....!!!! aur phir aapka tou nishana bhi ek nahi tha.... :D
    waisay aap nay ghaur say dekha hota tou pata chalta aapko k us muskuranay wali larki barabar mai jo fard betha tha bus mai... woh us larki ka mangeetar tha....aapki taraf uski larki ki ek muskurahat nay us becharay mangeetar ka dil tor diya...waheen say tou ye mangeetar sahib shayar ban gaye...un ka pehla kalam tha "SUNO ACHA NAHI LAGTA" aap nay tou suna hi hoga isay...;p is nazam k ek stanza mai unhonay ye musukuranay wali wartazaat ko zehn mai rakhtay howa likha


    Suno Acha Nahi Lagta
    Tumhari Muskurahat Per
    Hazaroon Log Martay Hoon
    Tumhari Aik Aahat Par
    Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
    Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
    Mujhay Acha Nahi Lagta
    ;)

    dekha manish ji...dil tod diya aap nay...
    poor guy !!! :(

    P.S :
    Thts all folk !!! ;D

    जवाब देंहटाएं
  4. Gosh Manish...

    Ek muskurahat ke liye itni takleef... woh bhi ek anjaan haseena ki...

    Hats off...

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  5. bohat khoob raha hoga woh experience. yeh post padh kar mujhe khud par beeta haal yaad aa gaya. abhi haal hee mein mere saath aisa kuch hua tha
    cool stuff, manish:)

    जवाब देंहटाएं
  6. Dewdrop & Divya
    Tum donon ne story poori nahin batayi. aisi aadhi adhoori baat karne se kaise chalega!haan

    aur haan love to see both of u on my Quiz!

    जवाब देंहटाएं
  7. Shukriya Don!
    Waise bhagne se jyada mera dhyan us chehre pe kendrit tha :)

    जवाब देंहटाएं
  8. ha ha ha !
    haan haan pariyan jab is prithvi pe aayengi to ladkon ko dauda dauda kar unki jaan hi to lengi :)

    जवाब देंहटाएं
  9. Zainab ji aapke ye kisse kahaniyan bina villein ke poore nahin hote kya! Khamakhwah mangetar ko bhi le aayin aap ! Ab to daudne bhagne wali umra jati rahi phir bhi aage se aapki nek salah pe juroor dhyan denge :)

    and thx for sharing this one! Is it from Wasi Shah ?

    जवाब देंहटाएं
  10. Takleef shabd ka bejah istemaal kiya Puneet hee hee. Aapse jyada kaun janta hoga ki in sab mein kis aseem sukh ki anubhuti hoti hai :)

    जवाब देंहटाएं
  11. that was so cute manish

    I had a similar experience way back from 1995...I was in 10th std then and there was this cute chick who used to stay in the adjacent building. She had this amazing smile :D

    Every evening I used to wait for her to return from her tuitions and whenever she used to talk to her friends...she had this cute smile on her

    No wonder I used to give weird reasons to ma mom in order to get outta home in eve ;)

    Good one...got some memries back...
    Take care!!

    जवाब देंहटाएं
  12. Welcome Arjun !
    Thx for sharing ur old memories!
    Yup one swet smile can make one's day:)

    जवाब देंहटाएं