सोमवार, अगस्त 29, 2005

Toote Moti Bikhre Sapne

Zindagi ke pyare lamhe to kamobhesh humare apne nahin rehte aksar hum unhein apne aas paas ke logon mein bantte rehte hain,
Par un bikhre sapnon un toote motiyon ka kya karein jinhein humne dil ki kisi band kaal kothri mein dabaya hua hai?
Roz ki is aapa dhapi mein inke rehne na rehne pe bhi ek sandeh sa utpanna hota hai!
Par yaadon ke wo moti kab kis baat pe dil ke girebaan se nikal, bahar chitak jaayenge ye bhala jaan saka hai koi?
Nahin kabhi nahin…..

Par ye to batayein ki in adhoore sapnon aur toote motiyon ko dil mein sajone ka koi phaida hai ?
Aap ki baat to nahin janta par main to jhat se yahi jawab doonga ki har cheez nafe nuksan ke tarazu mein nahin tauli ja sakti!


Phir bhi hum dill ko us peeda se nijaat dilana chahte hain, use bahlana chahte hain taaki wo toote moti zakhm ko itna gehra na kar dein ki wo nasoor ban jayein.....aur humein andar hi andar se khokhla na kar dein..

Aaj inhi bhavnaon se judi do kavitayein aapke saamne la raha hoon . Do isliye ki yoon to ise likha do mahan diggajon ne hai par uske peeche ka mool bhaav ek hi hai !

Inmein se ek Faiz Ahmad Faiz sahab ki hai to doosri Harivansh Rai Bachchan ji ki

Ye dono kavitayein tab likhi gayin jab inke likhne walon ko behad kathin paristhitiyon se hokar guzarna pada tha. Faiz ko to tatkaaleen sarkaar ne jail mein band kar rakha tha aur Bachchan sahab apni pehli patni ki asaamyik mrityu se vyathit the…..

(To be continued)

4 टिप्‍पणियां:

  1. Wha...aaj ki post bahut acche mor per laakar ..to be continued kiya :(
    kher hum intezaar kareinge :)..waise aapke jawab ko parhne se pehale hum bhi yehi keha rahe the ke...har cheez ko nafa nuksaan se nahi tola jaata :)

    khayaal milte julte hein :)

    जवाब देंहटाएं
  2. aaj main Faraz ki ek nazm post kiya hain,aapke post padne ke baad firse wahi line yaad agaye,toote hue kwaab sanjoke rakne ki koshish bhi nahi hoti,bas woh dil mein iss tarah sama jaatein hain ki bas saanson ki tarah apne saat reh jaatein hain,sahi hain na,dil ki baatein nafa nuksaan nahi dekthi hain.
    When we use our head we can only see good or bad,but when we use our heart we only can feel pain or happiness:)
    Khvaab marate nahin
    Khvaab dil hai.n na aa.Nkhe.n na saansen ke jo
    rezaa-rezaa hue to bikhar jaaye.nge
    jism kii maut se ye bhii mar jaayenge

    Khvaab marate nahii.n
    Khvaab to raushanii hain, navaa hain, havaa hain
    jo kaale pahaa.Do.n se rukate nahii.n
    zulm ke dozaKho.n se bhii phukate nahii.n
    raushanii aur navaa aur havaa ke aalam
    maqtalo.n me.n pahu.Nch kar bhii jhukate nahii.n

    जवाब देंहटाएं
  3. toote hue kwaab sanjoke rakne ki koshish bhi nahi hoti,bas woh dil mein iss tarah sama jaatein hain ki bas saanson ki tarah apne saat reh jaatein hain,sahi hain na,dil ki baatein nafa nuksaan nahi dekthi hain.

    bahut khoob kaha tumne Neel!
    Really a wonderful selection of Nazm written by Ahmad Faraz sahab!

    जवाब देंहटाएं