बुधवार, अगस्त 03, 2005

The Little Angel

Baat kai saal pehle ki hai. Us waqt main Faridabad mein kaam kiya karta tha.
Office mein kuch chuttiyan nikal aayi thi . Achanak hi Kanpur mein apne relatives se milne ka mood ho aaya tha. Garmi ki chuttiyon ka season tha lihaza Gomti Express mein kaphi bheed thi. Do ghante yani Aligarh tak to safar khade khade hi bitana pad gaya tha.

Wo safar yoon hi neeras guzar raha tha ki achanak meri nazar 7-8 saal ki us bachchi pe padi. Wo chup chap sabse nazrein bachate huye ek boodhe se sajjan ke baal kheenchti aur phir aise idhar udhar dekhti jaise kuch hua hi na ho. :)
Aur bechare wo sajjan bade pareshan ki ye shararat kaun kar raha hai? Maine isharon hi isharon mein jab use aisa karne se mana kiya to usne masoomiyat bhari ek muskurahat bikheri !
Phir humari baton ka silsila suru hua aur wo mujhse aisi ghul mil gayi jaise ki barson se jaanti ho!
Humari batein Chai aur Coffee banane ke tareekon se suru huyin aur phir Andon(eggs) aur murgiyon se hoti huyi films tak ja pahunchi.:):)

Uska har baat ke ant mein hainge lagana (typical western Up dialect) maslan…
Aapko pata hai hum subah subah doodh late hainge, Mummy us doodh ko garm karti haingi

… mujhe behad pyara laga tha.

Aur Jurassic Park ke bare mein uska bhaybheet hokar ye poochna ki .....
Dinosaur ke ande mein se bachche nikal kar mere jaise bachchon ko kha jate honge?
.....mujhe aaj tak yaad hai. Bachchon mein nayi aur khas kar darane wali cheezon ke bare mein janne ki utsukta ka koi jawab nahin.

Ghanton gupshap ho jane ke baad jab humne uska naam poocha to batane se usne saaf inkaar kar diya! Baad mein uske dada se pata chala ki uska naam Naynam hai !

Kanpur station pe maine Nayanam aur uske Dada se vida lee aur man hi man dua ki umra ke sath iski ye chanchalta yoon hi barqarar rahe..

19 टिप्‍पणियां:

  1. waah ..kya kehnay hain aap k manish ji....log amumaan us safar ko rangeen kehtay hain jis mai un ka waqt kisi haseena k sath beta ho..ya kisi anmol shaksiyaat k sath......magar aap nay .....us masoom bachi ki kadar jani..us ki mamooli si baat ko itna specail jana....us ki choti si zindagi ko janay ki koshish ki......i must say...u ur self are so special tht u always find something specail in every ordinary thing :)

    hats off ;)

    जवाब देंहटाएं
  2. hey manish when you want to write in Hindi then why don't you try actual hindi instead of roman....

    जवाब देंहटाएं
  3. hey a read ur last post in ur blog ( an inian spirt) im gonna kill u for 2 reasons 1- cos women=problems:(...2- cos u dont give the chane 2 others 2 write comments there i cant stand urdo in this blog so i wanna write comments there pls

    जवाब देंहटाएं
  4. i find a mistake on ur caleculation ... it should be women (square) =problem .......ur a bad student :)

    जवाब देंहटाएं
  5. Bahut hi pyara post hain…
    “Bachchon mein nayi aur khas kar darane wali cheezon ke bare mein janne ki utsukta ka koi jawab nahin”….
    Bahut hi sahi kaha… bachcho ki masumiyat aur utsukta hi unki sabse badi khubsurati hain…

    Aapke kahe gaane sunne aur #1 gaane wale post par comment bhi de diya…

    Aapke kahe ek gaane ke kuch bool aapke is post aur shayad aane wale kuch posts par jachte hain...

    “Kisse kuch puraane mil gaye… roone ke bahane mil gaye”

    जवाब देंहटाएं
  6. Wow, this is a unique blog.

    According to me, Hindi is the best-sounding language. Isn't it? :)

    जवाब देंहटाएं
  7. hmmmmm Zainab shukriya ji aapki baton ka!

    waise aage jin chehron ki batein hogin wo shayad aapki expectation se shayad jyada mel khaye:)

    जवाब देंहटाएं
  8. Shukriya Puneet jaan kar khushi huyi ki bachchon ke bare mein aap bhi waisa hi mehsoos kerte hain!

    जवाब देंहटाएं
  9. hi Sayesha
    Welcome here!
    hmmmm I love Hindi & Urdu both and this is the only place where I can relate to these languages by using them for expressing my emotions & thoughts!

    Which is ur hometown Sayesha!

    जवाब देंहटाएं
  10. WOW..Manish...ek nihayat khubsurat baat share ki tumne...waqai dil ko chooh sa gaya!!! sach kaha tumne...bacche mann ke sacche hote hein aur behad masoom...oonhein har baat ki jaankari ki jigyasa hoti hai...ek nahi das sawal karte hein...yehi to khas hai....ke bacche kabhi bhi kisi se bhi ghul mil jaate hein jo bhi oonki taraf pyaar se haath barahyein...very cute and pretty kido...naam bhi pyaara sa...very sweet post!!!

    shukriya isse share karne ka:)

    जवाब देंहटाएं
  11. //Which is ur hometown Sayesha!

    Hamara koi ek hometown ho toh batayein :)

    Main hawa hoon, kahin bhi theherti nahin
    Ruk bhi jaaun kahin par toh rehti nahin
    Maine tinke uthaayein hue hain paron par
    Aashiyana nahin hai mera :)

    जवाब देंहटाएं
  12. Hey Joyas I did reply to ur comments in my tag box on my other blog.
    An Indian Spirit :)

    U must have missed it!

    जवाब देंहटाएं
  13. Thx Divya !
    Bachche jab apni chamakti huyi aankhon se kisi aam si baat ko bhi jor dete huye bolte hain to unke mukh ki bhav bhangima dekhte hi banti hai! they look so cute :)

    जवाब देंहटाएं