शनिवार, जुलाई 09, 2005

Hum Tum

Kareeban ek saal pehle aayi thi ye pic aur usi waqt ise share kiya tha maine apne doston ke beech. Aaj is kadi mein ye 5 wein no pe hai aur is geet ke sath mere dilazeez geetkaar Prasoon Joshi ki bhi ye pehli entry hai par haan aakhiri nahin!.

June 21 2004
Barish ki girti hui boondein..

Jo kabhi thamne ka naam hi nahin le rahin..
Sab kuch bheenga bhenga, hara bhara sa..
Chilchilati garmi ke baad barsati phuharon ke sath aayi sukoon bhari thandak se man thoda to chanchal hoga na
Aise mausam mein pesh hai film Hum Tum se liya hua ye soft romantic song.

Saanson Ko Saanson Mein Dhalne Do Zara
Dheemi Si Dhadkan Ko Badhne Do Zara
Lamhon Ki Guzarish Hai Yeh
Paas Aa Jaaye Hum.. Hum Tum.. Tum.. Hum Tum..

Aankhon Mein Humko Utarne Do Zara
Baahon Mein Humko Pighalne Do Zara
Lamhon Ki Guzarish Hai Yeh Paas Aa Jaaye Hum.. Hum Tum.. Tum.. Hum Tum..


Salvatein Kahin Karwatein Kahin
Phail Jaaye Kajal Bhi Tera
Nazron Mein Ho Guzarta Hua Khwabon Ka Koi Kafila
Jismo Ko Ruho Ko Jalne Do Zara
Sharmo haya Ko Machalne Do Zara
Lamhon Ki Guzarish Hai Yeh Paas Aa Jaaye Hum.. Hum Tum.. Tum.. Hum Tum..

Chu Lo Badan Magar Is Tarah Jaise Surila Saaz Ho
Andhere Chupe Teri Zulf Mein Kholo Ke Raat Aazaad Ho
Aanchal Ko Seene Se Dhalne Do Zara
Shabnam Ki Boondein Phisalne Do Zara
Lamhon Ki Guzarish Hai Yeh Paas Aa Jaaye Hum.. Hum Tum.. Tum.. Hum Tum..

Lyrics -Prasoon Joshi

To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.6965/
Movie –Hum Tum,
Singer- Babul Supriyo / Alka Yagnik ,
Music –Jatin Lalit




7 टिप्‍पणियां:

  1. WOW.....................manish...mein kaafi dino baad aa rahi hoon maufi chahti hoon lekin..waqai dil khushi se phula na samaya..:D...meri pasand ke geet aur pata hey...Humtum ki yeh poster mere car per lagi hey ;) aur to aur meine iss geet ko parhte parhte agli geet ko bhi para aur waqai shayad isiliye dugni khushi hasil hui...
    bahut hee khoobsurat post hey waqai...emotions...ehasaas...barish ki boondein ..haaye!!!!

    keep up the good work ;)

    जवाब देंहटाएं
  2. shukriya don!
    ki der saber hi sahi aapko mere blog pe aane ki fursat to mili!
    to aapne iska sticker bhi laga rakha hai!
    Movie was so funny!
    Rani aur Saif ki nok jhonk ka khoob aanand liya tha maine :)

    जवाब देंहटाएं
  3. Ye to bahut hi acha gana hain...
    I went to watch this movie with my GF and i can remember the way she teased me during the movie..."Tum sab ladke ek jaise hote ho" (Patent dialouge of girls)....
    i mean hum sab ek jaise hote hain fir bhi unhe koi ek hi pasand aata hain ;-))))
    ha ha ha... just thought of sharing... coz this song is so romantic...
    :-)) good one

    जवाब देंहटाएं
  4. Hab aapki baat se poori terah ittifaq rakhte hain Puneet!
    aur ye baat to khoob kahi tumne

    i mean hum sab ek jaise hote hain fir bhi unhe koi ek hi pasand aata hai ;-))))

    ha ha ha ha!

    To hai koi mohtarma jo Puneet ke is question ka jawab de sakein:)

    जवाब देंहटाएं
  5. nice blog ..i love this movie 222222222222

    जवाब देंहटाएं
  6. Thx joyas

    Recently Saif Ali Khan bagged the best actor Nation award for this movie! :)

    जवाब देंहटाएं
  7. i love him manish ..he is acting very well and he is soooooo handsome

    जवाब देंहटाएं