गुरुवार, मई 05, 2005

Chaand Aur Chaandni - Part III


Adhoora Udaas Chand
bichha.D ke mujh se kabhii tuu ne ye bhii sochaa hai
adhuuraa chaa.Nd bhii kitanaa udaas lagataa hai


Chand apne aap mein kitna akela hai iska jikra humare doston ne apni reply mein kiya hai aur behad sanjeedgi se kiya hai.
Zindagi mein kamobesh aap sab ne ek baat to juroor mehsoos ki hogi. Hum badi hi sahajta se har us shakshiyat se jud jate hain jo apne jaise halaton se gujar raha ho!
Ab chand ki trasdi dekhiye , jo suraj apne prakash se chand ko sushobhit karta hai humara ye chand use choo bhi nahin pata, apni is virah vedna ka bhar dil mein liye huye hi apne safar pe chalta jata hai chalta jata hai..
bina ruke bina thake..
Aur chand ka yahi akakipan humein barbas apni or kheenchta hai, aakarshit karta hai…
Isiliye to..
Kabhi jab hum rozmarra ki zindagi se ub se gaye hon..
Jab jee kuch bhi nahin karne ko karta..
Aur neend bhi aankhon se koson door si rehti hai..
Aise mein anmane se chup chap band kamre mein baithe hon..
aur samne ye chand dikh jaye to
To wo bhi anginat taron ke beech apni terah hi akela apne dost jaisa prateet hota hai!
Dil karta hai ghanton uske samne baithe rahein..
use niharte rahein..
usse batein karte rahein..
Kuch usi terah jaise Noorjahan yahan apne is mashhoor nagme mein chand taron ke sath kar rahi hain

Chandani ratein..
Chandani ratein..
Sab jag soye
hum jagein ..
taron se kare batein
Chandani ratein..
Chandani ratein..


Aur Aeitbar Sajid ki manein to inhone chaand ko dekh ke ghar jana bhi behtar nahin samjha, utar liye safar ke beech mein ye kahte huye :)

Wahaun ghar mein kon hay muntazir ki ho fikar dar sawar ki
badi mukhtasir si ye raat hay, issay chandani mein guzaar do

Koi baat karni hay chaand say, kisi shaakhsaar ki oat mein
Mujhey raastey mein yaheen kaheen,
kisi kunj-e-Gul mein uttaar do!



Jis terah chandni samandar ki lahron ko apni oor kheench leti hai usi terah wo humari khatti meethi yadon ko bhi bahar le aati hai, chand aasharon ki bangi lein!

teri aankhoN meiN kisi yaad ki lau chamki hai
chand nikle to samandar pe jamaal aata hai


aap ki yaad aati rahi raat bhar
chandni dil dukhati rahee raat bhar
.


Chand ke itte roopon ki humne batein ki . Poornima se Amawasya tak na jane ye kitni hi shaklein banata hai aur in shaklon mein hum kya dekh pate hain ye to jaisa hum sab ne sweekar kiya wo apne mood apni us waqt ki kaifiyat pe nirbhar karta hai..

Par chalte chalte is kadi ko samapt(end) karne se pehle us ghazal se apko juroor roobaru karounga jisse main apne aap ko chand se jodta hoon.
Jab bhi main ise gungunata hoon ye ghazal mujhe behad bhavuk (sentimental)kar deti hai.
Dr. Rahi Masoom Raza sahab ki likhi huyi ye ghazal ko mere dil ke humesha kareeb rahi hai,
kabhi Jagjit sahab ki aawaz mein sun kar dekhiye, ek azeeb si udasi man mein tair jayegi…

Hum to hain pardesh mein , des mein nikla hoga chand
Apni raat ki, chat par kitna, tanha hoga chand

Jin ankhon mein, kajal bankar, tairi kaali raat
Un aankhon mein, aansoo ka ek, katra hoga chand

Raat ne aisa pench lagaya, tooti haath se dor
Aangan wale, neem pe ja ke, atka hoga chand

Chand bina har din yoon beeta jaise yug beete
Mere bina kis haal mein hoga, kaisa hogaa chand


Chand ke sath bante huye in palon mein aap sab doston ne mera sath diya aur apni bhavnayein hum sab ke beech rakhin uske liye main aap sab ka aabhari (grateful) hoon. Aasha hai ki aap sab ka sath mujhe aage bhi milta rahega!